Tuesday, December 11, 2007

Mufti Nawalur Rahman Saab , Bayaan at Markaz , 02 Dec 07

Jo nazar aata hai woh makhlooq hai , jo shakl-o-surat rakhta hai woh makhlooq hai. Puuri makhlooq mohtaaj hai , apni wujuud mein mohtaaj, aur apney wujood sey nikalney waley asraat mein mohtaaj , chahey nafa key ho ya nuqsaan key.

Makhlooq sey kuch hota huwa nazar aana , ye mushahidey ki aankh hai . Aur makhlooq key peechey Allah (SWT) key khudrat sey , unkey iradey sey hona , ye nabuwwat ki aankh hai .

Puuri Makhlooq apni wujuud mein Allah ki mohtaj , aur wujuud key baakhi rehney mein bhi Allah ki mohtaaj:
Makhlooq ka wujuud hi nahi tha , na chand tha , na sooraj tha , na taalaab they , na aasmaan tha , na insaan they aur na inka koi mad'da ( material ) tha . Allah they aur koi cheez nai thi. Unhuney makhlooq ko paida farmaya. Toh puuri makhlooq apni wujuud mein Allah paak ki mohtaaj. Phir aisa bhi nai key eik baar wujuud mein aagaye ab mohtaaj nai hai , paida honey mein mohtaaj tha ab nai hai mohtaaj , aisa nai hai . Wujuud key banney mein bhi mohtaaj hai , aur wujuud key baakhi rehney mein bhi mohtaaj hai . Aasmaan wujuud mein mohtaaj tha , aur jab tak uska aasmaan bana rehna hai jab tak mohtaaj hai. Har cheez key wujuud ka wujuud rehney mein woh Allah key mohtaaj hai .

Aur wujuud mein tasalsul hota hai , itni badi makhlooq ko Allah ta'ala uski haisiyat ki mutabiq detey hai . Har makhlooq har aan , har second mein Allah ki mohtaaj hai. Tubelight aisa dikhayi deti hai key jalrahi hai , halaankey ghaur karey aadmi , usmein har waqt fana aur baqa , maut aur hayaat lagi huwi hai . Eik juz uska jaljaata hai , dusra juz peechey sey aata hai , bijli ka eik juz jaljata hai aur dusra peechey sey aata hai , jab dusra jalta toh teesra peechey sey aata hai , eik hissa jalta hai toh dusra peechey sey aata hai , lekin woh itna tezi sey aaraha hai , itna tasalsul key saath aaraha hai key darmiyaan key jalney waley ki fanayyiat jo hai woh nazar nahi aaraha hai . Aisa lagraha hai jaisey key tube jali huwi hai , kaha jali huwi hai , eik martaba jaladiye aur jali huwi rehti toh bill kyun banna padta tha hamein . Saahib-e-maarifat ka kehna ye hai , Aarifo ka kehna ye hai key puri kayenaat mein yehi nizaam hai , khud hamarey ander bhi yehi nizaam hai , barabar insaan key jism key uper fana aur baqa ka silsila rehta hai . Nahi istaghna hai Allah ta'ala sey palak jhapakney key barabar bhi . Har waqt Allah ta'ala key taraf sey faizan-e-wujuud hota aur horaha hota hai.

