Sunday, November 25, 2007

Masaalik key Ikhtilafaat aur khaum ka kaam - ( Aalim Saab , Friday Bayaan , 23 Nov 07 )

Allahpaak ney iss ummat ko tamaam ummato ka namuna banaya hai . Iss ummat mein baaz cheezo mein furu'ee ehkaam mein ikhtilaaf hai lekin uss ekhtilaaf key bawajood ye nahi kaha jasakta key ismein sey eik musalmaan hai aur duusra musalmaan nahi , eik ka deen Islam aur duusrey ka deen Islam nahi - aisa nahi kaha jasakta.

Aur ye ikhtilaaf kahan per hai? - woh cheezein jo Quran aur Hadith mein mansoos hai .Mansoos arabbi ka lafz hai , maney Quran aur hadith mein koi baat likhi huwi hai aur woh bhi saaf tareen hai , mansoos hai , sareeh hai , aur uskey ander koi ta'aruf aur takraav nahi hai . Toh aisey ehkaam mein toh koi ikhtilaaf nai paida hota. Sabkey nazdeek eik hi hukum hai , eik hi amal hai , uskey ander kisi khisam ka ikhtilaaf nahi.

Baaz ehkaam woh hai jismein Quran aur Hadith mein koi saaf mazmuun maujuud nahi hai. Uskey mutaliq Ulama khiyaas kartey hai aur woh ehkaam batatey hai.Baad mein koi cheezein eejaad hogayi , un cheezo key ehkaam batatey hai . Nasha paida karney wali cheez haraam hai , baadmein aur cheezein nasha paida karney wali logon key saamney aajaye aur log uska istemaal shuru karey , Ulama uska hukum bayaan karingey key ye bhi waiseyhi haraam hai jaisa sharaab haraam hai.

Aap (saws) koi baat irshaad farmaye usko kehtey hai hadith , aap koi kaam karey usko kehtey hai hadith , aur aapkey saamney kuch kaam ho aur aap khamooshi ikhtiyaar farmaye - woh bhi hadith hai.

Log yu samajtey hai ikhtilaaf sey nukhsaan hai , ikhtilaaf sey koi nuksaan nahi hai . Ager ikhtilaaf hudood mein ho , ikhtilaaf key aadaab key saath ho , akhlaaq durust ho aadmi key toh ikhtilaaf sey koi sharr aur koi nukhsaan nahi hai. Nukhsaan jo hota hai akhlaaq ki wajeh sey hota hai , hudood sey tajawuz ki wajeh sey hota hai .

Sahaba ikraam mein ikhtilaaf eik hi cheez mein nahi , bahut si cheezo mein tha. Aur sahaba ikraam bahut sey cheezo key ikhtilaaf key bawajud eik dusrey key peechey namaaz bhi padtey they , eik dusrey ka adab aur ikraam bhi kartey they , unkey sulook mein apas mein koi kami paida nai hoti thi in cheezo ki wajeh sey. Lekin hum jahalat aur nadani ki wajeh sey baaz waqt un cheezo mein jo kam darjey ki hai unko badadetey hai.

Albatta ye jo ekhtilaaf hai ye Ulama mein hai , khaum ka kaam kya hai. Khaum ka kaam ye hai key jis Aalim key ilm per , taqwa per bharosa ho , unsey poochkey amal karley . Aur aisa karney sey unper koi gunah nahi. Hadith mein hai , aap(saws) ney farmaya - ager koi aadmi kisi Aalim sey fatawa aur masla poochey aur woh ghalat masla bataye toh aap ney farmaya uska gunah usper jisna masla bataya. Ager har aadmi iska mukallaf hota key tehkheeq karey toh aap (saws) sirf usi ko gunahgaar na batatey , aap ye batatey key bataney wala bhi gunahgaar huwa aur poochney wala bhi gunahgaar huwa . Lekin aap ney ye irshaad farmakar batadiya key furu'ee masail mein har shaks ka ye kaam nahi key khud tehkheeq karey , ager khud tehkheeq karna hota toh aap ye batatey key fatawa deney wala bhi gunehgaar hai aur amal karneywala bhi gunehgaar hai. Mager aap ney ye farmaya key - nai , fatawa bataney wala gunahgaar , amal karneywala nahi. Lekin shart ye hai key woh poochneywala uss aadmi sey poochey jiskey ilm ho , taqwa ho , ye nahi key har kisi sey poochey.

Ye jo masaalik ka ikhtilaaf hai baaz cheezo mein , baaz log ye kehtey hai eik shaks Musalmaan hai , Mohammedi hai aur phir Hanafi kyun , shafayi kyun , maliki kyun , hanbali kyun . Toh woh yu kehtey hai key aap Mohammedi hai ya hanafi hai . Toh hum aapsey ye poochtey hai key aap hindustani hai ya hyderabadi hai , kya jawaab dingey aap iss sawaal ka. Kya hindustani aur hyderabadi mein takraav hai , eik shaks dono mein kya sirf eik hi hosakta hai , ya hindustani bhi aur hyderbadi bhi hosakta hai. Jaisey eik shaks hindustani aur hyderabadi dono hosakta hai , aiseyhi eik shaks wusuul mein toh Janab-e-Rasulullah (saws) ka puura pairu hai , aur furoor mein bhi aap hi ki shariat ki pairwi karta hai lekin un furoor mein jin mein ulama ka ikhtilaaf hogaya woh uss aalim ki pairvi karta hai jiskey ilm aur taqwa per usko a'etmaad ho.

Merey dosto , ekhtilaaf hudood mein rehna chahiye , Ulama mein toh hai mashallah lekin ab awaam mein eik aisa tabqa jiskey paas ilm aur salahiyat ki kami hai , woh in cheezo ko baaz waqt itna hudood sey badarahey hai , tajawuz karkey pesh karta hai key aadmi key zehen mein goya is tarah ka khayaal paida hojata hai key ismein sirf eik haqq hosakta hai , dusra sirey sey baatil hai , lehaza baatil key liye koshish karna chahiye .

Iskey natijey mein woh baazu , aur taaqat jo deen ki khidmat mein sarf hona chahiye , woh aapas key baaham dasto girebaan honey mein sarf hojati hai aur deen ki jo wusuli aur bunyadi baatein hai woh peechey rehjaati hai aur jo dusrey darjey ki cheezein hai woh ladayiyo ka maidaan banjaati hai .

Allah ta'ala hamein deen ka sahi ilm , sahi fahem aur usper amal ki taufeeq naseeb farmaye , hamarey akhlaaq ko durust farmaye , islam ki zindagi aur imaan per khatma naseeb farmaye.

No comments:

Post a Comment