Tuesday, November 13, 2007

ILM

ILM

- Ilm toh asal mein woh hai joh aadmi ko Allah sey jodey .

Eik Lateefa hai mager ussey baat samajmein aati hai - " Eik Kashti mein bahut sey log baithker safar karrahey they , badey padeylikhey log they . Puraney zamaney key kashti thi , malla usey chalaraha tha . Bahut sey padeylikhey log baithey they , unko tafreeh ki suji toh unhuney Malla sey poochna shuru kiya - Bade miya tumko science aat hai ? .

Usney kaha - nai saab , science ki toh dum bhi nyaati .

Accha geography seekha hai tumney , pada hai ?

Malla - Nai saab , geographia wographia kuch nyaata , bas dariya ka geographia jaanta hu , idher sey sawari bithata hu aur udhar chodta hu , itna geographia maloom hai .

Accha tumko hisaab bhi aata hai ?

Malla - Saab itna aata hai key jissey main apna kiraya wusul karlu , iskey siwa kuch nyaata.

Toh sabney mazaakh udaaya , itna bada hogaya , zindagi zaye kardi , na science aati , na geography , na hisaab. Tum ney toh zindagi barbaad kardi .
Kuch der baad kashti tufaan mein phasgayi , ab aisa laga key kashti dubjayegi toh har eik ko teer kar paar hona hai .

Toh uss malla ney unlogon sey poocha - Bhai aaplogon ku teerna bhi aata hai ? Unlogon ney kaha koi teerna weerna nyaata. Usney kaha - theek hai , aap apna geographia , hisaab dekhtey rahiye aur main teer kar chalajaunga , kiski zindagi barbaad huwi ? Aapki ya meri ?

MORAL - Woh cheez toh seekhi jissey duniya ki zindagi chaljaye mager jis cheez sey asal beda paar honey wala hai woh seekhi hai ya nahi ?

No comments:

Post a Comment