Sunday, June 1, 2008

A talk given by Abid Khan Saheb

-
Transcribed from the talk given by Abid Khan Saheb in the gathering of Pakistani cricketers at Redhills, Hyderabad, INDIA.
--
Eik martaba key waqiya key America key ilaaqey mein Jamaat chalrahi thi aur Allah ney wahan per beshumaar insaano ko hidayat di, aur unkey zindagiyo ko badla. Toh usmein eik joda, Allah key taraf sey hidayat unkey liye muqaddar huwi, ab woh islam mein daakhil huwa. Pehley mard daakhil huwa, phir usney apney aurat ko laaker milaya, phir usko haq samajmein aaya, phir dono ko kalma padaya gaya, tajdeedey Nikah huwa aur uskey baad phir unkey zindagi ko joda gaya, woh 6 saal key bacchey ko saath lekar chalney lagey. Phir unhuney hamarey iss mulk mein aaney ka iraada kiya.

Waapsi key waqt pey ye tai huwa key bhai umrah kartey huwe jayingey, toh woh log bhi bechain they key hum Allah ka ghar dekhingey, Nabi-e-paak(saws) ka darbaar dekhingey, Masjid-e-Nabuwii ki Imaani anwaar dekhingey. Ab chunachey unko saath lekar umrah kartey huwe aaye. Jab umrah key liye pahunchey toh hamarey buzurg they Hazrath Maulana Saeed Ahmed Saheb(ra), wahan per hayaat they uss waqt. Toh Hazrath Maulana key I'lm mein jab ye baat aayi key bhai ye joda abhi abhi hidayat paaker eik mahina kuch huwa hain aur saath chalraha hain aur abhi ye Hindustan jaaraha hain, toh Hazrath ney kaha key yaha ki Arabo sey mulaqaat karau - yahan ki aurto ko iss khatoon sey mulaqaat karau, aur yahan key mardo sey iss naumuslim ki mulaqaat karau, taakey dawat ki taaqt aur Imaan ki khuwaat aur zindagi ka maqsad inn ko bhi aisey samajmein aaye, jiskey liye Allah ney ye sarzameen banayi aur ye mubarak ne'mato sey inko sarfaraaz kiya hain.

Chunachey waha ki aurto mein baat chali key bhai America ki eik aurat aayi hain, aur uss sey mulaqaat karna hain aur kuch Imaan key muzaakirey honey hain. Ab woh bechaari seedhi saadhi aurtein samjhi key hum American aurat sey milrahein hain, ab woh apney apney aetbaar sey fashion mein duubkar - koi baalo ko banaaker, koi makeup karker, koi apney apney banau-singhaar key saath, haal bhargaya.
Ab humko jo kaarguzaari mili toh pata chala key ye jab pahunchi toh ye burqa posh, aur ye apney aapko aisey gloves key ander key iskey naaqun bhi - na pair key nazar aarain, na haath key nazar aarain aur ye unmein baithker Imaan ki baat ki aur kaha key - "Aap baitullah key pados mein aur Allah key padosi hain, hum toh aapkey zariye sey Imaan ki taazgi ko leney key liye aaye, aur tumhari shaklo aur tumhari kaifiyat ko dekhker mujhey toh hairat hori hai key jiss tehzeeb ko hum thuuk chukey uss tehzeeb ko tum chaatrahi ho, aur ismein tum apney zindagi ko sonchrahi ho, toh unkey cheekhein nikalgayi aur uss aurat key haath per Arab ki khawateen ba-izzat gharano ki unhuney tauba ki, istighfaar pada aur aaho pukaar key saath unkey zindagiyo mein eik nai tabdeeli aayi.

