Allah ta'ala ney har musalmaan key zimmey chaar kaam rakhey hai .
1.Aadmi khud neik baney aur
2.Amal-e-Saleha ki pabandi karey
3. Dusron ko bhi neiki ki talqeen karey aur
4. Amal-e-Saleha ki talqeen karta rahey
- yani khud bhi neik aur saleh banna aur dusra ko bhi neik aur saleh bananey ki koshish karna. Ye bunyadi kaam hai jo har musalmaan key zimmey hai. Musalmaan is duniya key ander jo zindagi guzarta hai woh zindagi inhi kamo key liye guzarta hai , lekin aaj duniya ki mohabbat ki wajeh sey , ghaflat ka parda kyunkey hamari aankho per , hamari akhlo per padgaya iski wajeh sey , hum jo zindagi guzarrahey hai waisey hi hai jaisi bey-imaan logon ki hai. Zyada sey zyada faraq nazar aata hai toh woh zahiri shaklo soorat ka , ya chand e'badaat ka farq nazar aata hai. Bas iskey ilawa baakhi zindagi key aur gosho key ander aadmi ka mehnat ka , koshish ka maqsad jo hai woh aisa bangaya hai jismey bazahir musalmaan aur ghairmuslim ka farq nazar nahi aata.
Musalmano ki zindgai aisa mehsoos hota hai -ye maal sirf isliye kamatey hai taakey shaadiyo aur takhreebaat mein maal udadey , aisa mehsoos hota hai key zindagi ka bada maqsad shaadiya aur takhreebaat karna hai. Balki humney apni ghaltiyo sey shaadi ko itni badi musibat banaliya key eik aadmi apni puuri zindagi bas baccho ki shaadiya karney per sarf kardeta hai. Kya kiya puuri zindagi mein bhai? - Puri zindagi mainey apney chaar chey baccho key shaadiiya kardi .
Jo cheez eik zaroorat key darjey ki thi aur jisku Allah ney aasaan banaya tha usko hamney itna dushwaar banadiya key usii key liye puuri zindagi sarf horahi hai.
Ab bas-auqaat baazey bado buzurgo ko dekha jaye toh woh apni zindagi key akheer hissey mein ye kehtey huwe nazar aayingey key -" Saab zindagi bhar mehnat kartey rahey , behrehaal baccho ki shaadiya hogayi . Ab fursat hai . " - Yani puuri zindagi ki mehnat ka khulasa ye hai key uss mehnat sey unhuney baccho ki shaadiya kardi. Merey dosto ye kyun hai? - ye hamari apni ghaltiyo ka nateeja hai . Jo cheez bahut aasaan thi hamnein usey bahut dushwaar banadiya.
-Maal jo insaan key haq mein muqaddar hai woh insaan ko zaroor milta hai , aadmi chahey halaal tareeqo sey ley chahey haraam tareeqo sey ley. Allah key Rasul (saws) eik hadith mein irshaad farmatey hai key Ruuhul-Qudus Jibraeel ney merey dil mein ye baat daali - " key khuub sunlo key koi shaks mar nahi sakta yahan takkey woh apni rozi ko puura karley" , bas Allah sey daro aur sahi tareeqo sey maal haasil karo , ghalat tareeqo sey koshishey mat karo uskey liye.
Hazrat Ali (rz) eik martaba masjid mein tashreef lejarahey they toh apna ghoda eik aadmi key supurd kardiya key main namaaz padkey aau , utni der tak iss ghodey ki hifazat karo. Namaz padkey hazrat waapas tashreef laye toh ghoda toh maujood tha lekin ghodey pey baithney ki jo zeen hoti hai woh ghaayab thi . Hazrat ney ghoda leliya , bazaar gaye key zeen khareedlengey toh dekha key dukaan mein wahi zeen rakhi huwi hai jo chori hogayi thi . Hazrat ney dukaandaar sey uss zeen ko khareeda aur ussey poocha key bhai ye tumharey paas kahan sey aayi . Toh usney kaha abhi eik shaks mujhey bechkar gaya. Hazrat ney poocha kitney mein beycha . Usney kaha do dirham mein becha. Hazrat ney kaha-" khuda key bandey ney jaldi ki , merey dil mein niyyat ye thi key jab namaaz padkey aaunga toh usey do dirham dunga". Toh ager thodi der intezaar karta toh usey ye do dirham halaal tareekhey sey miljaatey , mager usney bajaye halaal tareekhey key jaldi karkey usey haraam tareekhey sey haasil karliya.
