Dars-e-Quran by Aalim Saab 15 Nov 07
-Allah taa'la ka irshaad hai - " badi kharabi hai uss shaks key liye jo tana deneywala ho aur ayebjoyi karneywala ho , usney apney maal ko jama kiya ho aur usey gin gin key rakha , woh zara hutama mein daaldiya jayega , hutama Allah ki behkayi huwi aag hai jo dilo ko jaladeyti hai ". ( in brief )
- "Tana key matlab hai - kisi key saamney aisi baat kehna jissey usko takleef ho , chubti huwi baat kehna "
-"Gheebat key mutaliq baaz waqt aadmi yu kehta hai key - main jo kehra hu woh sach hi toh hai . Kisi key peechey baat kehna jissey usey takleef ho , halaankey usmein woh baat hai , phir bhi usey kehna ghalat hai ". Baaz waqt aadmi kehta hai key main toh uskey mu per bhi kehsakta hu , toh peechey bolna bhi sahi hai - "koi aisi baat kehna uskey mu pey hi sahi jissey usey takleef ho , jissey usey ruswa kiya jaye , jaisey uski koi burai ya ayeb kholdena uskey saamney" . "Na mu key saamney aisa kehney ki ijazat hai , na peechey kehney ki ijazat hai . "
-"Dhoka hai aadmi key liye , shaitaan ka dhoka hai - key aadmi ye samjhey key main mu per bolsakta hu toh peechey bhi bolsakta hu , aisi baat bila wajeh mu per bolna bhi ghalat hai aur peechey bolna bhi ghalat hai .
-"Ye jo duniya ki aag hai , ye aag jism ku lagtey hi , khaal jalti hai aur dil ku aag pahunchney sey pehley hi aadmi ki maut waqai hojati hai mager aakhirat ki aag dil ko jalaati hai . Khaali khaal jalney pey kitni takleef hoti hai , phir aag dil ko jalaadey toh kitni takleef hogi "
No comments:
Post a Comment