Friday Khutba- Aalim Saab , 16 Nov 07
- " Jaisey key Quran tamaam kitabo mein mumtaz hai aur Aap (saws) tamaam nabiyo mein mumtaz hai , aapki seerat sabki seerato sey mumtaz hai , Waiseyhi aapko jo groh diya gaya Sahab-e-ikram (rz) ka, woh bhi puuri insaniyat mein misaal hai ".
- "Hum aapas mein ikhtilaaf ku khatam karey , zaroori ilm maloom karey , halaal haraam maloom karey , fardh wajibaat maloom karey. Eik chowdi road hai , uskey uper kai tracks utrey huwe rehtey hai , kisi bhi track sey jao sab eik hi jageh jayingey , eik hi manzil ku lekey jayegi woh road , hum sab Musalmaan hai ".
-Huzur (saws ) key tashreef lejaney key baad kuch logon ney ye kaha -" hum kalma padingey , namaaz padingey , roza rakhingey mager hum zakaat nahi dengey". Hazrat-e-AbuBakker (rz) ney ayelaan kardiya jo aadmi zakaat deney sey inkaar kareyga hum us sey ladai ladingey , ussey qitaal karingey . Hazrat-e-Umar (rz) jaisey majboot aadmi bhi kamzor sey hogaye , kehney lagey - Aye AbuBakker aap unsey qitaal karingey , ladayi ladingey jo apni zabaan sey kalma padtey hai , jo namaaz padtey hai, aur phir aap unsey qitaal karingey . Toh hazrat AbuBakker(rz) ney farmaya - " key ager koi huzur(saws) key zamaney mein zakaat deta tha , uunt deta tha zakaat mein , uskey saath rassi deta tha . Aur aaj ye kaheyga key main uunt dunga , rassi nai dunga toh bhi main us sey qitaal karunga.
-" Dil mein do cheezein nai jama hosakti - ya toh duniya ki mohabbat hogi ya akhirat ki mohabbat hogi . Jo duniya ki mohabbat rakheyga aakhirat ko nuqsaan pahunchayega , aur jo akhirat ki mohabbat rakheyga duniya ko nuqsaan pahunchayega."
- Woh musalmaan jiska yaqeen Allah pey hai key "jo milneywala hai woh zaroor mileyga" , woh musalmaan jisney Huzur ka ye irshaad suna hai key" rozana Allah ki taraf sey eik farishta muqarrar hai jo kehta hai key - "kharch karney waley ko aap aur dijiye aur rokney waley ko aap barbaad kardijiye ", woh musalmaan jo Huzur ka irshad sunta hai key "suud haraam hai". Waisa musalmaan aur suudi mamulaat karey , woh musalmaan aur maal ko aisey jod jod key rakhey. Hum kin cheezey mein padey huwe hai . Kahan hai Islam , aur kahan hai Imaan.
-" Musalmano mein sey hi baaz log dusrey musalmano ku munafiqat ka daagh deyrahey hai .
Kal Allah key bargah mein saabit karna padeyga , haan.
Allah key Rasul(saws) ney lashkar bheja , dushman sey ladai horahi hai. Eik shaks key uper eik ney talwar uthayi apney haath mein , us waqt usney kalma padliya - La ilaha illallah muhammadur rasulullah . Woh samjhey talwar sey darkey kalma padraha hai , aur gardan udaadi. Jab woh Allah key Rasul(saws) key paas pahunchey , aap sakht naraaz hogaye , aapka rang surkh hogaya , aapney farmaya - kya tumney uska seena cheerkey dekha key uskey dil mein imaan hai ya nahi, kaisey waar kiya , kaisey talwar chalaya.
-" Kisikey baarein mein badgumani ki jaye key sharaab peeta hai toh bhi kam badgumani hai , kisikey mutaliq badgumani ki jaye key badkari karta hai toh bhi kam badgumani hai ". Iskey muqabley mein key- kisi musalman key barein mein badgumani ki jaye key" woh Allah aur uskey Rasul key mamley mein mukhlis nahi hai , usko Allah aur uskey Rasul sey taluq nai hai , usko Allah aur uskey Rasul per imaan nai hai."
-Dua - " Allah taa'la hum sabko deen ka sahi ilm naseeb farmaye , sahi fahem naseeb farmaye. Allah taa'la hum sabko mahez apney karam sey , apney fazal sey hamarey gunaho ko maaf farmaye . Humsabko apni deen ki khidmat key liye khubul farmaye , aur hum iss layak bhi nai hai mager Allah taa'la nalayako sey bhi kaam lesaktey hai , Allah taa'la apney karam sey hum sabko deen ka sipahi banadey , Allah ko raazi karney wala banadey . Wa akharu dawana Alhamdulillahirabbil a'alameen."
-
No comments:
Post a Comment