- Aaj hamarey mashirey key ander nikah dushwaar hogaya hai aur burayi key tareeqey aasaan hogaye hai , halaankey Allah key Rasul(saws) ney farmaya key -" Nikah aasaan karo yahan tak key burai dushwaar hojaye. "
Baazey waqt maa baap bhi badi ghalti kartey hai .
Aulaad key jo huqooq maa baap key zimmey haii unmein sey eik haq ye hai key jab woh nikah ki umr ko pahunch jaye aur munaasib asbaab ho nikah key, toh phir usmein takheer na karey. Bahut sey maa baap ismein badi takheer kartey hai jiski wajey sey apney baccho per zulm aur zyadadati bhi kartey hai . Aur hadith mein ye bhi hai key -" Ager maa baap ney kotahi ki, baccho key nikaah mein takheer ki aur woh ghalati mein mubtala hogaye toh jaisey bacchey gunahgaar hongey maa baap ko bhi gunah hoga.
-Ghar banaye aadmi , apni raahat sahulat key liye banaye , koi mana nahi hai. Allah ney diya ho toh achcha khaye , acchey makaan mein rahey mager ye hai key aadmi shaan aur shaukat key liye istemaal nai karey inn cheezo ko . Allah key Rasul(saws) ney farmaya -" Chuna mitthi ye maal ka battareen masraf hai ", aap (saws) ney ussey mana farmaya. Baakhi aadmi apni raahat key liye istemaal karey toh gunahgaar nahi , mager shaan key liye istemaal karta hai toh gunahgaar hota hai.
-
Maal kaha kharch karsaktey hai :Maal kharch karey aadmi , mukhtalif jagho per toh usmein teen darjey jaayaz hai aur eik darja najaayaz ka hai. Teen darjey ye hai
- 1. Zaruurat key liye kharch karna , ye bhi jaayaz hai . Jaisa kapda khareedta hai aadmi , toh apni zaruurat jo puuri hogi woh toh motey dhatey kapdey sey bhi puuri hojayegi . Uskey liye kharch kareyga jaayaz hai.
- 2. Duusra darja raahat ka hai - key kapda aisa khareedey key sardiyo mein garam kapda ho , garmiyo mein thanda kapda ho , aisa kapda jissey raahat pahunchey , aaraam pahunchey , aisa kapda khareedta hai , kuch mahinga hai zyaada paisey dena padta hai , Allah ney gunjayish dee hai toh chalo raahat aur aaraam key liye paisa kharch karo ye bhi jaayaz hai .
- 3. Teesra darja hai key kisii darjey mein zeenat , munaasib hudood mein . Ab jaisey mard hai , mard itni zeenat toh ikhtiyaar nahi karsakta jo aurato waali zeenat hai . Toh mard mard ki munaasibat sey , aurat aurat key munasibat sey . Dekhney mein accha lagey kapda , aisa kapda khareedliya , chalo ye bhi jaayaz hai .
4. Lekin chautha darja hai numayish ka , numayish ka matlab logo ko dikhaney key liye , logo mein naam haasil karney key liye . Ye najaayaz aur haraam hai .
- Aajkal hamaari takhreebaat mein hamrey aurto mein badaa marz hai , itna aam aur itna jadd pakda huwa marz hai key kuch poochiye mat, key kapdey chahey kitney hi acchey maujuud ho lekin uskey bawajuud bhi har martaba naya joda . Aap batayye ismein in teen darjo mein sey kounsa darja hai ? - Zaruurat ka , Raahat ka , Zeenat ka ? , ya Chautha darja hai ? . Dekha jaye toh bas chautha darja hai , Shaan . Yani ye baat beyizzati ki mehsoos ki jari hai key eik kapda jo pehna usey phir dubara pehna jaye .
