Showing posts with label Markaz bayaans. Show all posts
Showing posts with label Markaz bayaans. Show all posts

Monday, May 5, 2008

Mufti Abu Bakker Saab , Markaz Bayaan, 4th May 08

------------------------------------
Saari ki saari makhluqaat - Jamataat, Nabataat, Haiwanaat saari ki saari makhluqaat ye Allah ta'ala key ikhtiyaar mein hain, banney sey pehley bhi Allah key tasarruf wa ikhtiyaar mein thi, banney key baad mein Allah ta'ala key tasarruf wa ikhtiyaar mein hain. Koi makhlooq Allah ta'ala sey beyniyaaz nahi hain.

Asbaab key paida karney waley bhi Allah, asbaab key chalaney waley bhi Allah, Musabbibul-Asbaab hai woh. La howla wala quwwat illa billah - Har khisam ki khuwwat, har khisam ki taaqat ye Allah key khazano sey hain. Ye aadmi ka imaan banjaye key saari ki saari kayenaat mein, saari ki saari makhluuq mein Allah key ilawa koi karney wala hi nai hain. Jab ye yaqeen banjaye toh aadmi sirf Allah sey maangeyga. Allah sey maangney ko du'a kehtey hain, Makhluuq sey maangney ko sawaal kehtey hain. Phir woh postman key moneyorder laaneyper, postman key haath nai chumeyga, pair nai dabayega, postman ye deney wala nai hain, ye toh laaneywala hain, ye toh sabab hai, asal nai hain.

Allah ka dena bhi dena hain, aur Allah ka nai dena bhi dena hain. Jaisey baccha maa sey maangta hai mujhey chaakhu do, pair patakta hai zameen per, mujhey chaakhu chahiye chahiye, aur maa usey nai deti hain. Maa ka nai dena bhi dena hain. Dedeygi toh nukhsaan karleyga, zakham lagaleyga. Nai dena bhi dena hain. Jaisey bacchey ka ilm maa key saamney mehood hain, kamzor hain, isi tareekhey sey bandey ka ilm Allah key ilm key saamney koi haisiyat nai rakhta. Allah ka nai dena kisi bukhul ki wajeh sey nai hain, Allah ka nai dena ainey-rehmat hain. Baccha jo maangta hai woh miljaye nizaam hi nai chalsakta zindagi ka.

Hosakta hai tum bahut sarey cheezo ko accha samajtey ho, woh tumharey liye buri hoti hain, aur bahut saarey cheezo ko tum bura samajhtey ho woh Allah key yahan acchi hoti hain, Allah jaaney tumhey kya maloom.

Allah ka ilm kaamil hain, maazi ko jaantey hain, mustaqbil ko jaantey hain, haal ko jaantey hain. Insaan ka ilm toh naakhis hain, step by step develop hotey rehta hai woh. Woh toh zindagi key tajrubey hotey hain, experience hotey hain, toh apney tajrubey key roshni mein woh faisla karta hain. Insaan ka ilm mehduud hain, insaan ka ilm naakhis hain, isliye badaltey rehta hain, - kabhi kehraha hain key main bander tha, kabhi kehta hain main dhamakey sey bangaya. Iska ilm badaltey rehta hain, kyunkey iska ilm naakhis hain, uncomplete hain, aur Allah tabaraku wa ta'ala ka ilm kaamil hain, isliye woh badalta nai hain. Aur jo nabiyo key shariatey badli hain, woh Allah ka ilm nai badla, balkey Allah tabaraku wa ta'ala pehley sey jaantey they key kis nabi ko kaunsi shariat dena hain. Jaisey Hakeem ko pehley sey maloom rehta hain key kis mauqey pey kaunsa nusqa mareez ko dena hain - key pehley ye dawa khau, phir uskey baad ye dawa khau, phir uskey baad ye dawa khau. Allah ta'la ney Musa(as) ko shariat dee, Eesa(as) ko jo shariat dee, Sarkar-e-DoAalam(saws) ko jo shariat ata farmayi, woh saari key saari shariatey Allah ta'ala ko pehley sey hi maluum thi, key insaan key uss umer key marhaley mein usii shariat ka dena uss insaniyat key liye munaasib tha, toh Allah ney wahi shariat ata farmayi. Jaisa baccha hota hain, bacchey key jiss umer mein jo kapda munaasib hota hain, woh kapda pehnaya jaata hain.

SABAR:

Merey Allah Hakeem hain, hikmat waley hain, merey Allah ka koi faisla hikmat sey khaali nai hain, Merey Allah Hakim hain, faisla karney waley hain aur Merey Allah Raheem hain, reham karney waley hain, zaalim nahi. Unka mujhper halaat ka daalna ye zulm ki wajeh sey nai hain, balkey unka mujhper halaat ka daalna kisi na kisi hikmat ki wajeh sey hain, key iskey ander aajzi paida hojaye, iskey ander apney gunaho per roney ka mizaaj aajaye. Jis tareekhey sey eik Maa apney bacchey ko ragad ragad key nehlaati hain, dekhney waley kehtey hain key kaisi zaalim hain, key aisa ragadrahi hain key baccha cheekho pukaar karraha hain, lekin ye ragad ragad key nehlaana ye maa ki ghaib-e-shafaqat ka takhaaza hain, key ye toh safayi banjayegi iski. Allah ta'ala ijtemayi taur pey halaat ka daalna, infiradi taur per halaat ka daalna, ye bando ki ghaflat ko duur karney key liye hota hain, bandey ko apney sey khareeb karney key liye hota hain, key bandey ko Allah ta'ala sey khareeb honey ka uns bhi haasil hota hain - key Allahwalo ko badi si badi museebat bhi museebat maloom nai huwi, kyun mehsoos nai huwi? - key ye merey Allah key taraf sey hain. Allah ta'ala sabar karney walo key saath hain, Allah ta'ala sabar karney walo ko pasand farmatey hain. Aap sabar kijiye aap hamarey nigaho key saath hain. Sabr kareyga toh Allah usey chunlingey, ager woh khush hojayega halaat key aaney per, sabr bhi karraha hain, khush bhi horaha hain, toh phir Allah ta'ala usey apna khareebi banaletey hain.

Raahat aagayi toh e'badat ki, raahat chaleygayi toh Allah ki e'badat nai ki, naraaz hogaya Allah sey. Toh ye Allah ka banda nai hain, ye Raahat ka banda hain. Ye toh Raahat ka banda hain, key raahat jab tak thi jab tak Allah ki i'baadat ki aur raahat ko Allah ney thodi der key liye cheenliya toh phir usmein Allah ki nafarmani shuru kardi. Raahat key bandey nai banna hai, Allah key bandey banna hain.

Leyrahey mamuuli si duniya ki khatam honey waley cheezo ko, deyrahey hain ussey badi cheezein. Ye bhi toh soncha hoga kabhi. Lerahey hain duniya ki 60, 70 saala zindagi mein sey bacchey ko, biwi ko, aulaad ko, sehat ko, dil ko, haath ko, gurdey ko, - kuch lerahey hain Allah aur woh bhi diya huwa hi lerahey hain, jo Allah cheenliye woh bhi Allah ki hain, jo derahey hain woh bhi Allah ki hain. Deneywala leyraha hain toh shikayat kis baat pey hain. Aur jis aadmi ney shikayat kardi phir uska sabar khatam hogaya. Neki key khazano mein sey hain key aadmi museebat ko chupaye.

Jis aadmi ney museebat ko bolta phira woh sabar karneywala nai hain.

Sabr karleyga Allah ta'ala ajar ata farmadingey, sabr karleyga toh mayoosi khatam hojayegi, sabr karleyga himmat baneygi.

SHUKR:

Aur shukr ka mizaaj banjaye toh Allah ta'ala nemato mein izaafa karingey, Ne'mat toh bhagodey jaanwar ki tarah hain, woh toh bhagjayegi fauran, shukr kartey rahogey toh mutayyin raheygi.


  • Ne'matey jafa kya hain - key haat diye, pair diye, aankh diye, kaan diye.
  • Ne'matey dafa kya hain- key andha nai banaya, langda nai banaya, behra nai banaya, lula nai banaya.
  • Ne'mat taufeeq kya hain - key Imaan diya, amal diya, kisi deeni mehnat sey joddiya, Allahwalo ki sohbat deydi.
  • Ne'mat ismat ye hain- key kufr sey bachaya, shirk sey bachaya, nashukri sey bachaya, nifaaq sey bachaya, beydeeni sey bachaya.
Key jiss khader ki bhi ne'mat hai woh Allah ta'ala ki taraf sey hain, Allah ta'la ney tumhey bhi paida kiya aur jo tum a'amaal karrahey ho woh bhi Allah ney hi paida kiya. Key shukr ka mizaaj hoga toh takabbur paida nai hoga, toh kam sey kam ne'mat ka ehsaas toh raheyga key Allah ney mujhey ne'mat dee hain.

Har haal mein Allah key hukmo pey jamjaana. Allah key zaat sey honey ka yaqeen hoga toh Allah per bharosa kareyga, Allah per tawakkul kareyga. Key Tawakkul - asbaab key chodney ka naam nai hain, asbaab ki taraf sey nigaho key hataaney ka naam hain. Allah ki zaat per yaqeen aajaye.

Allah kaisey paalney waley hai:

Hazrat-e-Musa(as) ney Allah sey farmaya key - " Allah aap iss Firaun ko paalrahey hain jo khudayi ka dawa karta hain, aap iss Firaun ko paalrahey hain jo aapkey nabi ko jhutlata hain, iss Firaun ko paalrahey hain, iss Firaun ko sehat derahey hain key jo aapkey bando ko ghulam banaraha hain" toh Allah ta'ala ney farmaya - " usney bandagi chod'di toh mainey khudayi nai chod'di ".

Kauwwa jab paida hota hain, toh usski maa bhi usko nai pehchanti hain, key main toh kaali ye safaide kaisey paida hogaya, toh usko ghiza hi nai deti hain, Allah usko ghiza deta hain. Maa bhi bacchey ko nai pehchanri, Allah pehchaanta hain. Keedey udh udh key uskey paas aatey hain, jisko woh ghiza banata hain. Phir jab thodi si umer hoti hai toh woh kaala honey lagta hain, ab usko maa pehchanti hain key ye toh mera hi hain. - " Tumhara rizq toh aasmano mein hain, aur woh tamaam cheezein jiska tumko wada kiya jaaraha hain ".

Rizq key peechey bhaagta hain, Razzakh ko bhuuljata hain, nafey key peechey bhaagta hain, nafa deney waley ko bhuuljata hain. Allah key karney dharney ka yaqeen hoga toh phir Allah sey dareyga. Imaan banjata hain toh saari ki saari makhluqaat nafey nukhsaan key pahunchaney key aetbaar sey mengniyo sey bhi battar nazar aati hain key ye mujhey kya nafa nukhsaan dengey.

Jab yaqeen kamzor hojayega toh makhlooq key saamney jaakey Khaliq ki shikayat kareyga key dekho Allah ney merey saath aisa kardiya, eik Raheem zaat ki shikayat ghair raheem key paas jaakey karraha hain, Eik beniyaaz zaat ki shikaayat mohtaaj bandey key paas karraha hain. Imaan baneyga toh Imaan key sifaat aayingey. Ye saari key saari Imaan key sifaat hain.

Hayatey Tayyiba:

Jab Imaan saarey key saarey ausaaf key saath aayega toh phir Allah ta'ala usko Hayatey Tayyiba ata farmatey hain. Hayatey Tayyiba kisi kehtey hain - HayateyTayyiba ka matlab ye nahi key usko beemari nahi aati hain, HayateTayyiba ka matlab ye nahi key uskey uper halaat nai aatey, HayateyTayyiba ka ye matlab nahi key uskey uper tangiya nahi aati hain, HayateyTayyiba ka matlab ye hain key Allah ta'ala usey Sabar, Shukr, Qana'at ki woh daulat ata kartey hain key woh har haal mein chain sey rehta hain. Key Museebat saamaney-museebat ka naam nahi hai, museebat dil ki tangi ka naam hain.

Museebat key samaan toh hain lekin aadmi sukoon sey hain, akhli aetbaar sey sukuun mein hain, tabiyat mein thodi si bechaini hogi key ye toh hona hi hain, ye toh hona chahiye. Sarkar-e-DoAalam(saws) key chaaro beto ka inteqaal hogaya (eik betey ka inteqaal hogaya toh log paagal hojatey hain), aur sabsey badi umer Syed Ibrahim ki , dhai saal (2.5) umer key they, Sarkar(saws) farmarahey hain key humto wahi baat kahingey jissey Allah raazi ho, Allah ku naraaz karney waali baat nai kahingey-" Allah jo leliya woh bhi Allah ka hain, Allah ney jo dediya woh bhi Allah ka hain." Bas, Akhal key aetbaar sey koi shikaayat nahi, lekin Tabiyat, tabiyat toh roti hain, hum bas ye kehtey hai key - Ebrahim terey judai sey hum ghamzada hain. Tabiyat ka jo takhaza hai usey pura kiya jaye, Akhal ka jo takhaza hain usey pura kiya jaye. Lekin tabiyat key takhazey key wajeh sey akhal ko nahi choda.

Tabiyat kehti hain, nashukri karey, tabiyat kehti hain apney jism per maarley, kapdey phaadley, ye nahi, kisi haal mein nahi, key gham key haalat mein Allah key hukum pey jamna hain.

Umme Talha(rza) ka baccha shaheed hogaya, aur woh maluum karkey aarahi thi key mera baccha Allah key raastey mein shaheed hogaya, toh raastey mein kisi ney kaha key - tera baccha margaya hain, phir bhi tuney apney kapdey nai phadey, phir bhi tuney apney chehrey per tamachey nai maarey, phir bhi tuney apney gireybaan ko chaak nai kiya. UmmeTalha(rza) ney kaha key - "mainey apney bacchey ko khodiya hain lekin mainey apni haya aur imaan ko nahi khoya hain." Khushi mein bhi, gham mein bhi, har haal mein Allah key hukmo pey jamna hai.

