Wednesday, November 14, 2007

Amir-e-Muhtaram

Dated - 14 Nov 07

-" Har Musalmaan key zimmey do kaam hai - Deen pey chalna aur deen ko phailana. "

-" Deen naam hai kuch karney ka , kuch na karney ka - her shobey mein , sirf namaaz rozey mein hi nai - mamulaat mein , mashirat mein her cheez mein."

-Eik khawateen ki jamaat aayi thi , Malaysia sey. Usmein eik khatoon koney mein khadey rorahi hai . Kisi ney dekha , soncha kyun rorahi hai - kisi ney kuch kehdiya , kya huwa . Bhot israar karkey poochney key baad usney kaha - " main 3 saal key bacchey ku chod aayi hu , bacchey ki yaad aarahi hai " . Maa ki mamta , deen ka jazba , aurton key ander ye qurbani .

- 5 batein sahi hojaye toh namaaz namaaz baneygi -
  1. Kalmey wala yaqeen ho
  2. Fazail wala shouq ho
  3. Masail wala tareeqa ho
  4. Allahwala dhyaan ho
  5. Ikhlaas wali niyaat ho

Phir jo duwa karogey khubul hogi. Sahabiya ney do rakaat namaaz padkey apney murda bacchey ko zinda kardiya.

- Eik halqey ki jamaat ko 9 Nov ku nikalna tha , jamaat nai nikli toh Amir-e-Muhtaram ney kaha - " Farz karo ager Hukumat ka ayelaan hoga key jo 9 Nov ko na nikley usey 20,000 rupey jurmana hoga , nai nikaltey they jab?."

-Aur eik halqey ki bhi jamaat nai nikli toh Amir-e-Muhtaram ney kaha - " Arey miyaa sunoo meri baat . Ghar baithey rahey jamaat nai nikalti , ghar baithey rahey jamaat nai nikalti , ghar chodna , apni masjid mein aana , waha pahunchjaana apney bistar key saath , takyo key saath , mulaqatey karna , toh jamaat nikalti. "

- Jamat kab banti hai ? - Chutti lena padta , dukaan hai toh dukaan band karna. Jamaat bantey nahi jamaat banayi jaati hai, yaad rakhiye . Haan , Jamaat banti nai , jamaat banayi jaati hai. Jabtak jamaat na baney ghar ki surat mat dekho. Sahab-e-Ikram toh barso key liye nikalgaye.

- "Eik jamaat banna hai berun ki , eik lakh rupey kharcha hai , kam se kam ya 80,000 ki ya 60,000 ki. Himmat kariye. Allah ney paisa diya hai , apney karam sey hi diya hai . Jab paida huwe toh hamarey haath mein 100 rupey ki note nai thi , aapkey haath mein nai thi , merey haath mein bhi nai thi. Sabsey uncha farz , sabsey uncha farz Allah key deen key hayat key liye kharch karna. Hamarey akabeer ka khawl - jis zamaney mein aapkey Allah ka deen , huzur (saws) ka deen kamzor ho , aapkey deen key liye eik daan ka kharcha karna rahey khair mein hazaro daan kharch karney sey behtar hai . Allah ney diya hai , kharch kariye , aapkey saath khabar mein jayega , merey saath khabar mein jayega."

-"Hamarey huzur(saws) ney kharz maanga , kharz diya . Namuna batadiya ummat ko."

-Eik bacchi thi , choti , school ko jaati thi , isayi school . Islami libaas pehenti thi , shalwar waghaira. Jab 4th class mein pahunchi toh teacher ney kaha ye libaas nai chaleyga , tumhey school ka libaas follow karna padeyga . Bacchi gayi , boli ghar pey , maa baap ney tawajjhey nai diya aur wahi shalwar islami libaas pey bhejdiya . Teacher phir boli , arey tumney suna nai , ye nai chaleyga. Bacchi bechari choti thi , masoom thi , jaakey boli apney baap ku. Baap aaya baat karney headmistress sey , bola key hum musalman hai , hum apney bacchi ku islami libaas mein hi bhijayingey . Headmistress badmaash thi , boli yaha koi mazhab wazhab ka naam nai lena , ye school hai . Baap naujawan tha , garam tha khoon , tabligh mein lagaya tha waqt , imaan bana huwa tha , bola - accha ye maryam ka statue nikalo abhi yahi sey ( sehan mein maryam ka statue ) , ye nikalo maryam ka statue ab yaha madarsa baneyga . Andar imaan ho toh roab padta hai aageywaley pey . Headmistress darrgayi , boli , theek hai , accha accha , aisehi bhijayye apni bacchi ko.

-Eik saathi key baithkey jawaab deney per Amir-e-Muhtaram ney kaha -" Jo baat kehna hai khadey hokey kaho miya , Aurtein baithkey kehti hai , Mard khadey hokey kehtey hai "

-"Aapney kabhi suna , kisi khaaton ney Sahaba ikram key zamaney mein apney mard ko roka ho deen ki mehnat sey . Wahan toh baccho ko bhejtey they , ye kab huwa jab aurton key ander deen ka jazba paida huwa. "

-"Gawah maujud hai majlis mein , Mera Nikah mein 12 rupey ka kharcha huwa . Ye kab huwa , jab deen ki mehnat aayi ghar mein . Aaj tak mashallah khush hai hum , koi shikayat nai -namujhey biwi sey , na meri biwi ko mujhsey. "

No comments:

Post a Comment