Majaaz:
Isliye makhlooq sey nazar hatalena , nafa nuqsaan makhlooq mein nai dekhna , insey hota , unsey hota , seth saab sey hota , wakeel saab sey hota , minister sey hota goya Shirk-e-faali ka shikaar hojata hai aur huwa ye isliye key majaazan iski ijaazat di , haqeeqatan toh nai di . Majaaz kehtey uss baat ko key lafz key haqiqi mana jo hai woh murad nai kiye jaye , dusrey muraad kiye jaye jaisey hum kehtey hai – kisi bahadur aadmi ko sher boltey hai , sher jo jungle mein hai who haqiqat hai uski aur jo bahadur aadmi hai ko sher kehrahey hai who majaaz hai . Ye majaaz jo hai who istemaal hotey hotey hotey hotey haqiqat bangaya . Ijazat thi key doctor sey ilaaj karwaye, arey doctor saab aap kya dawa diye mashallah , kisi ney sifarish karadi , naukri milgayi aur uskey sifarish karney sey kaam bangaya , kisi ney khana khiladiya toh bhook mitgayi , kisi ney kapda pehnadiya toh sardi sey bachney ka intezaam hogaya. Toh shariat ney kaha , theek hai , aap majaaz ka istemaal karsaktey ho , ab ye majaaz ka mizaj itna badgaya ummat key ander key usko majaaz hi yaad rehgaya , majaaz ko haqiqat mein badaldiya , haqiqat sey ghafil hogaya , bas bhoolgaya key karney waley zaat sirf Allah hai , nafa aur nuqsaan Allah sey hai , maut aur hayaat Allah sey hai , sehat aur beemari Allah ki taraf sey hai , izzat aur zillat Allah ki taraf sey hai , kamo ka banna , na banna Allah ki taraf sey hai , karobar ka chalna , na chalna Allah ki taraf sey hai , khushi aur gham Allah ki taraf sey hai , halaat ka bigadna Allah ki taraf sey hai , halaat ka banna Allah ki taraf sey hai .

Puri ummat key halaat ye nahi key Allah key hukum key baghair chalrahey hai , Allah key manshey key baghair chalrahey hai , aisa nai hota , Allah eik baat chahrain , dushman eik baat chahrain , Allah jo chahrain who ho nahi raha , dushman jo chahraha hai who horaha hai , aisa hota hai kabhi ? Dushman chahraha hai lekin dushman ko karney ka mauqa koun deraha hai , ijazat kyun di dushman ko theek hai jootey maarley inko , barbadi kardey inki , dushman ko mauqa kyun horaha hai , aisa thodi hai key Allah key chahey baghair ye hora hai , jo hota hai merey dosto woh Allah key taraf sey hota hai , isiliye tauheed key ander ye baat rakhi huwi hoti hai key makhlooq sey nazar hatjaye .

  • Tauheed ki khususiyat ye hai key Allah per bharosa aajana aur ghair per sey bharosey ka uthjaana ,
  • tauheed ki khususiyat ye hai key Allah ka darr aur khauf aajana aur ghair ka darr aur khauf nikaljaana ,
  • tauheed ki khususiyat ye hai ro’ob ho Allah ka , azmat Allah ki aur makhlooq ka ro’ob khatam hojana ,
  • tauheed ki khususiyat ye hai key kisi sey koi tawaqqo nai rakhna

Asbaab duniya key ander qayam farmaya takey sabab per parda rahey aur iss pardey ki peechey faayez hai usko pehchana ye imtihaan hai iss duniya ka . Sabsey pehla sawaal rububiyat ka hai , manrabbuka , isliye key duniya mein bhejney sey pehley rububiyat hi ko sikhaya gaya - kya main tumhara rabb nai hu . Duniya mein jaaney key baad , kiska imtihaan dena hai - rububiyat ka .

Beshak Allah ney khareedliya hai imaanwalo sey unki jaan ko , unki maal ko . Imaanwaley ka khareedar sirf Allah hota hai , imaanwala kisi aur ko nahi bikta. Aur ager kisi aur key haath bikgaya toh woh imaanwala hota nai.

Nabi-e-paak (saws) ka tareeqa:
Jo Nabi-e-paak (saws) ka tareeqa hai woh Allah key manshey key muwafiq hai . Aapku aakhri nabi banadiya , qiyamat tak key liye. Qiyamat tak jitney insaan aayingey saaro key liye Allah ney Huzur-e-paak (saws) ka tareeqa chunliya. Nabi key tareeqey key ilawa Allah paak ka mansha pura nai hoga , jab Allah ka mansha nai hota toh Allah razi nai hotey , nabi key tariqey key ilawa kisi cheez sey Allah raazi nai hotey . Aap ka duniya mein aaney key baad , nabuwwat key miljaaney key baad , duniya key dusrey tariqey hi nahi , pehley key jo aasmani tariqey hai woh bhi nahi chaltey , ab andaaza lagalijiye.