UmmeHabeeba(rza), Sarkar-e-DoAalam(saws) key biwi hain, baap ka inteqaal hogaya, teen din tak sog banaya, teen din tak gham banana hai bas. Tabiyat ka takhaza hota hai key aadmi ko gham hota hain kisi cheez key chutney sey, toh shariat ney tabiyat key takhazey ka bhi aetbaar kiya. Teen din tak gham banaya, teen din key baad khushbu laganey lagey aur apney sehliyo sey farmaya - mujhey khushbu laganey ki koi zorrat nai thi, lekin mainey Sarkar-e-DoAalam(saws) sey sunrakha hain key "ager shouhar ka inteqal hojaye toh 4 mahiney 10 din, ager kisi khareebi rishtedaar baap waghaira ka inteqaal hojaye toh teen din sog manaya jaye, teen din sey zyaada sog aur gham banana ye jaayaz nai hain," isliye main khushbu ka istemaal karrahi hu.

Hamara Imaan kamzor hogaya, na khushi mein khuda yaad raha, na gham mein khuda yaad raha. Key khushi mein hadd sey aagey nikalgaye, aur gham mein bhi Allah key hukum ko paar kardiya.

Allah key hukmo pey chalna hain, isliye key Allah ney kaha hain, it'aat wala mizaaj aajaye. Key jo Duniyo key maslihato key liye Allah key hukmo per chaleyga, woh Allah ka banda nai hain, woh Maslihato ka banda hain.

Hakeem-ul-Ummat Ashraf Ali Thanwi(ra) farmaya kartey they key - "Main tabiyat ko akhal per ghaalib honey nai deta aur akhal ko shariat per ghaalib honey nai deta." Shariat toh Allah ki dee huwi hain, aur Allah key hukmo ko apni akhal mein tolna aisa hai jaisey kisi sunaar ka apney tarazu key ander lohey ko tolna, koi haisiyat nai rakhta, key tarazu bhi tootjayega.

Isliye merey dosto Imaan bhi banjaye, Imaan key sifaat bhi aajaye. Kisi eik deen key hissey per chalney sey kaam nai chalneywala. Key Allah ta'ala ney toh puurey deen per chalney ka hamsey mataaliba kiya hain. Aur Sarkar-e-DoAalam(saws) key tareeqey key mutaabiq hi chalna hain, key Allah ta'ala ney Anbiya(as) ki khaalis tarbiyat farmayi hain. Anbiya(as) ka har amal woh Allah ta'ala key taraf sey batlaya huwa hain - daye haath sey khaana hain, daaya pair sey daakhil hokey jaana hain.

BID'AT:


Sahaba-ikraam ney sunnat key ander zarri baraabar tabdeel ko gawara nahi kiya. Jaisey shirk battareen cheez waisey hi bid'at bhi battareen cheez hain. Hazrat Abdullah-bin-Umer(rz) key paas eik aadmi baitha huwa tha, cheek aatey hi usney kehdiya -Alhamdulillah wassalatu wassalam ala rasulillah. Hazrat Abdullah-bin-Umer(rz) ney kaha key kaha sey tu ye bid'at laraha hain. Cheek key aaney per Alhamdulillah kehna sunnat hain, wassalatu wassalamu kaha sey laadiya. Jitna kaha jaraha hain, bas utna hi kar.

Bid'ati ko ye dhokey mein rehta hain key sahaba ko zyaada akhal nai thi, aur Sahaba ko zyaada mohabbat nai thi, Rasulullah(saws) key saath mujhey zyaada mohabbat hai isliye main karunga. Isliye bid'ati ko tauba ki taufeeq bhi jaldi nai hoti.

Allah ta'ala ney Anbiya(as) ko bheja, Sahaba ko paida kiya, Auliya-ikram ko paida kiya, aur eik eik Nabi, eik eik Sahabi, aur eik eik Wali, aur unki puuri zindagi, aur unkey zindagiyo ka eik eik din bahut bada kaarnama tha. Ager unkey paidaish ka din banaya jaye, ager unkey marney ka din manaya jaye, aur unkey kaarnamo ka din banaya jaye toh saal key 12 mahiney, aur saal key 12 mahino key 360 din, aur 360 din ka eik eik ghanta bhi nakaafi hain. Itney karnaamey hain, itney auliya hain, itney sahaba hain, itney anbiya hain, aur unkey eik eik din key zindagi key kaarnamein hain.

Lekin Shariat ka mizaaj ye hain key woh shaksiyato key paidaish key din, aur shaksiyato key marney key din ko nahi, balkey shaksiyato key qurbaaniyo ki yaadgaar baakhi rakhta hain. Ebrahim(as) ney Allah key wado ko puura kiya, Allah key hukmo ko pura kiya, toh Allah ney unki paidaish ka din mananey key liye nai kaha, balkey Allah ta'ala ney farmaya unhuney jaisi qurbaniya dee hain, waisi qurbaniya tum do. Key Allah ta'ala Ebrahim(as) ki paidaish aur wafaat ka din nahi, balkey Ebrahim(as) ki qurbaniyo ko zinda rakhwana chahtey hain.

Jiss amal ki sunnat chutjaati hain, uss amal ki rasmiyat aajati hain, aur rasam key uper koi sawaab nai hai. Formality aajati hai toh reality nikaljaati hain.

Sunnat sey hatgayi, ummat sunnat sey hatgayi toh saari key saari tabahiya waha sey shuru huwi. Sunnato ko maluum karna hain, eik eik sunnat ko maluum karkey usko apney zindagiyo mein laana hain.

I'lm:

Eik aadmi doctory padraha hain, aur usney insaan key nizaam key saarey rago ko dekha hain, jaanta hai key aisi rago ka Allah ney nizaam banaya key saari duniya key atraaf eik insaan ki rag ko ghumana chahey toh ghumadi jaasakti hain, lekin becharey ko 2 raka'at shukrana padney ki taufeeq nai mili. Ilm aagaya, A'leem tak nahi pahunchsaka. Haqiqi mano mein I'lm woh hai jo aadmi ko A'leem tak pahunchadey, Allah tak pahunchadey.

Isliye merey azizo dosto, jitna i'lm badeyga aadmi ka utna uska khauf badeyga, jitna i'lm badeyga Allah ta'ala sey ummeedein badeygi, jitna i'lm badeyga Imaani kaifiyaat badeygi, jitna i'lm badeyga uska utna ikhlaas badeyga. I'lm aayega toh ikhlaas bhi aayega. Key Imaan hi Ikhlaas ka naam hain, aur Ikhlaas hi Imaan ka naam hain.

Mamulaat, Mua'shirat aur Akhlaqiyat:

Deen ka eik feesad hissa (25%) E'badaat ka hain, teen feesad hissa (75%) Mamulaat, Mua'shirat aur Akhlaqiyat ka hain.

Ab ager ye samjhey key main sirf E'badaat per chalkey puurey deen per chalraha hu, toh woh badey dhokey mein hain. Sirf Namaaz padkey samjhey key main deendaar hogaya hu. Andho ko shauq huwa key hamein samajna hai key haathi kaisa hota hain, gol aakey khadey hogaye-Eik ney haathi key pair ku pakadker samajgaya key haathi pillar ki tarah hota hain, eik ney haathi key dum ko pakadker samjha key haathi rassi ki tarah hota hain, kisi ney suunt ko pakadkey samja key haathi pipe ki tarah hota hain. Arey tuney haathi key eik hissey ko dekhker puura haathi samajliya hain, puura haathi toh inn saari cheezo ko milaaker banta hain. Chand rupye masjid mein dekar samajraha hai key main deen per chalraha hu, do ya chaar dafa namaaz padker(mauqa milney per padkey) ye samajraha key main deendaar hu. Deen key eik hissey ko lekar ummat dhokey mein padi huwi hai key hum deen per chalrahey hain.

Eik baalish zameen per khabsa kareyga toh Qiyamat key din Allah ta'ala 7 zameeno ka tauk banaker uskey galey mein daaldingey, kaha sey jheleyga. Mamulaat kharaab hogaye, maal haraam aagaya, isliye najayaz khahishaat paida hogaye.

Mamulaat ki kharaabi sey zyaada, Mu'ashirat ki kharaabi ka nuqsaan zyaada hota hain. Mu'ashirat mein toh dilo key jod ka masla hain. Muamluaat mein maal ka masla hota hain, Muashirat aur Akhlaqiyaat mein dil ka masla hota hain. Aur Kabatullah ko todney sey zyaada Imaanwaley key dil ko todney ka gunah hain. Masjid todo toh hungama khada hojata hain, aur 24 ghantey key ander kai martaba imaanwaley key dilo key uper churey chaakhu chalana uska koi gham nai hain.

Saari ki saari Mu'ashirat ka khulaasa ye hai key kisi bhi Imaanwaley ko merey amal key zariye sey takleef na pahunchey. Dusro key acchaiyo per nigaah padjaye, apney ayebo per nigaah padjaye.

Takabbur kaun karta hain, jo apni auqaat ko bhooljata hain. Jo ye tamanna karta hai key log khadey hokey uska isteqbaal karey toh woh jahannum mein apna thikaana dekhey. Duniya mein sabsey pehla gunah takabbur ka huwa, shaytaan ney sabsey pehley takabbur kiya. Key Takabbur toh kufr sey bhi zyaada khatarnaak hain, kyunkey kaafir ko bhi hidaayat milti hain, lekin mutakabbir jabtak mutakabbir rehta hai usey hidaayat nai milti. Aur kufr tak bhi takabbur hi lejata hain, key main maanu kyun iski. Isliye Salaam mein pehel karna hain, key salaam mein pehel karney wala takabbur sey bari hain. Aur takabbur hain, isliye ummeed hain key log mujhey pehley salaam karey.

Mua'shirat bahut ahem hain. Ummat key ander toh abhi satar poshi hi nyaayi, parda kya aayega. Satar key baad hijaab hota hain, satar hi nyaaya ummat key ander.

"Sasuraal key rishtedaaro ko toh maut samajna hain" Sarkar(saws) ney farmaya. Parda toh Shariat ka haq hain, Shouhar ka haq nai hain. Saab mera shouhar parda nai karata, merey susurey saab parda nai karatey. Ye shouhar ka haq nai hain, susurey ka haq nai hain, baap ka haq nai hain, maa ka haq nai hain, ye pardey ka karna shariat ka haq hain. Kisi key maaf karney sey maaf nai hota hain.
Kehtey hain - nai hamarey dil bahut saaf hain. Aur Sarkar-e-DoAalam(saws) farmarain, apney biwiyo sey farmarain, eik sahabi aagaye toh apney biwiyo sey farmarain key parda karlo. Aisha(rza) ney farmaya key woh toh dekhnai sakta, woh toh andha hain. Sarkaar(saws) ney farmaya - kya tumhey dikhayi nai dera.
Aur Quran-e-kareem Sahaba sey kehraha hain - Aye Sahaba apney maao sey(Sarkar-e-DoAalam(saws) ki biwiyo sey) koi cheez maangna hai toh pardey key peechey sey maango. Jo aadmi ye kehraha hai key mera dil paak hain, jo aurat ye kehrahi hai key mera dil paak hain, woh ye kehrahi hain key mera dil Sarkar-e-DoAalam(saws) ki biwiyo sey zyaada aur mera dil Sahaba key dilo sey zyaada pakeeza hogaya. Sarkar(saws) ki biwiyo sey zyaada, hamari ummat ki maao sey zyaada, aur Sahaba-ikraam key dilo sey zyaada kisi ka dil paakeeza nai hosakta aur unsey Allah ney ye hukum diya.

Mua'shirat aajaye. Majlis mein baithey huwe hain do aadmi baat karrahein hain, Sarkar(saws) ney yaha tak farmaya key jabtak woh ijaazat na dey tum majlis mein aakey mat baitho, takleef hojayegi unko.

Teen aadmi baithey huwe hain, toh do aadmi kaanapursi na karey, becharey ko takleef hogi key najaaney ye kya baat karrahey hain.

Quran-e-kareem ki ayat ka khulasa hain key - "koi bhi aadmi koi khaber lekey aajaye, toh usper bharosa mat karo, maluum karlo key ye baat sahi bhi hai ya nahi. "

Badgumani:

Badgumani nai karna hai Imaanwaley sey. "Aye Imaanwalo bahut saarey gumaano sey bacho." Masla maluum karlo kaunsa gumaan rakhna jaayaz hain, kaunsa gumaan rakhna haraam hain, kaunsa gumaan rakhna mustahab hain. Allah sey bura gumaan rakhna ye haraam hain. Imaanwaley sey accha gumaan rakhna ye acchi i'baadat hain. Key Imaanwaley sey bura gumaan rakhney key liye daleel chahiye, acchey gumaan key liye koi daleel nai chahiye key Imaanwala hai, accha sonchna hai uskey baarey mein.

Hazrat Hasan Basri(ra) ney eik khatoon ko dekha key sirf khabil-e-sharm hissey ko chupayi huwi hain, aur uskey saamney koi ladkiya hai uski, aur ye talaab key kinarey per bottle key ander kuch peerahi hain aur unn ladkiyo ko pilaarahi hain. Hazrath HasanBasri(ra) ney duur sey dekha toh dimaagh mein eik film ghoomgayi key ye toh aisey hongey, aisey hongey, aisey. Toh uss khatoon ney mutawajjeh hokar kaha key -" Hasan badgumaan na hona, hum koi sharaab nai peerahey hain, hum koi behayayi nai karrahey hain, hamarey paas tan dhakney key liye siwaye inn chithdo key aur kuch nai hain, aur peth ki aag ku bujhaney key liye siwaye iss talaab key paani key kuch nahi hain." Key iss haal mein bhi kisi key baarein mein badgumaani nai karna hain. Kyunkey accha sonchney ka, aur acchi taaveel karney ka imkaan yahanpey baakhi hain.

Khamokha tajassus mein nai padna hain, key iskey ander kya kamiya hain, iskey ander kya kamiya hain. Kharabi toh yaha sey hain key aadmi ko apney kamiyo sey nigaah hatgayi aur dusron key naqaais key uper padgayi.
Hazrath-e-AbuBakker Siddeeq(rz) sey kisi aadmi ney kaha key" tuu aisa hain, tuu aisa hain." Hazrath-e-AbuBakker Siddeeq(rz) ney farmaya key - "aur jinn ayebo per merey Allah ney parda daaldiya hain, aur tujhsey chupaadiya hain, woh toh ussey bahuut zyaada hain jitney tuney boley hain."

Aadmi ko apney kamiyo per nigaah padeygi toh woh dusron ka ehteraam kareyga. Key jo gunah karrakhey hain woh yaqeeni hain, jo nekiya karrakhi hain uska qubuul hona yaqeeni nai hain. Aur jab Allah badey sey badey gunah ko maaf karsaktey hain aur chotey sey chotey gunah per pakad karsaktey hain phir toh apney barey mein mutmayin kaisey rehsakta hain.

