Sunday, February 3, 2008

Behayayi ka Anjaam

-Taken from http://fahmedeen.org/new/index.asp

Eik mauqey per Rasulullah(saws) ki khidmat mein Hazrath-e-Ali(rz) tashreef laye, toh aap baithey baithey roney laggaye . Toh Hazrath Ali(rz) farmaney lagey-" Ya Rasulullah merey maabaap aap per qurbaan! Sab qairiyat hai , kya takleef hai kahin? Kaha -" na Ali, mujhey Meraj ka woh safar yaad aagaya aur woh dardnaak azaab mainey dekhey jo meri ummat key khawateen ko milrahey they aur uski kaifiiyat ye thi key koi chaati key bal latkaye huwe thi, koi baalo key bal latkayi huwi thi, mukhtalif ye azaab key shakley thi aur aaj mujhey woh yaad aaraha hai toh mujhey rona aaraha hai. Hazrath Ali(rz) farmaney lagey - Huzur(saws) shafaqat aur reham ki wajeh sey roney lagey. Aur phir Huzur(saws) ney farmaya - Key jab mainey Meraj key safar mein poochneywalo sey poocha toh unhuney mujhey bataya key ye aurat bansawar key nikalti thi aur apney baalo key zariye behayayi phailaya karti thi , ye seeney key bal jo aapko latkaye huwe nazar aarahi hai ye behayayi key zariye mashirey ko ganda karti thi.

Merey bhaiyo himmat karkey behayayi ka rukawat baney, apney apney mahol ko sazgaar karey, apney mahol ko haya key uper tameer karey. Isliye key jab raasta tang hota hai aur dono taraf sey gaadiya chalti hai, idhar sey bhi gaadi, udhar sey bhi gaadi toh gaadiya takraya karti hai.Toh Islam ney yehi kaha key jab mard-0-zan ka ikhtilaaf hoga toh badkaari hogi, behayayi hogi, gandagiya hongi, islami mashira ganda hojayega, isliye aurat ka kaam karney ka daereykaar alag rakha, uskey liye alag shara'it muqarrar ki, mard key liye alag rakhi, iski zindagi ki tarteeb alag, uski zindagi ki tarteeb alag rakhi, takey alag alag raasto per chaley, takey takraav na ho, mashira ganda na ho. Sacchi baat hai Islam kabhi taraqqi sey nai rokta, kisi key huqooq nahi salb karta, sacchi baat hai Islam toh taraqqi key tareeqey batata hai , arey yu taraqqi karogey toh yaha bhi hogi, wahan bhi hogi. Kaunsi taraqqi hai? - beti maa ki nafarmaan baney iska naam taraqqi hai? Biwi aaj shohar ki nai rahi, iska naam taraqqi hai? Aulad maa baap key saamney aankhein dikhaye iska naam taraqqi hai?, arey ye zillat hai , zillat , ruswayi hai.

Merey azizo Allah key liye apney gharo ka mahol sambhaliye, apney daftaro ka, apney idaro ka mahol sambhaliye, jitna hum karsaktey woh toh kariye, apney gharo key mahol ko sambhaliye, mohabbat sey, pyaar sey, unhey deen key mahol mein layye. Ager ye karingey toh hamari auladey mahfooz rahingey warna Allah na karey, Allah na karey key hamein kal aisa din dekhna padey key hamari auladein hamari aankho key saamney woh tamasha karey key hum rokna bhi chahey toh na rok sakey.

Huzur(saws) eik mauqey pey, jab aaney waley ney aap sey kaha key - Ya Rasulullah(saws) Qayamat kab aayegi? Toh aap(saws) ney farmaya - " Main poochney waley sey zyada nai jaanta ". Toh usney eik aur sawaal kardala - Ya Rasulullah Qiyamat ki nishaniya kya hai? Aap(saws) ney farmaya - " Maa apney aaka ko janeygi ". Toh hazrat-e-Ulema ney aur Muhaddith ney farmaya matlab ye hai - Key aulad apney maa baap per yu hukum chalayegi jaisa key aaka apney ghulam per chalaya karta hai, Aulad apney maa baap key saamney woh sarkashi kareyga jo eik zaalim eik mazloom ghulam per kiya karta hai. Zaahir hai jab behayi sey dil sakht hojayingey, aankho key ander sey haya khatam hojayega, aur uskey khadam khadam per uski shehwat bhadkayi jayegi, toh phir woh nai dekheyga maa baap kya cheez hoti hai, woh nai dekhta rishtey naatey kya cheez hotey hai, woh nai dekhtey bado ka ehteraam kya cheez hota hai, usper toh eik junoon sawaar hai gandagi ka. Isliye merey azizo ager hamein apney aapko tabahi sey, halakat sey bachana hai toh mahol saazgaar karey Allah key liye.

Allah ney farmaya - Jo log bhi Ahl-e-Imaan mein behayayi phailatey hain unkey liye Allah ki taraf sey dardnaak azaab ka ayelaan hai.

Allah hamein amal ki taufeeq naseeb farmadey.

No comments:

Post a Comment