Hazrath Ml.Ilyas saab (ra) ka manqul ye hai key huzur-e-paak (saws) key tariqey key saamney jab dusrey aasmani tariqey nai chalsaktey toh insaani tariqey kaha chalsaktey hai , dusrey aasmani tariqey nai chalsaktey , woh qubool nai hai , woh marduud hai . Merey dosto aadat dalleyna , mehnat karna iss baat per key Allah tabaraku wa ta'la key marzi key saamney apni marzi ko hum fana kardetey hain aur huzur-e-paak (saws) key tariqey key saamney apney tariqey ko hum fana kartey hain , hamari apni nai chaleygi.

Mizaj-e-Ibrahimi:
Puuri duniya raazi ho ,naraaz ho , iski fikar kiye baghair Allah ko khush rakhney ka jazba , duniya ki izzat aur unka isteqbaal aur duniya ki bey-izzati , issey nazrey hataakar key koi khush hota ho , na hota ho , izzat deta ho , na deta ho , chahta ho , na chahta ho , issey mujhey kuch behas nai , main kisi aur ka hu hi nai , main toh Allah ka hu - ye hai Mizaj-e-Ibrahimi. Unko parwa hi nai thi , unko waqt key baadshah ki parwa hi nai thi , apney baap wazeer ki parwa hi nai thi , wizarat ka ohda unka isteqbaal karraha tha uski parwa nai thi , itney saaro key saamney buttparasto key saamney main La ilaha illallah ka sada lagaunga kaun suneyga , unko iski parwa hi nai thi , unhuney sada lagayi. Awaam sey lekey hukumat tak saarey key saarey baaghi they.

Namrud ney kaha main samjhalunga , bulaya Ebrahim (as) aur Rabb key mamley mein behas ki thi Ebrahim (as) sey aur usko badappan kismein aagaya tha - Allah ney mujhko baadshahat deydi . Woh samajra tha key baashahat dedi toh maarifat bhi milgayi shaayad , jaisey iss zamaney mein theek aisa hi hota key jo aadmi duniya ka ilm seekhleta hai usko ye ghalat fehmi hojaati hai key woh deen ka ilm bhi seekhliya - Quran ki tafseer hum karsaktey , bukhari ki tashreeh hum karsaktey , haditho ka matlab hum batasaktey , masail hum niptasaktey , usko ye khayaal tha key main baadshah hu toh merey paas kya kuch nai hai , merey paas ma'arifat bhi hai . Ebrahim ney kaha mera Rabb woh hai jo zinda karta hai , phir maarta hai . Namruud ney kaha ye kaam koi mushkil nai hai - main bhi zinda karta hu aur maarta hu aur jail khaney sey do mujrimo ko bulaya , unka jurm ye tha key unki saza mein unko qatal kardena tha , eik ko usney qatal karadiya aur eik ko choddiya aur bolo dekho mainey isko maardiya aur dusrey ko zinda kardiya , halaankey iss maney mein toh nai boley they Ebrahim(as). Phir Ebrahim(as) ney kaha - asal mein ye hai mera Rabb suuraj maghirb sey nikalta hai , aur tum barabari karrain na , tum mashriq sey nikalo . Ab kya karta , kuch jawaab hi nai tha iska .

Jab haq ki baat chalti hai , toh logo ko aisa mehsoos hota hai key ye haq ki baat chalaney wala fitna karta hai , halaankey fitna jo horaha hota woh haq qubool nai karney sey hota hai .
Phir butto ka tazkara ,key butto ko toddiya aur badey ko batakey kaha key shaayad isney kiya hai , hatoda usi key paas hai. Logo ney kaha madat karo hamari mabudo ki lehaza inko aag mein daaldo , 40 din they uss aag mein Ebrahim(as), aag Allah key hukum sey baagh bangayi thi Ebrahim(as) key liye. Ml.Rumi (ra) ney ash'ar bayaan farmaya jiska matlab ye hai key - Namrud aur namrudiyo ney kaha key-" tujhey kya huwa , tu aag nai hai , jalati nahi ? Toh aag sey awaaz aayi - "hu toh main aag , lekin tera intezaar hai , tu aa phir bataungi".