Imaanwala mutmayin nai rehta, woh toh bechain rehta hain key mera result qiyamat key din sahi nikaljaye.

Jisko apney ayebo ki islaah ki fikar miljaye usko bahut bada khair milgaya. Key gaadi jab sadak per peechey hogayi, toh saamney key gaadi key ayebo per nazar padney laggayi, key iska tyre kharaab hain, issper gobar lagahuwa hain. Key ayebo per nazar padna khud'hi aadmi ki tanazzuli aur peechey hojaaney ki alaamat hain, key jo taraqqi karraha hain aur jo tez raftaar sey daudraha hain, aur jo manaazil taye karraha hain, usey toh fursat hi nai hain dusro key ayebo ko dekhney ki. "Key aadmi key burayi key liye ye kaafi hai key woh Imaanwaley ko halka samjhey."

Eik buzurg ney farmaya -" Jo aadmi saari ki saari insaaniyat sey aur kuttey aur khinzeer sey apney aapku battar samajney na lagjaye, tabtak uska Imaan mukammal nai hosakta hain,"- key unn darindo, unn parindo sey, unn jaanwaro sey hisaab bhi nai lengey aur tujhsey toh hisaab liya jayega. Key tera toh Imaan per khatima tujhey maluum hi nahi hai, phir tu apney aapko dusro sey kaisey behtar samajsakta hain. Daadi rakhney waley ko halka samajliya, arey hosakta hain key woh daadi rakhley aur tujhsey bada wali hojaye.

Badgumaani paida hoti hain, phir badgumaani sey gheebatein shuru hoti hain. Aadmi pehley badgumaani karta hain, phir badgumaani karney key baad phir uskey ayebo ko talaash karta hain, ayebo ko talaash karney key baad phir uski gheebatein karney lagta hain. "Gheebat toh zina sey bhi zyaada khatarnaak hain." Kyun , key zina ka nuqsaan toh do - aurat aur mard ko huwa aur gheebat ka nuqsaan toh khaandano key tabahi key shakal mein huwa. Aur gheeba zina sey isliye dardnaak hain key zina ka na karna ye Allah ka haq hain, yani key - zina karney waley mard aur zina karney wali aurtein Allah key haq ko tod'diya, Aur gheebat karney waleyney bandey key haq ko tod'diya. Gheebat kardi aur uss Imaanwaley ko takleef huwi toh ussey maafi chahna hain.

Isliye eik buzurg ney farmaya - "Jo aadmi do gunaho sey bachney ki zamaanat dedey Allah ta'ala usey saarey gunaho sey bachadeyga, eik badnazri sey bachjaye, eik badgohi sey bachjaye." Kaun bachayega apni nazro ko, woh bachayega key jismein Allah ki muhabbat ghairullah ki muhabbat per ghaalib ho. Wahi apney nigaho ko bachasakta warna koi apni nigaho ko nai bachasakta. Aur gheebat sey woh bacheyga key jiskey dil mein adna sey adna Imaanwaley ki azmat aajaye.

Isliye merey dosto Allah key raastey mein nikalna 100 feesad deen ko apni zindagi mein laaney key liye hain. Allah key raastey mein nikalna zaahiri deen ko bhi laaney key liye hain, aur baatini deen ko bhi laaney key liye hain, main zaahiri gunaho ko bhi chodney wala banjau aur baatini gunaho ko bhi chodney wala banjau.

Baaz log ye samajtey hain key saab zaahir bangaya toh kaafi hain, zaahir banaker aadmi dhokey mein padjaata hain. Zaahir ko dekhker Allah faisla nai kartey hain. " Allah tumharey suurto aur tumharey maalo ko nai dekhtey, tumharey dilo ko aur tumharey a'maal ko dekhtey hain."

Zaahir ko banakey dhokey mein nai padna hain, mager zaahir ka banana bhi ahem hain, kyun - key har cheez ka pehley zaahir hota hain aur zaahir ko dekhker hi baatin ka andaza hota hain. Saab merey dil key ander Ishq-e-Rasool bhara huwa hain. Arey tera jism batadeyga key terey ander kitna Ishq-e-Rasool hain. Insaan bhi duniya key ander baatin ko dekhker khareedta hain - bazaar mein gaya kuch khareedraha hain, chilkey mein dekha -maar laga huwa hain, sada huwa hain toh nai khareedta. Koi aadmi ye nai kehta key saab main ander sey mard hu hi, aurton ka libaas pehnunga. Koi traffic police wala ye nai kehta key main dusrey police ka libaas pehnunga. Jab baatin key ander Allah ki muhabbat hain, jab baatin key ander Rasulullah(saws) ki muhabbat hain toh phir unka pasandida libaas bih tujhey apnaney ka jasba hona chahiye.

Daawat wala Kaam:

Isliye merey dosto ye Dawat wala kaam sarasar amali hain. Hazrath Maulana Ilyaas saab(ra) farmaya kartey they key ye kaam toh sarasar amali hain aur amal mein lagney sey hi ye kaam samajmein aayega aur ye kaam ghair riwaaji hain. Aur ummat Nabuwwat waley kaam sey duur hogayi aur Nabuwwat waley tareeqey sey deen ki mehnat karney sey duur hogayi, sunnat sey itni duur hogayi key sunnat hi ajnabi hogayi. Ye Qiyamat key alamato mein sey hai key Ma'rufaat Munkiraat banjayingey aur Munkiraat Ma'rufaat banjayingey , key log gunaho ko nekiya samajney lagjayingey aur nekiyo ko gunah samajney lagjayingey key ye kya haule shaulo ki tarah bistaro ko lekey phirrahey hain, key kya ye Allah key deen key liye apney bacchey ko 40 din key liye chodraha hain, Duniya key liye saal ha saal key liye chodney key liye kuch masla poochney ki zorrat nyaati usko, iskey liye poochney ki zorrat aati hain.

Ye kaam Quran aur Hadith aur Seerat key sabsey zyaada khareeb hain. Isliye merey dosto kaam ko apni islaah key liye karna hain, aur Allah key raastey mein jana apni islaah key liye hain.

Eik Saahab Hazrath Maulana Yusuf(ra) key paas aaye aur kehney lagey key saab iss kaam mein ye kharaabi hain, aur ye kharaabi hain. Hazrath ney farmaya- bhai dua kardijiye key ye kharaabiya nikaljaye, acchaiya aajaye. Ye dhobighaat ka kaam hain, acchey kapdey bhi aatey hain, burey kapdey bhi aatey hain, sharaabi bhi aata hain, har khisam key log aatey hain. Kaam alag hain, kaam karneywala alag hain. Car alga hain, drvier alag hain - Driver ney lejakey maardiya, ab main ye car nai khareedunga, arey bhai car ki kya kharaabi hain. Islam alaga hain, Musalmaan alag hain- Musalmaan key kisi na-zeba harkat ko dekhker Islaam ko koi nai choddeyga. Kisi aadmi key nazeba harkat ko dekhker kaam ko choddena bhi bewakhoofi hain. Kaam jitna umuumi hoga aiseyhi khisam key log zyaada aajayingey.

Kaam toh saadgi key pardey mein chalraa hain, aur kaam toh qurbaniyo key saath chalta hain. Aur kaam toh ishtehaar key baghair chupaker chalta hain. Allah ta'ala ney akabeer key zehen mein deen key kaam aisey daaley jaisey key Khizar(as) ki kishti thi, key uss kishti key ander takhtey ko nikaaldiya Khizar(as) ney taakey zaalim baadshah ki nigah uss per na padey. Ye kashiti ka ayeb ye kashti ka hifazat ka samaan hain. Iss kaam ki saadgi iss kaam ki hifazat ka samaan hain. Jiss kaam mein sey saadgi nikaljayegi, jiss kaam mein ishtehaar baazi aajayegi, jiss kaam mein riwayati pann aajayega, jiss kaam mein rasmiyat aajayegi, aur jiss kaam mein numayish aajayegi, toh uss kaam ki jaan nikaljayegi.

Kaam toh Allah ta'ala ney aisa dilo mein daala key jo jitney badey pyaaley ko lekarjaata hain woh itna pyaala bhar key laata hain. Maulana farmaya kartey they key Wali bananey wala kaam hai, key zakaat sey ghaafil aadmi jaraha hain- 18 saal ki zakaat dediya. 70 saal ka aadmi nikla aur usney 50 saal ki namazein khaza ki.

Jisko apni islaah ki fikar hogi, jisko apney ayebo per nigaah hogi, jisko khuda ka khauf hoga, jo benafsi key saath, insaaf key saath iss kaam key ander lageyga Allah ta'ala uski bhi islaah farmayingey, aur usko hazaro logo ki hidaayat ka zariya banayingey. Iss kaam mein woh lageyga jo benafsi chaheyga.
Jo shohrat chaheyga, jo muqaam chaheyga, jo izzat chaheyga, jo jah chaheyga, jo duniyavi amraaz ko nikaalna chaheyga woh iss kaam mein nai lagsakta.

Sab niyyat karkey uthey, abtak ki jo zindagi guzri guzri, bachi kuchi zindagi ko Allah ta'ala key ahkaam per Huzur(saws) key tareeqey per guzaarna hain.

Key Saab fala ilaaqey mein behayayi aagayi, fala ilaaqey mein irtedaal shuru hogaya, fala ilaaqey mein beydeeni zoro per hain aur Hum kya karingey - hum ghar pey baithingey! Beydeeni ka khatam hona deen ki mehnat karney key baad hai, beydeeni ka khatam hona beydeeni key uper beychaini key paida honey key baad hain.


  • Pehley toh Mu'ashirat ummat key zindagiyo sey nikalti hain, pehley Mu'ashirat ghairo ki hojaati hain, pehley Mu'ashirat mein irtidaal aata hain, phir Mu'amulaat mein irtidaal aata hain, phir I'badaat chuutti hain tab jaaker ummat Imaaniyaat sey haath dhoti hain.


  • Dosto ummat sey kaha jaraha hain key tum Mu'ashirat mein murtadd hogaye, tum Mu'amulaat mein murtad hogaye, ager mehnat nai karogey toh Ebadaat bhi chuutjayegi, aur mehnat nai karogey toh eik din Imaaniyat sey bhi murtad hojaogey.

Shaytaan seedha baraheraast ekdum sey murtad nai karta. Isliye har haal mein deen ki mehnat karna hain, key deen ki baqa key liye bhi mehnat zaroori hain, deen ki isha'at key liye bhi mehnat zaroori hain. Paani chalta hain, chalta raheyga toh badbu nahi aayegi aur ganda nai hoga, thairjayega toh sadjayega. Daawat chalu raheygi toh ummat key ander deendari ka paani chalta raheyga, naye log aayingey, jayingey, Allah ta'ala phir unkey zariye sey hidayat ki fiza ko aam farmayingey, daawat rukjayegi toh paani sadjayega, nikalney ka raasta khuljayega, aaney ka darwaza band hojayega.

Iskeyliye himmat aur iraadey karkey bataye bhai, 4 , 4 mahiney , 40, 40 din Allah key raastey mein jaaney key liye, - puura deen merey zindagi mein aajaye, aur iss kaam ku main apna zindagi ka maqsad banaker chalney wala banjau, aur Allah key madado key yaqeen key saath iss kaam ko karney wala banjau, iskey liye himmat karkey batayye bhai.

Thursday, January 31, 2008

Mufti Abdul Wahab Saab

Allah jallejalalahu ney jo deen hamein ata farmaya hai , yehi woh deen hai jismein Allah ney hum sab ki kamyabi rakhi hai. Deen kya hai - Allah key bando key liye zindagi guzarney ka eik tareekha . Quran-e-paak mein jaghon jaghon per kaii andaaz mein Allah farmatey hai key humney paida kiya insaano ko . Aur jis Allah ney insaan ku paida kiya wahi Allah behtar jaanta hai key iski zindagi kaisey guzrey toh yeh kamyaab ho.

Jo jis jisku banata hai uskey istemaal ka tareekha bhi wahi batata hai . Kisi cheez ko istemaal kiya jaye bataye huwe tareekhey per, toh cheez ki bhi hifazat hai aur istemaal karney wali ki bhi hifazat hai , balkey ussey faida bhi hoga. Ager cheez ka istemaal , bataye huwe tareekhey key uper nahi kiya jaye toh cheez sey na faida hoga, balkey ultha nukhsaan hoga aur cheez ki hifazat bhi nai hogi.

Allah ney insaan ku paida kiya aur insaan key ahwaal sey Allah waqif hai . Allah taala Quran mein farmatey hai - Humney insaan ku paida kiya aur insaan mein kya cheezein aarahi hai hum sab jaantey hai , uska dil kya chahta hai , uskey ander ki khahishaat kaisey ubharti hai , hum sab jaantey hai , hum uskey jugular vein sey bhi zyaada khareeb hai .

Kahi farmaya - Insaan ku humney banaya , aur humney usko do cheezo sey mila huwa banaya . Khair aur sharr ye dono baatein uskey ander hai. Bhalai wala madda bhi , burai wala madda bhi hai , chahey woh Allah ko khush karkey aur uski raza ko saamney rakhkey apni zindagi guzarey ya jaisey jee mein aaye apni zindagi guzarey .

Insaan ney ager apney paida karney waley Khuda key bataye huwe tareekhey ko apney liye kamyabi ka zariya banaliya aur phir usper chalna shura kardiya toh kamyabi usey milegi. Ager usney apney paida karney waley Khuda key bataye huwe tareekhey per apni zindagi nai daali toh zaahir baat hai key jab Allah key bataye huwe tareekhey per apni zindagi nai daleyga toh laazmi taur per jo jee ki chahatey hai usper chaleyga. Jiska nateeja uskey liye nakami hai .

Allah ney insaan ku banaya hai , aur insaan per kya kya ahwaal aaney waley hai insaan sey pehley Allah jaantey hai . Insaan toh ab key haal ko jaanta hai - ab kya horaha hai , ya zyaada sey zyaada gurishta kya guzra woh uskey dil mein hai , ayinda kya halaat aayingey aur kin kin cheeezo ka usko saamna karna hoga insaan ussey nawaqif hai. Zamaney ki jo taqseem banti hai woh insaan key aetbaaar sey hai - guzargaya zamana toh usko maazi kaha , jo iss waqt guzarraha hai uska naam haal diya , jo abhi zamana nahi aaya usko mustaqbil kaha . Lekin Allah key yahan aur Allah key aetbaar sey zamaney ki koi taqseem nahi. Kya hoga qiyamat tak kya hoga aur qiyamat key baad kya hoga , sab Allah jaantey hai , kyunkey sab unhi key hukum sey hai .