Phir uskey baad yahan mardaney mein uss naumuslim ko Prince key paas jaaney ka mauqa mila, aur Prince ney mulaqaat ka waqt deydiya key hum inn naumuslimo sey mualaqaat karingey, toh chunachey iskey shouhar ko uskey 6 saal key bacchey ko lekey mulaqaat key liye pahunchey.
Ab jab pahunchey toh wahan per baithkey usney apney zindagiyo ki ghaflato ka zikr kiya, aur kaha key inkey mahol mein mujhey Imaan samajmein aaya, Allah samajmein aaya, aakhirat samajmein aayi, usney merey dil ko jhanjhod'diya aur merey tabiyat ko nichod'diya aur Allah ney apney karam sey mujhey Imaan ki daulat di. Ab woh Prince khamoosh sunraha hai aur bacchey ko dekha key 6 baras ka baccha khamoosh baitha hain, ab uskey khamooshi ko dekhker isey khayaal huwa - Arab ki mehmaan-nawaazi key naatey, toh usney kaha - arey ye baccha khamoosh baitha hain aur Shahi mahel key aisey ajeeb-o-ghareeb drawing rooms unkey aur uskey ander beshumaar cheezey, lekin kisi pey na uski nigaah jamti, na dekhta.
Toh usney hairat sey kaha - beta tumharey liye kuch juice mangadey, kuch toys mangadey, ab jab usney ye kaha toh isney kaha - " nai, nai, aap daddy ki baat suntey rahiye, main bhi eik amal mein mashghool hu, aap bhi amal mein lagey rahiye". Toh usney hairat sey poocha masoom bacchey ki meeti awaaz ko sunker, iss 6 saal key bachey sey key - betey tum kis amal mein mashghool ho? tum toh baitho ho khamoosh, isliye hum poochrahey hain? Kaha -" nai nai main bhi eik amal mein mashghool hu," kaha - kis amal mein mashghool ho?
Kaha- " main jannat mein baagh laga raha hu, Aaka ney farmaya key - Jannat chatiyal maidaan hain aur jo aadmi Subhanallah, Alhamdulillah, Allahuakbar, Lailaha-ilallah padta hain toh har iss mubarat kalimey key badley mein eik darakht ugta hain, aur uski chatiyal maidaan jannat key baagho bahaar mein badal jaata hain, toh main toh apney jannat key baagh ko aabaad karraha hu".

Toh aisa hathoda uss Prince key dil-o-dimaagh per pada key cheekh nikalgayi, woh apney sofey sey uchal pada, aur fauran aaker uss bacchey ko uthaaker pyaar kiya, aur rotey huwe uss bacchey ko lekar apney mahel mein chalagaya, aur kaha dekho ye jinki zindagi peedi-der-peedi ghaflato mein guzargayi, Allah ney chand din pehley hidayat di, iss masoom bacchey ka haal ye hain key ye hamarey mahel mein baithkey kehraha hai key main jannat ka baagh lagaraha hu, aur cheezo sey beyniyaaz hain. Toh iskey kehney per ander sey aurto ki roney ki aahein baaher tak sunayi derahi thi. Allah ney puura ghar ka naqsha badla aur unkey zindagiyo mein tabdeeli aayi.

Toh merey dosto aur azeezo ye zindagi Allah ki amaanat hain. Ager aadmi inn bunyaado per chaleyga toh ye jiss maidaan mein hoga, ye maidaan Imaan ka baneyga, ye maidaan Taqwey-wa-Tahaarat ka baneyga, ye maidaan Hidaayat ka baneyga, ye maidaan Khurbat aur Muhabbat ka baneyga, aur zindagiya iskey ander hamari uss bulandi per jayegi jo hamarey aakhirat key khazano ko duniya mein jama kareygi aur jagey jagey hum numayindey-Muhammadur-Rasuulullah(saws) banker jiyingey aur humko dekhker duniya samjheygi.

Allah paak hamein apney zindagi key maqsad-e-hayaat ko samajney aur usko qadar karney ka raasta dey taakey Allah hamarey duniya aur aakhirat ko banadey aur kamyaabi key raastey per daaldey.

No comments:

Post a Comment