Jaisa aag ka wujuud Allah key taraf sey hai , waisey hi uski sifaat jalaaney ki bhi Allah hi key taraf sey hai , Allah chahey toh ussey jalaney ka kaam ley ,chahey toh salaamati ka kaam ley , paani ko chahey toh maarney ka zariya banadey , chahey toh bachaney ka zariya banadey. Puri makhlooq pey sey nafa aur nukhsaan ka apney zehen sey hatjaana ye La ilaha illallah key uloom mein sey hai , ye uskey laazmi taqazo mein sey hai , taakey sirf Allah ko raazi karney ka jazba aajaye , ye haqiqi ma'arifat hai . Uska nateeja ye hota hai key - bandey key ander bandagi ka saleekha aajata hai - mujhey sirf Allah ko khush karna hai , mujhey sirf Allah key marzi ko dekhna hai , mujhey sirf Allah per jaan qurbaan karni hai , mujhey sirf Allah key raza key liye kaam karna hai - Mizaaj-e-Ebrahimi yehi tha .

Phir apney biwi aur betey ko chodkey jaana khuley reghistaan mein , jaha paani nai hai , koi asbaab nai hai. Allah musabbbibul asbaab hai , paani nikaaldiya . Zam Zam ka paani woh kaam karta hai jiskey liye piya jaye - pyaas bujney ki niyaat sey piyo toh pyaas bujhjayegi , bhuk mitney ki niyyat sey piye toh bhuk mitjayegi , beemari sey shifa ki niyyat sey piyo toh beemari sey shifa miljayegi , jehalat duur honey ki niyyat sey piyo toh jehalat duur hojayegi .

Deen ki mehnat ka jo andaaz hai , jo tareeqey kaar hai usmein mard aur aurat aur baccha , teeno shaamil hai , family puuri hai. Aaj hamarey badey khawateen key kaam key liye zor deyrahey hai , wajeh ye hai khawateen mein mehnat karney ka jazba aur unko deen pey laney ka jazba ummat mein bahot kam hogaya hai. Hajira (rz) iss zehen ki thi aur unhuney tawuun kiya , saath diya toh hosaki na saari kahani , ager woh peechey peechey aajati toh? Unka imaan bana huwa tha . Esmail(as) ku aakey Ebrahim(as) ney kaha khwaab toh mainey aisa dekha hai , tumhari kya raye hai? - Babajaan aapku jo hukum diya gaya ho woh kijiye aap.