Allah key iraadey key baghair koi haal nahi aata. Insaan samajta hai key ye apni taraf sey kuch karta hai toh yu hota hai. Eik buzurg ney ajeeb baat farmayi - " Mainey apney Rabb ko pehchana , Rabb ki taaqat aur khudrat ko pehchana , apney pakkey iraado ko tuut'ta dekhker.

Puuri kayenaat ka nizaam Allah ka khayam karda hai . Aur Allah ta'ala apney bandey ko bhejey aur bandey sey mutaliba kartey hai key banda iss puri kayenaat per nazar daley aur iss baat ka iqraar karey key kayinaat ka bananey wala aur khud insaan ka bananey wala eik akela Allah hai.
Aur isko Allah ney akhalmand kharaardiya. Hadith-e-paak mein aata hai key - " Hashar ka maidan baqa hoga aur Allah key darbaar sey ayelaan hoga key akhalmand log kaha hai . Ab logon key nazdeekh duniya mein akhalmandi ka matlab meyaar tha - jiskey paas duniya zyaada ho woh akhalmand , jo duniya mein suud rishwat khakey aagey badjaye woh akhalmand , ab duniya khatam hogayi woh saarey cheezein khatam hogayi , khel saara khatam hogaya , ab dekhingey key akhalmand kaun hai. Toh phir Allah key darbaar sey ayelaan hoga - Akhalmand woh hai jo Allah ko pehchaney - uthey , baithey , khadey , letey Allah ku yaad karey. Kaun yaad karta hai - woh yaad karta hai jo pehchaanta hai, jisko pehchaanta hai usko yaad karta hai. Toh Allah ku yaad karney ka matlab ye hai key khadey bhi , baithey bhi , letey bhi , uthey bhi , chaltey bhi key unhuney Allah ko itna pehchana hai key Allah ku toh bhooltey nahi hai , har cheez mein Khuda ki khudrat nazar aana, darakh dekhey toh iss darakht ka paida karney wala Allah hai , tinkey sey lekey pahaad tak , chunti sey lekey Jibrael tak (as), har eik ka khaliq aur maalik eik akela Allah hai.

Allah jab apney iraadey per aatey hai toh Allah key saamney kisi ka bas nahi chalta.

NAMAZ:

Jitni Allah ki badai dil mein baitheygi usi aetbaar sey namaaz baneygi aur Allah ki badai dil mein na aaye toh namaaz jaandaar nai banpayegi.

" Labbaik Allahumma labbaik , labbaika la shareeka laka labbaik , innal hamda wal ne'mata laka walmulk , la shareekalak " - ye talbiya kya hai . Ye tabliya Allah ki badai , Allah ki kibriyayi , Allah ki wehdaniyat , aur Allah hi sab kuch karneywaley hai , iska iqraar hai. Ahlullah jo hotey they , woh Ahlullah toh baat baat per apney per dartey they . Chunachey Ahlullah key baarey mein aata hai key tehliya padney khadey hotey toh behosh hokey girjatey , phir sey sambhla kar khadey hotey , phir padneyjaatey , phir behosh hokey girjatey , kahi aisa toh nai hai key hum tehliya mein hum jhootey na hojaye - " Aye Allah main haazir hu , main haazir hu , tu aisa akela maula hai key teri khudrat mein , teri wahdaniyat mein tera koi shareek nahi , saari tareef tere liye , saari ne'matein teri hai , aur sara mulk tera hai , tera koi shareek nai hai ".

Merey dosto , namazi namaz padhey aur Allah ki badai aur uskey dil mein baithjaye aur namaz sey jab faarigh ho saari kayinaat uskey nigaho mein macchar key per sey bhi kamzor nazar aaye aur Allah ki badai , Allah ki kibriyayi uskey dilo dimaagh mein basi ho. Namaaz per mehnat karey , har cheez seekhtey seekhtey aati hai . Kahi aisa toh nai hai key hamari namaaz Allah key darbaar mein jaye aur Allah ta'ala usko waapis kardey. Hadith mein aata hai - paanch waqt namaaz padtey hai aur namaaz yu kehtey huwe jaati hai - Allah ta'ala tujhey zaye kardey , barbaad kardey jaisey tuney mujhey barbaad kardiya. Iska matlab ye nahi key namaaz choddey. Namaaz per mehnat karey. Yehi woh namaaz hai jissey Allah ta'ala ka khurb haasil hota hai. Aur ye aasaan. Har ameer key liye , har ghareeb key liye, mard aur aurat key liye namaaz kitni aasaan hai . Ager Khudanakhaasta koi takleef hai , khadey nai sakta toh farmaya baithkey pado , baithney mein bhi takleef hai waqayi toh leth key pado , pani sey wudhu nai karsakta , takleef hai , darr hai marz padney ka waqyi andeysha hai toh kaha gaya key tayammum karo .

Waisey toh deen pura aasaan hai , Allah ney deen bahut aasaan kiya hai , kyunkey dosto deen per chalney ka mizaaj nai bana hai isliye ye deen hamarey liye mushkil maloom hota hai. Allah taala kisiko uskey wusa'at sey zyaada takleef nai daaltey. Lekin jab aadmi ka mizaaj nai banta , kab baneyga jab aadmi bananey lageyga toh baneyga , lekin aadmi ney isper apney aap ko dhala hi nai , apna mizaaj bananey ki koshish hi nai ki.

Allah ta'ala farmatey hai - " Namaaz badi bhari hai , mager jo namaaz ka aadi bangaya , jinhuney namaaz ko namaaz ki tarah padna shuru kiya , namaaz ka haq ada kiya , khushu aur khuzu , Allah ko haazir aur naazir jaanker , jaisey namaaz padna hai waisi namaaz Unkey liye namaaz mushkil nahi." Kyun unhuney namaaz seekhi hai , namaaz seekhney ki cheez hai . Arey wudhu seekha hai - Hazrat-e-Imam-e-Hasan (rz) eik jagah tashreef legaye toh logo ney darkhwaast ki key hamein Sarkar-e-do aalam (saws) ka wudhu sikhayye toh hazrath-e-ImameHasan(rz) eik uper jageh per baithey aur aapney khud wudhu karkey farmaya - ye hai Sarkar-e-do aalam (saws) ka wudhu. Wudhu seekha hai , halaankey woh wudhu nai jaantey they aisa nai , phir bhi ye dekhna chahtey they kahi hamarey wudhu mein khot toh nai hai. Jinhuney wudhu seekhney ki koshish ki ho woh namaaz kitni seekhey hongey. Merey dosto tijarat seekhna samajh mein aata hai , kheti karna seekhna samajh mein aata hai , aur koi factory ka nazam chalana isko seekhna samajhmein aata hai lekin namaaz ye seekhney ki cheez hai , aur wudhu ye seekhney ki cheez hai , du'a ye seekhney ki cheez hai , imaan ye seekhney ki cheez hai, merey dosto ye cheez hamarey samajhmein nyaati.

Sahaba farmatey hai - Humnein Imaan seekha hai , Huzur-e-paak(saws) ki sohbat mein , aapkey mubarak mahol mein rehtey huwe Sahab-e-ikram ney imaan ko seekha hai. Khushi mein , ghami mein , tangi mein , farakhi mein kis tarah chalna hai aur Allah key wado pey kis tarah bharosa karna hai. Huzur-e-paak(saws) ney Sahab-e-ikram sey jo bay'et lee aur aakhir mein shart lagayi - Aye Allah key nabi aapki baat hum maningey khushi mein ho tab bhi , gham mein ho tab bhi , dil mein bhaye tab bhi , dil mein na bhaye tab bhi , samajmein aaye tab bhi , samajmein na aaye tab bhi.

Hazrat-e-Sahaba chaltey phirtey imaan key fikro mein rehtey they. Aaj hamara kya haal hai , jissey miltey halaat poochtey hai - kaisa mausam hai tumharey yaha , kaisi tijarat hai tumharey yaha , duniya key umuur key baarein mein hamari aapas mein baat cheet hoti hai aur Sahaba ki baatcheet - dekhey tumhara aur hamara Imaan kis haal mein hai. Sotey they toh imaan ki fikro mein , jaagtey they toh imaan ki fikro mein , ghaflat key mahol mein rehtey toh imaan ki fikro mein. Hazrta Abdullah ibn rawaha(rz) apni biwi key paas baithey hai aur achanak rorahey hain , rotey rotey , itna roye key biwi bhi roney per majboor hogayi , jab ifaqa huwa toh biwi ney poocha kya hogaya tha. Farmaya Quran-e-paak ki aayat yaad aagayi. Kaha yaad aarahi hai ghaflat key mahol mein Quran yaad aaraha hai toh dhyaan waley mahol mein kitna yaad nai aayinga. Allah farmatey hai - tummein sey har eik ko pulsiraat per sey guzarna hai , aur main ye sonch mein padgaya key mera kya haal hoga jab pulsiraat pey sey mera guzar hoga. Hazrath AbdurRahman ibn auwf (rz) dastarqaan per hai , do saalan aagaye , rorahey hain , Quran-e-paak ki ayat yaad aagayi halaankey Allah ta'ala ye nafarmano key baarein mein farmarahey hain , mager kya maloom Allah ta'ala ney mujhsey kehdiya toh mera kya haal hoga - Jo kuch tumhara nekiyo ka badla milna tha tumhey duniya mein milgaya , aaj tumhey kuch nai mileyga , ager Allah ney mujhsey yu kehdiya key - Aye AbdurRahman mainey duniya mein tumhey do do khisam key saalan dediya aur ye dediye toh mera kya haal hoga. Halaankey phoonk phoonk ker khadam rakhney waley.

Dekha Huzur-e-paak(saws) ney masjid mein Hazrath AbdurRahman ibn auf(rz) key kapdey per halka sa peela rang hai, poocha – AbdurRahman ye kaisa rang hai ? Hazrath AbdurRahman ibn Auf(rz) ney arz kiya – Sarkaar mera nikaah hogaya. Kitni saadgi thi.Aisey AbdurRahman ibn auf(rz) key jab rahey Quda mein kharch karney ka mauqa aaya toh sau sau (100, 100) unt per samaan laadker aur unt jitna bardaasht karey utna laadker RaheyQuda mein bhejtey they aur apney per kharch karney per itni ehtiyaat , iskey bawajood rorahey hai.

Merey dosto Allah key bando ko Allah key ghar ki daawat dena. Ussey zyaada unchi baat kiski hosakti hai jo Allah key bando ko Allah key taraf bulaye. Ye Allah ko bahut pasand hai.

Allah key raastey mein kisi dusrey ko sudharney nai jaarain hum. Ye alag baat hai jab apney ko sudharney key fikar mein chalingey, iss fikar ka asar Allah dusro per dalingey, Allah ta’ala sudharney ka raasta unkey liye bhi aasaan kardingey. Apni islaah ki niyyat sey jaogey Allah tumhari bhi islaah karingey, dusro ki bhi islaah karingey. Ager musleh banker jaogey na apni islaah hogi, na dusro ki islaah hogi.

Hadith-e-Qudsi hai Allah ta’ala farmatey hai – Aye duniya jo meri khidmat karey (yani mera baney), toh uski banja. Duniya Allah hi ki toh hai , chand Allah ka, sooraj Allah ka, sooraj ku rukaya key nai Sahaba ney, khadey they Hazrath UmerFarooq(rz) aur zameen per halka sa zalzala aaney laga toh Hazrath UmerFarooq(rz) ney koda lekey maara. Asbaab ki chakkar mein padker ye mayuus hota jaraha hai, key merey paas ye nai, woh nai. Arey kuch nai hai Allah hai toh sabkuch hai, aur ager Allah nai hai toh kuch bhi nai hai.

“ Padbhi liya La ilaha toh kya haasil
Qalb-o-nazar muslama nahi toh kuch bhi nahi.”

Allah key baghair koi kuch nai karsakta, Allah sab kuch key baghair sabkuch karsaktey hai. Ye haqeeqat paida ho.

Hashar key maidaan mein sabsey pehley sawaal Namaaz ka hoga, ager woh durust nikalgayi toh baakhi amal bhi durust nikaljayingey. Kya matlab hai – matlab ye hai key jisney namaz ko banaliya, namaaz ko namaaz ki tarah padha toh ye namaaz uskey 24 ghantey ki zindagi ko durust kareygi. Namaaz fahash munkar baato aur kamo sey rokdeyti hai, yani namaazi ko namaz paak kardeti hai.

Allah ta’ala jo apney bandey sey sabsey zyaada khareeb hotey hai woh sajdey ki haalat mein hotey hai.

HUQUQUL I’BAAD:

Huququl i’baad key taluq sey farmaya – Zameenwalo per tum rahemkaro, aasmaan wala tum per rahemkareyga. Rahemkarneywalo per Rahman rahemkarta hai.

Merey dosto malumaat ye kaafi nai hotey, malumaat mamulaat mein aaye. Malumaat toh mamulaat mein laaney key liye hai.
Apney saath rehney walo key huqooq ko pehchaney warna jitni nekiya woh saari nekiya eik haqtalafi sey zaye hojasakti hai. Toh aadmi paisey kamaker ab usko zaye kyun kareyga. Akhalmand aadmi subah sey shaam tak tijarat kiya, apni tijori usney bhari, ab tijori bhari toh khamokha usko zaye kareyga? Uski toh badi hifazat kareyga. Huququli’bad key haqtalafi sey apney ko bachaye.

Isiliye Huzur(saws) ney farmay- Jaantey ho merey ummat ka sabsey bada muflis kaun hai?
Sahaba ney seedha saada jawaab diya- "jiskey paas deenar aur dirham na ho woh ummat ka muflis hai". Sarkar(saws) ney farmaya- "merey ummat ka muflis woh nai hai, woh hai jo kal qiyamat mein nekiyo key amwaar layega, lekin saat hi kisiku gaali dee hogi, kisi ki zameen cheeni hogi , toh haqwaley aayingey aur Allah key saamney fariyaad karingey toh Allah ta'la kya karingey... Ab usper badla ye hoga - nekiya iski uthayingey aur unkey hawaley kardingey, ab nekiya nai hai, gunaho ka bojh isper laadtey chaleyjayingey

IKHLAAS:

Bada sa bada amal kiya lekin ikhlaas wali kaifiyat nai aayi toh woh amal dhara ka dhara rehjayega.