Eik duud ka khatora aur 80 Sufa walo ko daawat:
3 din key bhuukey aur eik khatora duud aaya aur Huzur ney eik khatorey duud mein shareek karney key liye 80 aadmiyo ko bulaya .Abu Huraira (rz) kehtey hai key Huzur key iss baat per amal karney key baghair chara nai tha bakhiya akhal tasleem nai karri thi iss baat ko key eik khatorey duud mein , 3 din key bhukey aadmi key haath mein hai woh aur uskey baad aap 80 logo ko bularahey hain ye peeney key waastey , toh kya banega iska , merey peth mein kya jayega aur woh ye bhi kehtey hai key mujhey Huzur ki aadat maloom thi ki main unlogo ko bulaunga toh huzur ye nahi kahingey tum tumhara hissa peekey inko do , huzur ye kahingey key pehley unko pila phir apna hissa pee , khud bayaan karrahey hai woh. Huzur ney 80 sufa walon ko buladiya aur kehney lagey pila unko . Merey dil pey kya guzarrahi thi mujhey maloom hai lekin hum jaantey nai they key Huzur ki baat per amal nai kiya jaata , hum isko nai jaantey they. Hum isko jaantey hi nai they key Huzur ki baat per amal nai kiya jaata. Woh pesh kardiye , log peetey gaye , eik key baad eik , eik baad eik aur khatorey mein ka duud khatam hi nai hora. 80 key paas sey khatora phir key aagaya aur duud bhara huwa hai waisehi.Toh samajhgaye key Huzur-e-paak (saws) ney maujiza zaahir farmadiya. Huzur (saws) khud bhukey hai , aap ney muskuraya aur kaha - ab tum piyo , unhuney peekey aapko pesh kiya , toh huzur (saws) ney farmaya - Abu huraira , aur piyo . Unhuney phir pesh kiya - aap ney phir kaha - Abu huraira - aur piyo. Abu huraira farmatey key main halaq tak peeliya aur duud waisa ka waisa phir aap ney farmaya lau mujhey do aur aap ney piya. Mager ye muzahira kab huwa , jab shuru mein aetraaz nai kiya . Ye muzahira kab huwa - jab hukum per amal kiya gaya , sab sahaba ka mizaaj yahi tha. Isliye huzur ney farmaya - merey sahaba sab Abid hai , merey sahaba sitaro key maanind hai , jo muhajereen hai woh , jo ansar hai woh aur jo unki ittaba karney waley hai woh sab sey Allah khush hogaya. Kyunkey sabki tarbiyat huwi. Sab sahaba ka mizaaj ye tha key Allah paak key marzi key liye apney aap ko qurbaan kardingey.

Merey dosto , bhaiyo , ye jo daawat wali mehnat hai , iss mehnat mein iss mizaaj ko paida karna hai , hamarey buzurg ye farmatey. Isliye iss mizaaj key paida honey tak mehnat karna hai , aur mizaaj key paida honey key baadmein bolna hi nai padta kyunkey ye mizaaj khud chahta hai key mehnat karu. Allah key raastey mein 4 , 4 mahiney , 40 , 40 din isliye nikalney key liye kaha jaata hai merey dosto key ye La ilaha illallah ki haqiqat sey hamara dil aashna ho , aur woh baithjaye dil mein . La ilaha illallah ka ulooom ka , uskey zimmedaria ka jo istehzaar hai , Allah paak ki sifaat ka , Allah key rabb honey ka , Allah key kudrat key uper aetmaad ka , Allah paak key saath khususi mohabbat aur taluq ka eik istehzaar hota hai , ghalba hota hai , uss ghalbey haal mein bandey sey Allah ki mukhalifat nai hosakti , ager zara sa bhi mukhalifat hojaye toh unkey uper pahaad tutjaata , thodi si bhi unsey ager koi kaam sunnat key khilaaf hogayi toh unkey liye museebat hojati hai. Aisa nahi key -ye sunnat hi toh hai , ye mustahab hi toh hai , karey toh sawaab , nai karey toh koi gunah nai hai .

Iss mubarak mehnat key zariye sey har khatoon mein , har behen mein , har bachey mein chahey jawaan ho , chahey adhed umar ka ho , pada likha ho , bey-padalikha ho , rozgaar ho , beyrozgaar ho , ameer ho , ghareeb ho , tandurust ho , beemar ho , sab mein eik jazba aajaye Allah ko raazi karney key liye mehnat karneyka , Allah ko raazi karney key liye mujahida karney ka , Allah ko raazi karney key liye Allah key hukum pey jamney ka . Jab ye jazba merey dosto ummat mein aajayega , Allah tabarakuwata'la raazi hojayingey , Allah paak halaat ko banayingey . Ummat ka zahiri halaat ka bigaad sabko sadma deraha hai lekin ummat key deen ka bigaad kisi ko sadma nai dera.