Hazrath Umer(rz) key zamaney mein eik jihad huwa. Ab jo shaheed huwe unki fahrist banayi jarahi thi taakey unkey gharo ku khabar pahunchaye. Toh fehrist bananey waley ney eik key paas pahuncha toh unkey zindagi kuch lamhey baakhi they, hosh mein they. Ab unsey poocha- "bhai tumhara kya naam hai? Kaha tumhara naam AmirulMumineen ko dena hai. Usney kaha hum AmirulMumineen key liye jaan nahi derahey hai, jiskey liye derahey hai woh hamara naam jaanta hai aur rooh nikalgayi. Ab fehrist pesh karney waley ney Amirul Mumineen key khidmat mein fehrist pesh kiya aur kaha key eik jageh khaali hai, uskey zindagi key kuch lamhey baakhi they, humney usi sey naam poocha toh usney kaha hum AmirulMumineen key liye jaan nahi derahey hai, jiskey liye derahey hai woh hamara naam khoob jaanta hai. Hazrath Umer(rz) ropadey.

Tumhara seedha haath deraha hai, tumharey baye haath ko bhi pata na chaley.

  • Hazrath Mufti Zainul AbideenSaab(ra) eik martaba farmaya key eik shaks jarahey they, mujhey maloom tha kaha jarahey hai woh, woh apney muqami gasht key liye jarahey they, phirbhi mainey unsey poocha key bhai kaha jarahey ho. Unhuney kaha - Mufti Saab main duniya mein deen phailaney jaraha hu. Dekho niyyat kitni buland hai, niyyat ki bulandi per Allah a'mal ka ajar badadetey hai.

DEEN KI FIKAR:

Fikar merey dosto, deen ki fikar.Badey farmatey hai - Fikar iss ummat ki hayaat hai, beyfikri iss ummat ki maut hai. Niyyat buland ho. Hamsey kya hoga, hamsey toh kuch nai hoga, karney wali zaat toh Allah ki hai, Allah ku raazi karney key liye, aur fikrey hamari aisi ho key Allah taala hamein mauqa dey key hum mashriq sey maghrib tak, shumaal sey junuub tak Allah key deen key kaam ku apna kaam banatey huwe aur apni islaah ko apney saamney rakhtey huwe Allah key bando mein chalphiringey aur Allah key bando mein chalphirker Allah ki badayi ki daawat dengey - Allah bahut badey hain, karney waley Allah hai, Allah ki manogey toh Allah ta'ala ki madat tumharey shamil-e-haal hogi, Allah jab madat karney per aaye toh tum per koi ghaalib nai hosakta.

Hazrath Ilyas(ra) ney farmaya key merey iss mehnat ka maqsad ye hai key madaaris ku taliba miley aur mashaikh ku unkey sacchey talib miley.

Merey dosto hamarey badey farmatey hai - ye Mubarak mehnat paani ki tarah hai. Paani jis darakht ki jad mein pahunchta hai uss darakht ko taro taza banadeta hai - Keiley key darakht per pahunchey toh keila banaye, anaar key darakht per pahunchey toh anaar banaye, aam key darakht per pahunchey toh aam banaye. Ye daawat ka kaam paani ki tarah hai - jis shobey deeni mein pahuncheyga uss shobey ko taro taaza kardeyga inshallah.

Duniya toh hamari ghar ki laundi, duniya toh hamarey ghar ki baandi hai. Duniya sey jitna daringey duniya utna darayegi. Khina'at ku jinhuney pesha banaliya unko duniya key zarurat hai kya?

Maujuud per qina'at na karna ma'buud per badgumani hai.

Masla toh asal mein Akhirat ka masla hai. Jo Allah key deen key kaam ku apna kaam banata hai Allah uskey duniye key maslo ko aasaan kardetey hai. Allah key deen ki tum madat karogey Allah tumhari madat karingey aur tumharey khadmo ko jamayingey.

Allah key raastey mein nikal ker hum Allah key bando key darmiyaan chalphirker Allah ki badayi, Allah ki wahdaniyat, Allah ki kibriyayi, aur Allah ki madatey jo nabiyo key saath huwi usko khuub sunaker taakey uskey zariye Allah hamerey deen ko banadey , merey dosto iskey liye himmat karkey bataye kam-as-kam apni zindagi mein 4 mahiney key liye kaun tayyaar hai, boliye bhai.









Tuesday, December 11, 2007

Mufti Nawalur Rahman Saab , Bayaan at Markaz , 02 Dec 07

Jo nazar aata hai woh makhlooq hai , jo shakl-o-surat rakhta hai woh makhlooq hai. Puuri makhlooq mohtaaj hai , apni wujuud mein mohtaaj, aur apney wujood sey nikalney waley asraat mein mohtaaj , chahey nafa key ho ya nuqsaan key.

Makhlooq sey kuch hota huwa nazar aana , ye mushahidey ki aankh hai . Aur makhlooq key peechey Allah (SWT) key khudrat sey , unkey iradey sey hona , ye nabuwwat ki aankh hai .

Puuri Makhlooq apni wujuud mein Allah ki mohtaj , aur wujuud key baakhi rehney mein bhi Allah ki mohtaaj:
Makhlooq ka wujuud hi nahi tha , na chand tha , na sooraj tha , na taalaab they , na aasmaan tha , na insaan they aur na inka koi mad'da ( material ) tha . Allah they aur koi cheez nai thi. Unhuney makhlooq ko paida farmaya. Toh puuri makhlooq apni wujuud mein Allah paak ki mohtaaj. Phir aisa bhi nai key eik baar wujuud mein aagaye ab mohtaaj nai hai , paida honey mein mohtaaj tha ab nai hai mohtaaj , aisa nai hai . Wujuud key banney mein bhi mohtaaj hai , aur wujuud key baakhi rehney mein bhi mohtaaj hai . Aasmaan wujuud mein mohtaaj tha , aur jab tak uska aasmaan bana rehna hai jab tak mohtaaj hai. Har cheez key wujuud ka wujuud rehney mein woh Allah key mohtaaj hai .

Aur wujuud mein tasalsul hota hai , itni badi makhlooq ko Allah ta'ala uski haisiyat ki mutabiq detey hai . Har makhlooq har aan , har second mein Allah ki mohtaaj hai. Tubelight aisa dikhayi deti hai key jalrahi hai , halaankey ghaur karey aadmi , usmein har waqt fana aur baqa , maut aur hayaat lagi huwi hai . Eik juz uska jaljaata hai , dusra juz peechey sey aata hai , bijli ka eik juz jaljata hai aur dusra peechey sey aata hai , jab dusra jalta toh teesra peechey sey aata hai , eik hissa jalta hai toh dusra peechey sey aata hai , lekin woh itna tezi sey aaraha hai , itna tasalsul key saath aaraha hai key darmiyaan key jalney waley ki fanayyiat jo hai woh nazar nahi aaraha hai . Aisa lagraha hai jaisey key tube jali huwi hai , kaha jali huwi hai , eik martaba jaladiye aur jali huwi rehti toh bill kyun banna padta tha hamein . Saahib-e-maarifat ka kehna ye hai , Aarifo ka kehna ye hai key puri kayenaat mein yehi nizaam hai , khud hamarey ander bhi yehi nizaam hai , barabar insaan key jism key uper fana aur baqa ka silsila rehta hai . Nahi istaghna hai Allah ta'ala sey palak jhapakney key barabar bhi . Har waqt Allah ta'ala key taraf sey faizan-e-wujuud hota aur horaha hota hai.

Majaaz:
Isliye makhlooq sey nazar hatalena , nafa nuqsaan makhlooq mein nai dekhna , insey hota , unsey hota , seth saab sey hota , wakeel saab sey hota , minister sey hota goya Shirk-e-faali ka shikaar hojata hai aur huwa ye isliye key majaazan iski ijaazat di , haqeeqatan toh nai di . Majaaz kehtey uss baat ko key lafz key haqiqi mana jo hai woh murad nai kiye jaye , dusrey muraad kiye jaye jaisey hum kehtey hai – kisi bahadur aadmi ko sher boltey hai , sher jo jungle mein hai who haqiqat hai uski aur jo bahadur aadmi hai ko sher kehrahey hai who majaaz hai . Ye majaaz jo hai who istemaal hotey hotey hotey hotey haqiqat bangaya . Ijazat thi key doctor sey ilaaj karwaye, arey doctor saab aap kya dawa diye mashallah , kisi ney sifarish karadi , naukri milgayi aur uskey sifarish karney sey kaam bangaya , kisi ney khana khiladiya toh bhook mitgayi , kisi ney kapda pehnadiya toh sardi sey bachney ka intezaam hogaya. Toh shariat ney kaha , theek hai , aap majaaz ka istemaal karsaktey ho , ab ye majaaz ka mizaj itna badgaya ummat key ander key usko majaaz hi yaad rehgaya , majaaz ko haqiqat mein badaldiya , haqiqat sey ghafil hogaya , bas bhoolgaya key karney waley zaat sirf Allah hai , nafa aur nuqsaan Allah sey hai , maut aur hayaat Allah sey hai , sehat aur beemari Allah ki taraf sey hai , izzat aur zillat Allah ki taraf sey hai , kamo ka banna , na banna Allah ki taraf sey hai , karobar ka chalna , na chalna Allah ki taraf sey hai , khushi aur gham Allah ki taraf sey hai , halaat ka bigadna Allah ki taraf sey hai , halaat ka banna Allah ki taraf sey hai .

Puri ummat key halaat ye nahi key Allah key hukum key baghair chalrahey hai , Allah key manshey key baghair chalrahey hai , aisa nai hota , Allah eik baat chahrain , dushman eik baat chahrain , Allah jo chahrain who ho nahi raha , dushman jo chahraha hai who horaha hai , aisa hota hai kabhi ? Dushman chahraha hai lekin dushman ko karney ka mauqa koun deraha hai , ijazat kyun di dushman ko theek hai jootey maarley inko , barbadi kardey inki , dushman ko mauqa kyun horaha hai , aisa thodi hai key Allah key chahey baghair ye hora hai , jo hota hai merey dosto woh Allah key taraf sey hota hai , isiliye tauheed key ander ye baat rakhi huwi hoti hai key makhlooq sey nazar hatjaye .

  • Tauheed ki khususiyat ye hai key Allah per bharosa aajana aur ghair per sey bharosey ka uthjaana ,
  • tauheed ki khususiyat ye hai key Allah ka darr aur khauf aajana aur ghair ka darr aur khauf nikaljaana ,
  • tauheed ki khususiyat ye hai ro’ob ho Allah ka , azmat Allah ki aur makhlooq ka ro’ob khatam hojana ,
  • tauheed ki khususiyat ye hai key kisi sey koi tawaqqo nai rakhna

Asbaab duniya key ander qayam farmaya takey sabab per parda rahey aur iss pardey ki peechey faayez hai usko pehchana ye imtihaan hai iss duniya ka . Sabsey pehla sawaal rububiyat ka hai , manrabbuka , isliye key duniya mein bhejney sey pehley rububiyat hi ko sikhaya gaya - kya main tumhara rabb nai hu . Duniya mein jaaney key baad , kiska imtihaan dena hai - rububiyat ka .

Beshak Allah ney khareedliya hai imaanwalo sey unki jaan ko , unki maal ko . Imaanwaley ka khareedar sirf Allah hota hai , imaanwala kisi aur ko nahi bikta. Aur ager kisi aur key haath bikgaya toh woh imaanwala hota nai.

Nabi-e-paak (saws) ka tareeqa:
Jo Nabi-e-paak (saws) ka tareeqa hai woh Allah key manshey key muwafiq hai . Aapku aakhri nabi banadiya , qiyamat tak key liye. Qiyamat tak jitney insaan aayingey saaro key liye Allah ney Huzur-e-paak (saws) ka tareeqa chunliya. Nabi key tareeqey key ilawa Allah paak ka mansha pura nai hoga , jab Allah ka mansha nai hota toh Allah razi nai hotey , nabi key tariqey key ilawa kisi cheez sey Allah raazi nai hotey . Aap ka duniya mein aaney key baad , nabuwwat key miljaaney key baad , duniya key dusrey tariqey hi nahi , pehley key jo aasmani tariqey hai woh bhi nahi chaltey , ab andaaza lagalijiye.

Hazrath Ml.Ilyas saab (ra) ka manqul ye hai key huzur-e-paak (saws) key tariqey key saamney jab dusrey aasmani tariqey nai chalsaktey toh insaani tariqey kaha chalsaktey hai , dusrey aasmani tariqey nai chalsaktey , woh qubool nai hai , woh marduud hai . Merey dosto aadat dalleyna , mehnat karna iss baat per key Allah tabaraku wa ta'la key marzi key saamney apni marzi ko hum fana kardetey hain aur huzur-e-paak (saws) key tariqey key saamney apney tariqey ko hum fana kartey hain , hamari apni nai chaleygi.

Mizaj-e-Ibrahimi:
Puuri duniya raazi ho ,naraaz ho , iski fikar kiye baghair Allah ko khush rakhney ka jazba , duniya ki izzat aur unka isteqbaal aur duniya ki bey-izzati , issey nazrey hataakar key koi khush hota ho , na hota ho , izzat deta ho , na deta ho , chahta ho , na chahta ho , issey mujhey kuch behas nai , main kisi aur ka hu hi nai , main toh Allah ka hu - ye hai Mizaj-e-Ibrahimi. Unko parwa hi nai thi , unko waqt key baadshah ki parwa hi nai thi , apney baap wazeer ki parwa hi nai thi , wizarat ka ohda unka isteqbaal karraha tha uski parwa nai thi , itney saaro key saamney buttparasto key saamney main La ilaha illallah ka sada lagaunga kaun suneyga , unko iski parwa hi nai thi , unhuney sada lagayi. Awaam sey lekey hukumat tak saarey key saarey baaghi they.

Namrud ney kaha main samjhalunga , bulaya Ebrahim (as) aur Rabb key mamley mein behas ki thi Ebrahim (as) sey aur usko badappan kismein aagaya tha - Allah ney mujhko baadshahat deydi . Woh samajra tha key baashahat dedi toh maarifat bhi milgayi shaayad , jaisey iss zamaney mein theek aisa hi hota key jo aadmi duniya ka ilm seekhleta hai usko ye ghalat fehmi hojaati hai key woh deen ka ilm bhi seekhliya - Quran ki tafseer hum karsaktey , bukhari ki tashreeh hum karsaktey , haditho ka matlab hum batasaktey , masail hum niptasaktey , usko ye khayaal tha key main baadshah hu toh merey paas kya kuch nai hai , merey paas ma'arifat bhi hai . Ebrahim ney kaha mera Rabb woh hai jo zinda karta hai , phir maarta hai . Namruud ney kaha ye kaam koi mushkil nai hai - main bhi zinda karta hu aur maarta hu aur jail khaney sey do mujrimo ko bulaya , unka jurm ye tha key unki saza mein unko qatal kardena tha , eik ko usney qatal karadiya aur eik ko choddiya aur bolo dekho mainey isko maardiya aur dusrey ko zinda kardiya , halaankey iss maney mein toh nai boley they Ebrahim(as). Phir Ebrahim(as) ney kaha - asal mein ye hai mera Rabb suuraj maghirb sey nikalta hai , aur tum barabari karrain na , tum mashriq sey nikalo . Ab kya karta , kuch jawaab hi nai tha iska .

Jab haq ki baat chalti hai , toh logo ko aisa mehsoos hota hai key ye haq ki baat chalaney wala fitna karta hai , halaankey fitna jo horaha hota woh haq qubool nai karney sey hota hai .
Phir butto ka tazkara ,key butto ko toddiya aur badey ko batakey kaha key shaayad isney kiya hai , hatoda usi key paas hai. Logo ney kaha madat karo hamari mabudo ki lehaza inko aag mein daaldo , 40 din they uss aag mein Ebrahim(as), aag Allah key hukum sey baagh bangayi thi Ebrahim(as) key liye. Ml.Rumi (ra) ney ash'ar bayaan farmaya jiska matlab ye hai key - Namrud aur namrudiyo ney kaha key-" tujhey kya huwa , tu aag nai hai , jalati nahi ? Toh aag sey awaaz aayi - "hu toh main aag , lekin tera intezaar hai , tu aa phir bataungi".

Jaisa aag ka wujuud Allah key taraf sey hai , waisey hi uski sifaat jalaaney ki bhi Allah hi key taraf sey hai , Allah chahey toh ussey jalaney ka kaam ley ,chahey toh salaamati ka kaam ley , paani ko chahey toh maarney ka zariya banadey , chahey toh bachaney ka zariya banadey. Puri makhlooq pey sey nafa aur nukhsaan ka apney zehen sey hatjaana ye La ilaha illallah key uloom mein sey hai , ye uskey laazmi taqazo mein sey hai , taakey sirf Allah ko raazi karney ka jazba aajaye , ye haqiqi ma'arifat hai . Uska nateeja ye hota hai key - bandey key ander bandagi ka saleekha aajata hai - mujhey sirf Allah ko khush karna hai , mujhey sirf Allah key marzi ko dekhna hai , mujhey sirf Allah per jaan qurbaan karni hai , mujhey sirf Allah key raza key liye kaam karna hai - Mizaaj-e-Ebrahimi yehi tha .

Phir apney biwi aur betey ko chodkey jaana khuley reghistaan mein , jaha paani nai hai , koi asbaab nai hai. Allah musabbbibul asbaab hai , paani nikaaldiya . Zam Zam ka paani woh kaam karta hai jiskey liye piya jaye - pyaas bujney ki niyaat sey piyo toh pyaas bujhjayegi , bhuk mitney ki niyyat sey piye toh bhuk mitjayegi , beemari sey shifa ki niyyat sey piyo toh beemari sey shifa miljayegi , jehalat duur honey ki niyyat sey piyo toh jehalat duur hojayegi .

Deen ki mehnat ka jo andaaz hai , jo tareeqey kaar hai usmein mard aur aurat aur baccha , teeno shaamil hai , family puuri hai. Aaj hamarey badey khawateen key kaam key liye zor deyrahey hai , wajeh ye hai khawateen mein mehnat karney ka jazba aur unko deen pey laney ka jazba ummat mein bahot kam hogaya hai. Hajira (rz) iss zehen ki thi aur unhuney tawuun kiya , saath diya toh hosaki na saari kahani , ager woh peechey peechey aajati toh? Unka imaan bana huwa tha . Esmail(as) ku aakey Ebrahim(as) ney kaha khwaab toh mainey aisa dekha hai , tumhari kya raye hai? - Babajaan aapku jo hukum diya gaya ho woh kijiye aap.


Eik duud ka khatora aur 80 Sufa walo ko daawat:
3 din key bhuukey aur eik khatora duud aaya aur Huzur ney eik khatorey duud mein shareek karney key liye 80 aadmiyo ko bulaya .Abu Huraira (rz) kehtey hai key Huzur key iss baat per amal karney key baghair chara nai tha bakhiya akhal tasleem nai karri thi iss baat ko key eik khatorey duud mein , 3 din key bhukey aadmi key haath mein hai woh aur uskey baad aap 80 logo ko bularahey hain ye peeney key waastey , toh kya banega iska , merey peth mein kya jayega aur woh ye bhi kehtey hai key mujhey Huzur ki aadat maloom thi ki main unlogo ko bulaunga toh huzur ye nahi kahingey tum tumhara hissa peekey inko do , huzur ye kahingey key pehley unko pila phir apna hissa pee , khud bayaan karrahey hai woh. Huzur ney 80 sufa walon ko buladiya aur kehney lagey pila unko . Merey dil pey kya guzarrahi thi mujhey maloom hai lekin hum jaantey nai they key Huzur ki baat per amal nai kiya jaata , hum isko nai jaantey they. Hum isko jaantey hi nai they key Huzur ki baat per amal nai kiya jaata. Woh pesh kardiye , log peetey gaye , eik key baad eik , eik baad eik aur khatorey mein ka duud khatam hi nai hora. 80 key paas sey khatora phir key aagaya aur duud bhara huwa hai waisehi.Toh samajhgaye key Huzur-e-paak (saws) ney maujiza zaahir farmadiya. Huzur (saws) khud bhukey hai , aap ney muskuraya aur kaha - ab tum piyo , unhuney peekey aapko pesh kiya , toh huzur (saws) ney farmaya - Abu huraira , aur piyo . Unhuney phir pesh kiya - aap ney phir kaha - Abu huraira - aur piyo. Abu huraira farmatey key main halaq tak peeliya aur duud waisa ka waisa phir aap ney farmaya lau mujhey do aur aap ney piya. Mager ye muzahira kab huwa , jab shuru mein aetraaz nai kiya . Ye muzahira kab huwa - jab hukum per amal kiya gaya , sab sahaba ka mizaaj yahi tha. Isliye huzur ney farmaya - merey sahaba sab Abid hai , merey sahaba sitaro key maanind hai , jo muhajereen hai woh , jo ansar hai woh aur jo unki ittaba karney waley hai woh sab sey Allah khush hogaya. Kyunkey sabki tarbiyat huwi. Sab sahaba ka mizaaj ye tha key Allah paak key marzi key liye apney aap ko qurbaan kardingey.

Merey dosto , bhaiyo , ye jo daawat wali mehnat hai , iss mehnat mein iss mizaaj ko paida karna hai , hamarey buzurg ye farmatey. Isliye iss mizaaj key paida honey tak mehnat karna hai , aur mizaaj key paida honey key baadmein bolna hi nai padta kyunkey ye mizaaj khud chahta hai key mehnat karu. Allah key raastey mein 4 , 4 mahiney , 40 , 40 din isliye nikalney key liye kaha jaata hai merey dosto key ye La ilaha illallah ki haqiqat sey hamara dil aashna ho , aur woh baithjaye dil mein . La ilaha illallah ka ulooom ka , uskey zimmedaria ka jo istehzaar hai , Allah paak ki sifaat ka , Allah key rabb honey ka , Allah key kudrat key uper aetmaad ka , Allah paak key saath khususi mohabbat aur taluq ka eik istehzaar hota hai , ghalba hota hai , uss ghalbey haal mein bandey sey Allah ki mukhalifat nai hosakti , ager zara sa bhi mukhalifat hojaye toh unkey uper pahaad tutjaata , thodi si bhi unsey ager koi kaam sunnat key khilaaf hogayi toh unkey liye museebat hojati hai. Aisa nahi key -ye sunnat hi toh hai , ye mustahab hi toh hai , karey toh sawaab , nai karey toh koi gunah nai hai .

Iss mubarak mehnat key zariye sey har khatoon mein , har behen mein , har bachey mein chahey jawaan ho , chahey adhed umar ka ho , pada likha ho , bey-padalikha ho , rozgaar ho , beyrozgaar ho , ameer ho , ghareeb ho , tandurust ho , beemar ho , sab mein eik jazba aajaye Allah ko raazi karney key liye mehnat karneyka , Allah ko raazi karney key liye mujahida karney ka , Allah ko raazi karney key liye Allah key hukum pey jamney ka . Jab ye jazba merey dosto ummat mein aajayega , Allah tabarakuwata'la raazi hojayingey , Allah paak halaat ko banayingey . Ummat ka zahiri halaat ka bigaad sabko sadma deraha hai lekin ummat key deen ka bigaad kisi ko sadma nai dera.

Hum ye samajrahey hai musalmano key halaat kharaab hai purey aalam key ander , kya kuch hora hai musalmano key saath , lekin khud musalmano mein Nabi-e-paak (saws) key tariqo key saath kya kuch karrahey hai , kisi ney dekha hai. Aap ka laya huwa pakeeza tariqa , kaisi tabahi aur barbaadi usper chahi huwi hai , kaisey usko maut key ghaat utara jaraha hai , kaisey uska gala ghota jaraha hai , iss ummat ney kabhi isper ghaur nai kiya . Tum Nabi key tariqo ka gala ghotogey , tum unko zaye karogey , tum unkey beyizzati karogey toh Khuda tumko izzat sey rakheyga? toh Khuda tumko abaad rakheyga? Khuda tumharey halaat ko banayega? phir dushmano ko tum per nai chodeyga ? - Jaisi karni waisi bharni . Ye jo hamarey saath horaha hai hamarey hi kartootey hai .

Puuri ummat mein aap ghoomlijiye , chalphir key dekhlijiye , key ummat kis haal mein hai , kya karrahi hai Nabi-e-paak (saws) key tariqo key saath , namaazo ka kya haal hai , sunnato ka kya haal hai , tehzeeb ka kya haal hai , culture ka kya haal hai , ma'ashirat ka kya haal hai , libaas ka kya haal hai , khaaney peeney aur khushi ghum mein kya tariqey chal rahey hai , mamulaat kaisey hai , sab dekhlijiye aap . Jab hum Huzur-e-paak (saws) key hayat-e-mubaraka aur aapkey pakeeza tariqo key saath khel tamasha karingey aur ye khel tamasha hota kyun hai - Allah paak ki rububiyat ka yaqeen nikaljaney ki wajeh sey , La ilaha illallah ka yaqeen mujmayil hojaney ki wajeh sey , aqeedat key ander istehzaar ki kami hojaani ki wajeh sey , parda cha jaata hai aadmi key uper , aur aadmi iss duniya ko sonchney ka , dekhney ka , jayeza leney ka andaaz wohi ikhtiyaar karta hai jo unlogo ka hota hai jinka akhirat per yaqeen nahi hai , jo emaan nai rakhtey , jo beyimaan hotey hai , unkey tariqey key mutabiq sonchta hai , unhikey taur tariqey ikhtiyaar karta hai , unhi jaisey program banata hai , unhi jaisey mansubiya bandiyo ko jaari karta hai.

Zaahir hai kyunkey haalat unkey saath ghair hai iswajeh sey key unko akhirat mein koi hissa nahi , jo ghair nai ha, apney hai, lehaza unko pakda jaata hai - tumhari tambi kijayegi, tumhari tehzeeb ki jayegi , tumhey dhoya jayega, tumharey gunaho ko maaf kiya jayega , tumhey Allah key taraf mutawajjeh honey ka chance diya jayega, jaisakey hadith sharif mein hai -"Uss waqt tak ummat sey halaat ko hataya nahi jayega jab tak key tum apney haalat per waapis nai aaogey".

Allah sey zyaada koi ilm rakhney wala nai , Allah sey zyaada koi taqat wala nai , Allah sey zyaada koi tadbeer wala nai , Allah toh woh zaat-ali hai key jisney jo tadbeer ikhtiyaar ki usko usikey tadbeero mein lapeytdingey , Allah key liye koi mushkil nai , ye toh Allah paak kartey aaye hai , Allah kartey rahey hai ye sab . Firaun ye samajta raha key saarey baccho ko hi main maardiya toh phir kaun hoga , Allah ney kaha jis bacchey sey teri barbaadi hai usko terey ghar mein paalunga , maar kitney baccho ko maarta hai. Usi sey nigrani karadi , jisko uper jitna zyaada khatra tha uss uper utni zyada hifazat lagadi , jissey jitni zyaada nafrat thi ussey utni zyaada mohabbat daaldi. Allah paak ney firaun key nigaho ko Musa(as) key nigrani key liye istemaal kiya - Quran-e-paak mein hai. Jaise hi tumko dekheyga main uskey dil mein tumhari mohabbat daaldunga. Jis nafrat aur dushmani ki nigaho sey woh dekhta tha bani israeli key baccho ko - key kahi ye woh toh nai hai , ye woh toh nai hai , jo merey liye khatra baneyga , nujumiya ney bataya tha , bas usi dekhney key ander Allah paak mohabbat daldetey , mohabbat aaney key baad kya karsakta , kuch nai karsakta .

Aur jab woh dushman peecha karta bani israeliyo ka , sonchtey huwe key - ye thodey sey log hai , hum iss waqt khuwwat waley hai , aur hamarey paas taaqat hai , aur hamarey paas puura samaan hai , humto inko bhusa banadingey thodi der mein , inkey paas toh kuch hai bhi nai jissey apni hifazat karey. Allah paak ney irshad farmaya Quran-e-paak mein - "ye log baniisraeli key peechey nikalrain nai they , inko main nikaalraun tha" , key aao tumharsey kaam hai , thoda aao ." Humney nikaala unko unkey baagho mein sey , chashmo mein sey , khazano aur maalo mein sey , izzat ki kursiyo pey sey , woh samajhrahey hai key hum jaarahey hai peecha karney key liye ". Allah kehrahey hai key woh jaa nahi rahey they , main laa raha tha unko . Wahin sab ko dubodiya.


Log chaal chaltey hai , Allah bhi chaal chaltey hai . Jitni buri tadbeerey karney waley kartey hai , unko pata nahi hota key unhi key tadbeer usi ka ghera daaldeti hai Allah key taraf sey . Allah paak ki shaan hai .