Hum ye samajrahey hai musalmano key halaat kharaab hai purey aalam key ander , kya kuch hora hai musalmano key saath , lekin khud musalmano mein Nabi-e-paak (saws) key tariqo key saath kya kuch karrahey hai , kisi ney dekha hai. Aap ka laya huwa pakeeza tariqa , kaisi tabahi aur barbaadi usper chahi huwi hai , kaisey usko maut key ghaat utara jaraha hai , kaisey uska gala ghota jaraha hai , iss ummat ney kabhi isper ghaur nai kiya . Tum Nabi key tariqo ka gala ghotogey , tum unko zaye karogey , tum unkey beyizzati karogey toh Khuda tumko izzat sey rakheyga? toh Khuda tumko abaad rakheyga? Khuda tumharey halaat ko banayega? phir dushmano ko tum per nai chodeyga ? - Jaisi karni waisi bharni . Ye jo hamarey saath horaha hai hamarey hi kartootey hai .

Puuri ummat mein aap ghoomlijiye , chalphir key dekhlijiye , key ummat kis haal mein hai , kya karrahi hai Nabi-e-paak (saws) key tariqo key saath , namaazo ka kya haal hai , sunnato ka kya haal hai , tehzeeb ka kya haal hai , culture ka kya haal hai , ma'ashirat ka kya haal hai , libaas ka kya haal hai , khaaney peeney aur khushi ghum mein kya tariqey chal rahey hai , mamulaat kaisey hai , sab dekhlijiye aap . Jab hum Huzur-e-paak (saws) key hayat-e-mubaraka aur aapkey pakeeza tariqo key saath khel tamasha karingey aur ye khel tamasha hota kyun hai - Allah paak ki rububiyat ka yaqeen nikaljaney ki wajeh sey , La ilaha illallah ka yaqeen mujmayil hojaney ki wajeh sey , aqeedat key ander istehzaar ki kami hojaani ki wajeh sey , parda cha jaata hai aadmi key uper , aur aadmi iss duniya ko sonchney ka , dekhney ka , jayeza leney ka andaaz wohi ikhtiyaar karta hai jo unlogo ka hota hai jinka akhirat per yaqeen nahi hai , jo emaan nai rakhtey , jo beyimaan hotey hai , unkey tariqey key mutabiq sonchta hai , unhikey taur tariqey ikhtiyaar karta hai , unhi jaisey program banata hai , unhi jaisey mansubiya bandiyo ko jaari karta hai.

Zaahir hai kyunkey haalat unkey saath ghair hai iswajeh sey key unko akhirat mein koi hissa nahi , jo ghair nai ha, apney hai, lehaza unko pakda jaata hai - tumhari tambi kijayegi, tumhari tehzeeb ki jayegi , tumhey dhoya jayega, tumharey gunaho ko maaf kiya jayega , tumhey Allah key taraf mutawajjeh honey ka chance diya jayega, jaisakey hadith sharif mein hai -"Uss waqt tak ummat sey halaat ko hataya nahi jayega jab tak key tum apney haalat per waapis nai aaogey".

Allah sey zyaada koi ilm rakhney wala nai , Allah sey zyaada koi taqat wala nai , Allah sey zyaada koi tadbeer wala nai , Allah toh woh zaat-ali hai key jisney jo tadbeer ikhtiyaar ki usko usikey tadbeero mein lapeytdingey , Allah key liye koi mushkil nai , ye toh Allah paak kartey aaye hai , Allah kartey rahey hai ye sab . Firaun ye samajta raha key saarey baccho ko hi main maardiya toh phir kaun hoga , Allah ney kaha jis bacchey sey teri barbaadi hai usko terey ghar mein paalunga , maar kitney baccho ko maarta hai. Usi sey nigrani karadi , jisko uper jitna zyaada khatra tha uss uper utni zyada hifazat lagadi , jissey jitni zyaada nafrat thi ussey utni zyaada mohabbat daaldi. Allah paak ney firaun key nigaho ko Musa(as) key nigrani key liye istemaal kiya - Quran-e-paak mein hai. Jaise hi tumko dekheyga main uskey dil mein tumhari mohabbat daaldunga. Jis nafrat aur dushmani ki nigaho sey woh dekhta tha bani israeli key baccho ko - key kahi ye woh toh nai hai , ye woh toh nai hai , jo merey liye khatra baneyga , nujumiya ney bataya tha , bas usi dekhney key ander Allah paak mohabbat daldetey , mohabbat aaney key baad kya karsakta , kuch nai karsakta .

Aur jab woh dushman peecha karta bani israeliyo ka , sonchtey huwe key - ye thodey sey log hai , hum iss waqt khuwwat waley hai , aur hamarey paas taaqat hai , aur hamarey paas puura samaan hai , humto inko bhusa banadingey thodi der mein , inkey paas toh kuch hai bhi nai jissey apni hifazat karey. Allah paak ney irshad farmaya Quran-e-paak mein - "ye log baniisraeli key peechey nikalrain nai they , inko main nikaalraun tha" , key aao tumharsey kaam hai , thoda aao ." Humney nikaala unko unkey baagho mein sey , chashmo mein sey , khazano aur maalo mein sey , izzat ki kursiyo pey sey , woh samajhrahey hai key hum jaarahey hai peecha karney key liye ". Allah kehrahey hai key woh jaa nahi rahey they , main laa raha tha unko . Wahin sab ko dubodiya.


Log chaal chaltey hai , Allah bhi chaal chaltey hai . Jitni buri tadbeerey karney waley kartey hai , unko pata nahi hota key unhi key tadbeer usi ka ghera daaldeti hai Allah key taraf sey . Allah paak ki shaan hai .

Jitni aadmi mehnat karta hai utni imaan mein taraqqi hoti rehti hai. Nabi key imaan key kisi ka imaan pahunch hi nai sakta . Ghair-e-nabi kabhi nabi key imaan ko pahunch hi nai sakta. Nabiyo mein Imamul Anbiya Huzur-e-paak(saws) hai , toh kya imaan hoga aap andaaza lagalijiye. Ghari-e-nabi mein sabsey afzal imaan waley woh AbuBakker Siddiq (rz) hai , pichley zamaney key bhi , baad key zamaney key bhi , aap sabsey afzal hai. Huzur(saws) ney farmaya - "Abubakker ka imaan eik padley mein rakhdo aur puuri ummat ka imaan eik padley mein rakhdo Abubakker ka padla bhari hojayega" , aur puri ummat mein sarey Sahaba bhi shaamil hai , aap andaaza lagalijiye.

Imaan , imaan ki taaqat hoti hai , imaan ki quwwat hoti hai , iman ki kaifiyat hoti hai , imaan ka eik zauq hota hai , woh jo zauq hai woh mehnat musalsal kartey rehney sey badta hai.

Do raasto sey manzil aati hai - aadmi key seedhey raastey pey chalna aur chalna , aadmi ka thairna nahi , chalna.

Puri duniya key musalmano mein La ilaha illallah ka yaqeen paida hojaye aur puri duniya key musalmano mein Huzur-e-paak(saws) ka tariqa amali aetbaar sey zinda hojaye , kisiko bhi huzur(saws) key tariqey key ilawa koi aur tariqa pasand hi na aaye , sabsey nafrat hojaye. Aisey musalmano mein jazba aajaye. Aisi mehnat merey dosto puri duniya mein karna hai.

Allah ki rububiyat per bharosa karingey , Allah per tawakkal karingey , Allah karney waley hai , Allah asbaab bananey waley hai , nafs aur shaitaan toh apney saath mein laga huwa hi hai - mera jee bolega toh main jaunga - jee hai hi nai haan bolney key wastey , ye jee iss kaam mein haan bolney key wastey hai hi nai , dusrey kaamo mein haan bolney key wastey hai jee , merey halaat banjayingey toh main jaunga - halaat toh jaaney key baad banney waley hai , isliye merey dosto himmat sey kaam lena padta hai , nafs ki mukhalifat karni padti hai , zindagi ka koi bharosa nai , jo waqt baakhi hai woh kahi zaye na hojaye , Allah paak uski khader karney wala banadey , hum sab mein mizaj-ebrahimi aajaye, Haqta'la shanahu mujhey aur aapku , hum sabko apney mubarak deen ki mehnat key liye sifat-e-qubuliyat key saath qubul farmaley , himmat aur iraadey karkey apney naam batao.

No comments:

Post a Comment