Jitni aadmi mehnat karta hai utni imaan mein taraqqi hoti rehti hai. Nabi key imaan key kisi ka imaan pahunch hi nai sakta . Ghair-e-nabi kabhi nabi key imaan ko pahunch hi nai sakta. Nabiyo mein Imamul Anbiya Huzur-e-paak(saws) hai , toh kya imaan hoga aap andaaza lagalijiye. Ghari-e-nabi mein sabsey afzal imaan waley woh AbuBakker Siddiq (rz) hai , pichley zamaney key bhi , baad key zamaney key bhi , aap sabsey afzal hai. Huzur(saws) ney farmaya - "Abubakker ka imaan eik padley mein rakhdo aur puuri ummat ka imaan eik padley mein rakhdo Abubakker ka padla bhari hojayega" , aur puri ummat mein sarey Sahaba bhi shaamil hai , aap andaaza lagalijiye.

Imaan , imaan ki taaqat hoti hai , imaan ki quwwat hoti hai , iman ki kaifiyat hoti hai , imaan ka eik zauq hota hai , woh jo zauq hai woh mehnat musalsal kartey rehney sey badta hai.

Do raasto sey manzil aati hai - aadmi key seedhey raastey pey chalna aur chalna , aadmi ka thairna nahi , chalna.

Puri duniya key musalmano mein La ilaha illallah ka yaqeen paida hojaye aur puri duniya key musalmano mein Huzur-e-paak(saws) ka tariqa amali aetbaar sey zinda hojaye , kisiko bhi huzur(saws) key tariqey key ilawa koi aur tariqa pasand hi na aaye , sabsey nafrat hojaye. Aisey musalmano mein jazba aajaye. Aisi mehnat merey dosto puri duniya mein karna hai.

Allah ki rububiyat per bharosa karingey , Allah per tawakkal karingey , Allah karney waley hai , Allah asbaab bananey waley hai , nafs aur shaitaan toh apney saath mein laga huwa hi hai - mera jee bolega toh main jaunga - jee hai hi nai haan bolney key wastey , ye jee iss kaam mein haan bolney key wastey hai hi nai , dusrey kaamo mein haan bolney key wastey hai jee , merey halaat banjayingey toh main jaunga - halaat toh jaaney key baad banney waley hai , isliye merey dosto himmat sey kaam lena padta hai , nafs ki mukhalifat karni padti hai , zindagi ka koi bharosa nai , jo waqt baakhi hai woh kahi zaye na hojaye , Allah paak uski khader karney wala banadey , hum sab mein mizaj-ebrahimi aajaye, Haqta'la shanahu mujhey aur aapku , hum sabko apney mubarak deen ki mehnat key liye sifat-e-qubuliyat key saath qubul farmaley , himmat aur iraadey karkey apney naam batao.

Sunday, December 9, 2007

Dr.Nazeer Saab, Markaz Bayaan , 09 Dec 07

Excerpts

Allah ki Rubuubiyat:
Moosa (as) Allah sey poochtey key - " aye Allah main dekhna chahta hu key aap kaisey paaltey hai , kaisey rozi pahunchatey hai " . Toh Allah taala farmatey -" kya tumhey yaqeen nahi hai Moosa ? ". Moosa (as) farmatey - "nai, yaqeen toh hai mager bas itmenaan key liye ". Toh Allah ta'ala farmatey accha woh chattan ku apni laathi sey maro . Moosa(as) ney uss chattan ku maara , woh chattaan phatgaya , phatkey aur eik patthar nikla , phir mara toh aur eik patthar nikla , phir mara , - maarey toh usmein sey eik keeda nikla jiskey mu mein eik hara patta hai . Aur woh keeda wazifa padra , keeda kehraha hai - " paak hai woh zaat jo mujhey dekhti hai , aur merey baat ko suntey hai , woh mujhey yaad rakhtey hai , aur meri zorrat ku uskey waqt per pahunchatey hai ".

Suleman(as) ney Allah sey guzarish ki key main aapki saari makhlooq ku eik waqt ka khana khilana chahta hu . Allah ney kaha - tumsey nahi hoga . Suleman(as) ney israar kiya toh ijazat milgayi . Suleman (as) jo nabi bhi they , baadshah bhi they , har eik , jaanwaro key , jinnaat key . Khair unhuney bhot muddat tak khana banaya , dher sara aur soncha key ye bas hojayega. Toh shuru kissey karingey bolkey , soncha key paani key makhlooq sey shuru karingey toh daawat diye . Eik badi machli nikli aur saara ka saara khana jo Suleman(as) ney saari makhlooq key liye tayyar kar rakha tha woh eik luqmein mein khaali aur kehney lagi - bas itna sa Suleman , tumney toh mujhey bhooka rakhdiya, Allah paak toh mujhey aisa roz do martaba khilaatey hai ."
Allah taala aisa paalney waley hai .

Huzur(saws):
Allah paak ney Quran-e-paak mein farmaya - Aap kehdijiye merey Habeeb (saws) - "Ager tum Allah paak sey mohabbat rakhtey ho toh meri ittaba karo , Allah paak tumsey mohabbat karingey , Allah paak badey bakshney waley hai " .

Huzur(saws) ki shaan ko, aapki martaba ko , aapkey muqaam ko hum nahi samajhtey . Ager samajhtey toh aap key eik eik irshaad per jaan dedetey , aap ki eik eik sunnat ko jaan jaan ker usper amal kartey .

Farmaya - Huzur(saws) ki shaan hum bayaan nai karsaktey jaisa key haq hai , aur muqtasar ye hai key - Allah paak key baad ager koi buzrug hai toh woh Allah key paak Rasul(saws) hai.

3000 sey zyaada maujizey they Huzur(saws) key . Ulama ikram ney farmaya - aap ka har kalaam maujiza hai , aap ki har baat maujiza hai .



-Bahut sey log kehtey hai Islam is scientific , sciencey sey saabit karo Islam ku waghaira waghaira . Arey koi haisiyat hai science ki . Science kisey kehtey hai ? - Science jo hai - insaan ka jo chota sa bheja hai , ussey nikley huwe malumaat ko science kehtey hai . Newton's law of motion per Newton ko noble prize mila , phir uskey baad uska potra aaya , usney saabit kiya key merey daadajaan ney jo saabit kiya woh ghalat hai , toh isko bhi Noble prize mila. Aisi hai science. Aaj kuch toh phir kal kuch. Islam jo hai Allah (SWT) key wasi i'lm sey nikla huwa deen jo hai - woh hai Islam.

Ml.Imran Khan saab nadwi (ra) bhot badey aalim guzrey , ijtema mein tashreef laye they , khaas majma ku mukhaatib farmarahey they . Darmiyaan mein farmaya - log kehtey hai Islam key dushmano key liye aap badwa kijiye , aur hazrath ney farmaya - main darta hu key hum sab Islam key dushman hai, main darrta huuu key hum sab Islam key dushman hai . Hamarey harkato aur maal sey , hamari zabaan sey deen mitraha hai , hum Islam ku nuqsaan pahuncharahey hai.

Sunday, November 25, 2007

Mufti Husammuddin Saab ( 18 Nov 07 , Markaz )

Hazrath Abu Talha (rz) rawi hai , farmatey hai key Rasulullah (saws) ney irshaad farmaya - " Jo shaks Lailaha ilallah ka iqraar karey woh jannat mein daakhil hoga ya Jannat uskey liye wajib hojayegi aur Jo shaks Subhanallahi wabihamdihi 100 (sau) martaba kahey toh Allah paak uskey liye eik lakh chaubees hazaar nekiya likhtey hai " . Sahaba (raziyallahu taa'la anhum ajmayeen) ko tajub huwa , kehney lagey -" Tab toh ham mein sey koi shaks bhi halaak nai hoga - nekiyo ki kasrat ki wajeh ab koi shaks bhi halaak nai hoga". Huzur-e-paak (saws) ney irshaad farmaya - " Kyun nahi? , tum mein sey eik shaks itni nekiya lekar aayega key ager un nekiyo ko kisi pahaad per rakhdiya jaye toh wazan ki wajeh sey pahaad dabjaye , phir Allah paak ki nematein saamney laye jayengi toh Allah paak ki nemato key muqabley saari nekiya khatam hojayegi , phir Allah paak apni rehmat sey jiski chahey madat farmayingey aur halaakat sey bachayingey ".

Insaan kya cheez hai? - Insaan kayi nemato ka majmua hai. Insaan Allah ki kai nemato ka majmua hai - Sar eik nemat hai , dimaagh eik nemat hai , aankhein eik nemat hai , kaan eik nemat hai , zubaan eik nemat hai , chehra eik nemat hai , haath aur pair eik nemat hai , aur jitni cheezein insaan key jism mein bani huwi hai saari key saari nematein hai , aur jis zameen pey hai woh bhi nemat hai , jis aasmaan key neechey hai woh bhi nemat hai , jo kharaha hai woh bhi nemat hai , jo peeraha hai woh bhi nemat hai , zorrat sey faarigh hora hai woh bhi nemat hai , jo pehen raha hai woh bhi nemat hai . Toh insaan nemato ka majmua hai aur nemato key samundar mein duubraha hai. Masnoon duaon mein apna inkaar hai , Allah ki zaat ka iqraar hai . Khadam khadam pey masnoon duaon key zariye sey Allah key zaat key taraf mutawajjeh karaya jaraha hai key insaan Allah ka mohtaaj hai. Kin cheezo mein ? , har cheez mein Allah ka mohtaaj hai . Sirf insaan nahi balkey saari kayinaat Allah ki mohtaaj hai.

Tumharey paas jo kuch hai woh Allah key taraf sey hai , woh Allah key nematein hai.

Insaano ki fitrat ku Allah paak ney bayaan kiya key jab insaan ko koi takleef pahunchti hai toh roney lagta hai , Allah sey maangta hai . Jab Allahpaak takleef ko duur kartey hai toh kuch log Allah key saath dusron ko shareek kartey hai.
Pehley wali aayaton mein hai - key insaan jab samundar mein chalta hai , kashti bhawar mein phasti hai aur aisa lagta hai key halaakat khareeb aayi hai toh saaro ko bhuul jaata hai aur eik Allah key zaat ka iqraar karta hai . Phir jab Allahpaak najaat detey hai toh Allah ko bhooljaata hai. Toh Allah paak eik jagah irshaad farmarahey hai - tum ye samajhrahey ho key samundar mein humney tumko bachaliya aur tum khushki pey aagaye toh ye samajrahey ho key bachgaye. Khushki mein dhasasaktey hai , zameen ko phaadsaktey hai. Samundar mein dubosaktey hai toh khushki per zameen key ander dhasa saktey hai. Allah paak ko khudrat haasil hai.Allah paak ney rehmat ka maamla kiya , ager har cheez pey pakad farmaye toh Allahpaak saarey logo ku halaak karsaktey hai .

Imaanwaley Allah ko chahtey hai - apni jaan sey zyaada , apney maal sey zyaada , apni biwi aur bachho sey zyaada , apni mehboob cheezo sey zyaada , aur garma key waqt mein thandey paani sey zyaada Allah ko chahtey hai.

Huzurepaak (saws) ku eik Sahabi(rz) ki dua bhot pasand aayi , uss dua sey bhot khushi huwi aur apni unghati ata farmayi. Dua ye thi -
"-Aye woh zaat jisko aankhein nai dekhsakti ,
-jisko khayalaat nai paa saktey ( ager sonchney ki koshish karey toh gumraah hojayingey , ager aadmi Allah key baarey mein sonchna shuru kardey toh gumrah hojayega isliye key Allah ki zaat badi hai aur hum chotey hai , glass ka pani chammach mein nai aasakta , kyun nahi aasakta? - isliye key chammach chota hai . Toh hum chotey , hamari sonch choti , hamara dimaagh chota toh badey Allah ko sonch nai saktey) ,
- tareef bayaan karney waley unki tareef bayaan kar hi nai saktey ,
- badi kamalaat waley ( sarey kamalaat wahi sey phuuttey hai (Quran-e-kareem key ander Allahpaak ka irshaad hai key saat samandar aur uskey barabar aur samandar , samandaro ko laya jaye aur unki siyayi(ink) banayi jaye , na sirf samander balki saarey dariya , saari nadiya , saarey nehar , saarey kuwwe , saarey chashmein , aur jahan kahi bhi paani rakha huwa hai , saarey paani ki sihayi banayi jaye aur saarey darakhto ko kaatker unkey khalam banadiye jaye , phir in khalmo sey aur iss siyayi sey Allah ki badayi ko , buzurgi ko , rehmato ko likhna shuru kiya jaye , likhtey likhtey khalam ghisjayingey , siyayi khatam hojayegi mager Allahpaak ki badayi baakhi rehjayegi) ,
- hawaadis sey unki zaat ko koi tabdeeli nahi aati ,
-zamaney key gardishey unko dara nahi saktey ( isliye key gardisho ko wohi laatey hai ) ,
- aur pahado ka kya wajan hai , kitna wajan hai usko Allah paak jaantey hai ,
-samundaro mein kitna paani hai usko jaantey hai , abtak jitni baarish huwi aur Qiyamat tak jitni hogi , kitney qatrey girey aur kitney giringey Allahpaak key ilm key ander maujuud hai ,
-puuri duniya mein jitney darakht hai unper kitney pattey hai Allah paak jaantey hai ,
- suuraj apni roshni kitni cheezo pey daalta hai , woh kitni cheezein hai Allah paak jaantey hai ---aur raat apni tareekhi kitni cheezo per daalti hai Allahpaak jaantey hai ,
-eik aasmaan duusrey aasmaan ko Allah ki nigah sey chupa nai sakta ,
-eik zameen dusri zameen ko Allah ki nigah sey chupa nai sakti ,
-samundar ki teh mein kya hai Allah paak usko jaantey hai ,
- ye unhuney dua ki , Allah ki tareef bayaan ki aur ye dua ki - key aye Allah zindagi ka aakhri din sabsey behtar din ho , aur zindagi ka aakhri amal sabsey behtar amal ho , aur jis din maut ho uss din ka jo amal ho woh behtareen amal ho , aur husney khatimey ki daulat sey aap malamaal farmaye ."

Husne Khatima :
Husne Khatima bhot badi daulat hai , hadith mein aata hai key - " Eik aadmi neik amaal karta hai , toh neik amaal kartey kartey apney aapko accha na samjhey , ghuroor na karey , takabbur na karey , isliye key aadmi jannat key khareeb hojata hai , eik baalish ka faasla baakhi rehta hai , aisa koi amal karta hai jiski wajeh sey dozakh mein girjaata hai .
Aur kisi sharaabi ko , zani ko bura na samjhey isliye key aadmi zindagi bher gunah karta hai , zina karta hai , sharaab peeta hai , aur dozakh key bilkul khareeb pahunchjaata hai , eik haath ka faasla baakhi rehta hai , aisa koi amal karta hai key Allahpaak ko woh amal bahut pasand aata hai aur Allahpaak Jannat key ander daakhiley ka faisla farmatey hai. "

Ulama ney likha hai Husne Khatima key liye chand cheezein zaroori hai

1. Allah ney jo nemat ata ki hai , usper Allah ka shukr ada karey

2. Dua aadmi karta rahey - aye Allah aapney hi mujhey hidayat ata ki hai , aisa na ho key mera dil shirk aur kufr ki taraf mayil hojaye , merey dil key ander tedapan aajaye, meri hifazat farma.

3. Azan ki baad ki jo dua hai uska ehtemam kiya jaye - Huzur-e-paak (saws) ka irshaad hai - key jo shaks iss dua ka ehtemaam karta hai meri shifa'at uskey liye halaal hojaati hai , waajib hojati hai , laazim hojati hai "

4. Dua karey - Aye woh zaat jo zinda hai aur saari duniya ko thaami huwi hai , aapki rehmat ka waasta dekar hum madat chahtey hai , hamarey saarey kaamo ko theek kardijiye ( hamara her kaam ghalat hai , hamara koi kaam theek nai hai ) , eik lamhey key liye bhi aap hamein apni nafso key hawaley na kijiye , hum apni nafso key hawaley hojayingye toh gunah hojayega jaisa key gaadi chalaney wala ager eik minute key liye bhi aankh band karleyga takkar hogayegi toh waisehi Allahpaak chand lamho key liye apney nafs key hawaley kardingey gunah hojayega , sarkashi hojayegi , baghawat hojayegi , Allah ki nafarmani hojayegi.

5.Neik , deendaar , aur Allahwalo key sohbat mein apney aapku bithaye

6.Miswaak ka ehtemaam kiya jaye , sabunchi fazeelat miswaak ki ye hai key martey waqt kalma naseeb hoga

7. Ye cheez bahut ahem hai , isliye bahut mushkil bhi hai , ussey bachna Allah key madat key baghair , Allah key taufeeq key baghair nai hosakta , ussey wahi shaks bachsakta hai jispery Allah ki khaas rehmat ho , Allah ka khaas fazal ho , woh bahut khatarnaak cheez hai , usmein kisi khisam ka kharcha nai hai , aur na kisi khisam ka charcha , woh hai - Nigaho ki hifazat.


Eik buzurg ney likha do cheezein bahut ehem hai , jo shaks do cheezein per amal karey woh puurey deen pery chalsakta hai -
1. Pehli cheez hai nigaho ki hifazat , jo nigaho ki hifazat kareyga woh Allah key jitney huqooq hai un saarey huqooq ko ada karsakta hai . Isliye ada karsakta hai key woh apni nigah makhlooq per nai daalraha hai , makhlooq ka ta'asur uskey dil sey khatam ho chuka hai aur makhlooq ka ta'asur khatam hochuka , khaliq ka ta'asur aaya , Allah per fida horaha hai , Allah per apney aapko qurbaan kar raha hai , toh ab ye nai kahajasakta key ye Allah key huqooq ki haqtalfi kareyga
2. Aur duusri cheez hai - jo shaks apney aapko gheebat sey bachayega woh bando key huqooq ko ada karsakta hai . Gheebat sey apney aapko bachaney wala logo ko izzat deraha hai , izzat aur ehmiat key wajeh sey gheebat nai karraha hai , key sab acchey hai main bura hu . Jab saamney waley ko accha kehraha hai toh uskey huqooq ko bhi ada kareyga .

Namaz:
Jab Allah sey dosti hojaati hai toh Allah sey baat karney ko jee chahta hai jisko namaaz kehtey hai - Namaaz kya cheez hai ? - Allah sey guftagu hai , Allah sey baatcheet hai , Namaaz padney wala apney rab sey chupkey chupkey baatein karta hai . Toh baat har eik sey nai hoti , baat toh dost sey hoti hai. Aadmi jab dost sey baat karta hai , toh susti, laparwahi , ghaflat sey baat nai karta , badi tawajjo sey , badey shauq aur zauq sey , badi mohabbat sey baat karta hai.
Namaaz ku seekhna padta hai , uski mashq karni padti hai , uski mehnat hai jaisey har cheez ki mehnat hai.
Dhyaan ku jamaney ki mehnat ho key main Allah key saamney hu , main subah sey dukaan mein tha , karobar mein tha , kaam mein tha, dosto mein tha , biwi mein tha , baccho mein tha , ab eik das minute key liye , saath aat minute key liye aaya hu Allah sey baatcheet karney key liye , abbhi main Allah ku yaad na karu , abbhi Allah mujhey yaad nai aaye toh phir kaha yaad aayingey . Allah ku yaad karney key liye aaye aur Allah ko bhooljaye. Apney nafs ku samjhaye key" salaam pherney key baad jitna sonchna hai sonchley duniya key barey mein , duniya key programme bana , iski ijaazat hai , salaam pherney tak Allah ku yaad rakh , Allah key dhyaan sey pad toh" inshallah Allah ka dhyaan baakhi raheyga.


Ilm:
Hamarey mehboob kis cheez sey raazi hotey hai , aur kiss cheez sey naraaz hotey hai . Isi ka naam Ilm hai . Allah ku toh bahut chahtey hai mager ilm ka nawaqifiyat ki wajeh sey , ghaflat aur jahiliyat ki wajeh sey aadmi aisa kaam kareyga jissey Allah naraaz hotey hai . Ilm ka hona zaroori hai. Fazail wala ilm - insaan jab faidey ko dekhta hai toh uskey taraf nipatta hai aur nuksaan ku dekhta hai toh ussey bachney ki koshish karta hai.

* Jo salaam kiya jaata hai , iski bahut badi fazeelat hai - "Assalamualaikum wa rehmatullahi wabarakatuhu " . Ye unchi dua hai , iska matlab ye hai key aap mujhsey mamoon hai , mehfooz hai , aap mujhsey mutmayin rahey , main aapka dushman nai hu , main aapka dost hu , isiliye aapko dua deraha hu , kya dua deraha hu - aapku teen dua deraha hu - Assalamualaikum - tumper salamati ho - kya matlab , duniya aur aakhirat ki saari museebato sey tum najaat palo , warehmatullahi - Allah ki rehmat bhi aap per ho , Allah ki rehmat key baghair kuch nai hoga , wabarakatahi - barkatey ho , eik barkat nahi , kaii barkatey ho . Teen duaein hai , toh issper tees nekiya milti hai.

Fazail bhot ahem hai , hamarey buzurgo ki mansha ye hai key har amal sey pehley uss amal ki jitni fazeelatein hai woh hamein maloom hojaye , yaqeen hojaye , wudhu sey pehley wudhu ki fazeelat , rozey sey pehley rozey ki fazeelat .

Allahpaak apney bando ko kitna chahtey hai key unkey bando ki koi khairiyat poochta hai , toh uskey liye 70,000 farishtey taye kartey hai , key uskey liye maghfirat ki dua kartey rahey.

Kisi buzrug sey poocha gaya key sabsey zyaada zikar karneywaley hum kab bansaktey hai , kab ye kaha jayega key main Allah ku bahut yaad karneywala hu ? Unhuney kaha , badi ahem baat kahi -" Huzur(saws) sey jitni duaein , aur jitney azkaar manqool hai subah aur shaam key , unkey azkaar mein jo shaks pabandi karta hai woh Allah ko khoob yaad karneywala hai . Masnoon jo duaein hai uski badi ehmiyat hai ".

Teesra kalma - Subhanallah - Allah paak hai , jab Allah paak hai toh main kya hu , main napaak hu . Alhamdulillah - Saaaari taarefey Allah key liye hai , jab saari tareefey Allah key liye hai toh baakhi kya rahi , kounsi tareef baakhi rahi , Lailaha ilallah - Allah key siwa koi mabuud nai , kisi ka kuch nai chalta , Allah key baghair kuch nai hosakta , sab mohtaaj hai Allah key , jab aadmi sojata hai aur uski saari salahiyatey khatam hojaati hai woh apna satar dhaankney mein bhi Allah ka mohtaaj hai , Allahuakbar - Allah sabsey badey hai , Walahaula walaquwwata illabillahilaliyyila'zeem - koi aadmi gunaho sey bachnai sakta jabtak Allah na chahey , nekiyo pey lagnai sakta jabtak Allah na lagaye .

Mohabbat-e-Rasool(saws) ko paida karney key liye duroodeshareef hai , seerat ka mutaliya hai , sunnato pey chalna hai . Aur sabsi badi sunnat Daawat ka kaam hai .

Eik Sahabi hai Huzur(saws) ki khidmat mein ye kehtey huwe - " Haye merey gunah , haye merey gunah " key main ab halaak hogaya , bachney ki koi soorat aur shakl nai hai . Toh huzurepaak (alayhissalatuwassalam) ney eik dua unhey sikhayi , kaha ye kahey - " Aye Allah aapki maghfirat merey gunaho sey zyaada wasee hai , mujhey apney amal per ummeed nahi hai , aapkey fazal aur rehmat per ummeed hai ". Unhuney iss dua ko pada , kaha phir pada , phir padey , kaha phir pado , teen dafa woh sahabi iss dua ko padha . Huzurepaak (alayhissalatuwassalam) ney farmaya - "khadeyhojao Allah ney tumhari bakshish kardi ".Allahpaak hamarey gunaho ko nai dekhtey , hamarey tauba ko dekhtey hai , hamari talab ko dekhtey hai , hamarey gidgidaney ko dekhtey hai . Allah toh kehtey hai - tumharey gunaho sey zameen bharjaye , aur zameen aur aasmaan key darmiyan ka khala bharjaye aur tum merey taraf mutawajjeh hojao toh main maaf karunga , ye nahi dekhunga key mainey kitney gunahoko maaf kiya hai ."

Qiyamat key din sabsey zyaada shifa'at karneywali koi cheez hogi toh woh Allah ka kalaam hoga , na koi nabi , na koi farishta .

Jab aadmi koi neki ka iraada karta hai toh Shaitaan ye nai kehta key mat karo - karo mager baad mein karo .

Dua ka taufeeq ka milna , koi aasaan baat nai hai , koi mamooli baat nai hai , wahi maang sakta hai jisko maangey ki Allahpaak taufeeq dey . Kisisey maangtey hai hum duniya mein , badi minnato key baad , kuch dedingey , duusri baar jayingey phir dedingey , teesri baar ager hum dikhgaye th raasta badal kar chaleyjayingey key phir kuch mangega . Aur Allahpaak naraaz hotey hai key maangta kyun nai , nahimangey na ka matlab ye hai key ye mohtaaj nai hai , zaroorat mand maangta hai , aur ye apney aap ko samajraha key zorrat nai hai , toh Allahpaak naraaz hojatey hai. Naraaz honey ka matlab yehi hai key aadmi apney aap ko mustaghni samajraha hai . Wahi detey hai , ya mehfooz kartey , ya musibato ko duur kartey hai. Wahi detey hai ager uskey muwafiq ho , ya mehfooz kartey hai , ya muzibato ko duur kartey hai. Aadmi qiyamat key din dekheyga ye merey duaon ka zakheera hai toh tamanna kareyga key kaash meri eik duwa bhi khubool nai hoti.

Saarey aasmaan waley aur sarey zameenwaley kisi momin key qatal mein shareek hojaye toh Allahpaak sabko , saarey aasmaan walo ko aur saarey zameenwalo ko dozakh mein daaldingey .

Allah key kalimey ko buland karney ki koshish:
Quran mein hai - Uski baat sey behtar kiski baat hosakti hai jo Allah key bando ko Allah key taraf bulaye " . Toh tum behtar aur tum jo baat kahogey woh bhi sabsey behtar. Aur iss mehnat sey jo mileyga woh bhi sabsey behtar , saari kayinat musaqqar hojayegi aur kya chahiye , zameen tumhari , aasmaan tumhara , chand tumhara , sooraj tumharey , tarey tumharey , hawa tumhari , samundar tumhara , jungle tumharey , jaanwar tumharey . Sahaba ney samundar per ghodo ko daalker qiyamat tak aaneywaley insaano ko ye baat batadi key Allah key deen ko buland karney key liye jo koshish karta hai Allah uski madat kartey hai . Allah ki madat sirf anbiya (as) key saath nai thi , woh madatey jo nabiyo key saath huwi thi , sahabey key saath bhi Allah ney un madato ka maamla kiya aur hamarey saath bhi karingey aur qiyamat tak aaney waley insaano key saath bhi karingey jo Allah key kalmey ko buland karney ki koshish karingey . Ager nai karogey pakad bhi badi hai , azaab bhi bada hai , iss kaam ko nai karogey toh phir zaalim baadshaho ko musallat kardiyajayega , dua radd kardiya jayega , aapas mein nafrato ko paida kardiya jayega .

Iss kaam ko karingey toh inshallah deen hamari zindagi mein aayega aur Allahpaak kamyaab karingey . Allah ka kanoon aur zaapta hai key jis kisi key zindagi mein deen hoga usko kamyaab karingey aur jis kisi key zindagi mein deen nai hoga chahey woh nabi ka beta ho , nabi ki biwi ho usko halaak karingey . Allah ka kisi sey koi rishta nai hai , kanoon hai , wusool hai , zaapta hai.

Marney ki tayyari karna hai . Train aagayi aur ticket na ho toh aadmi train mein nai baitheyga , isliye key usey pata hai key main baithjaunga toh phas jaunga , mujhey jail jana padeyga . Toh humney marney ki tayyari nai ki , marney ki tayyari karni hai .
Hazrth Ayesha (rz) farmati hai Huzurepaak ( saws ) ney irshaad farmaya - " Jo aadmi Allah sey milna chahta hai Allah bhi ussey milna chahta hai aur jo aadmi Allah sey bachna chahta hai , Allah sey milna pasand nai karta , Allah bhi ussey mulaqat ko napasand kartey hai " . Toh aadmi Allah sey kab milney ko pasand kareyga , jab dosti ho , mohabbat ho , taluq ho . Isi taluq aur mohabbat ku paida karney key liye Allah key raastey mein nikalney key liye kaha jaraha hai.