*Aur iskey baad bahut sey toh sahibe gunjayish log aisey hai jinkey dil mein itni bhi gunjayish nai hai key istemaal nai karrain so kapdey logon ko dedey. Aisey akhal key dushman hai key apney gharo key almariya chappalo , jooto aur kapdo sey bharey jaarahey hai , pata nahi kya karingey - saath lejayingey khabrastaan mein ? khabar bharingey ussey apni ? Zara akhal aur samajh sey kaam karna chahiye . Eik ho , do ho , chaar ho , chalo bhai sahulat raahat jismein ho , ab ye kya hai key dher lagta jaara , almariyo pey almariya bharti jaarahi hai .Toh gharz ye hai key ye darja numayish ka hai .
Aurto mein toh khaastaur sey hai , mardo mein bhi hota hai , aisa nahi key mardo mein nai hota bilkul. Ab dekho key kapda kisliye pehenrahey ho , sawaari kisliye khareedrahey ho , makaan aalishaan kisliye banaarahey ho . Ager niyaat ye ho key makaan aalishaan isliye ho taakey hamaara naam hojaye , gaadi acchi isliye ho taakey hamara naam ho , kapdey aisey isliye ho taakey hamaari shohrat ho - ye baat Allah ko napasand hai.
Baakhi ager ye jazba na ho , toh apni raahat aur zeenat key liye accha khaana , pehenna aur acchi cheez lena ye mana nahi hai. Allah key Rasul (saws) ney eik saahab ko dekha key badey mailey kucheley sey hai . Aap (saws) ney dariyaaft farmaya kya tumharey paas gunjayish nahi hai ? Unhuney arz kiya - "Allah key Rasul , Allah ney mujhey khoob diya hai ". Aap ney farmaya , phir tumney aisi haalat kyun banarakhi hai - "Allah ta'ala iss baat ko pasand farmata hai key uski ne'mat ka asar bandey per dekha jaye". Lehaza tumhey munaasib kapdey pehenna chahiye , aisi haalat nai banana chahiye. Mana farmaya Aap(saws) ney.
Lekin jo shohrat wali baat hai uskey mutabiq aapney farmaya - "
Jo shaks shohrat ki gharz sey koi kapda pehneyga duniya mein , Allah ta'la qiyamat key din usko zillat ka libaas pehnayingey phir usmein aag dehkayingey ". Naamo namood ka jazba na ho . Aur ye cheez har jagah hai , khilaye pilaaye aadmi, mehmaano ko raahat pahunchaney key liye khilaaye , koi buri baat nahi. Lekin naamo-namuud key liye khilaaye toh phir gunahgaar hoga. Mehman ki khidmat ka jazba ho , shaan ka jazba na ho. Iskaa ehtemaam karna chahiye.
-Makaan banarahey hai , pardey ka koi lihaaz nahi . Allah ney maal diya hai toh makaan aisa acchey andaaz sey banao key jismein parda ka ehtemaam aasaan hojaye toh kounsi musibat aajayegi. Allah ki nemat Allah key farmabardaari mein istemaal karo.
Pehley ghar key ander , eik jagey ghar ki masjid key liye maqsoos rehti thi , toh gharz ye key pehley ghar key masjid ka tasawwur tha lekin ab toh ghar key ander baazey maaldaar log toh naauzubillah gaaney bajaaney ki jageh muqarrar karrahey hai mager masjid ka koi tasawwur nahi. Jis gaaney bajaney key cheezo ko mitaaney key liye Huzur tashreef laye they , Aap(saws) ney farmaya - "
mujhey inn cheezo ko mitaaney key liye bheja gaya haii " , apsos key woh aaj musalmaan key ghar mein zinda horahi hai aur ibaadat ki koi jagah nahi.
-
Angrezi tarj ka baitul khala:Mazur logo key liye angrezi tarj ka baitul khala eik aat baitul khala banadiya jaye koi harj ki baat nahi , mazur logo key liye. Lekin wohi hai bey-akhli , fashion key peechey akhal aur samajh ko chodkey bhaagna , zara apni samaj sey bhi kaam nai letey , jinko koi uzr nai hai woh bhi fashion samaj rahey hai key uss tarah key baitul khala mein baithey. Main pehley ye samajta tha key shaayad humlogon ko uska iste'maal nahi aata. Toh mainey america sey aaye huwe baaz logon sey , jo deendaar log hai , unsey main ney poocha - key hosakta hai hamein sahi istemaal nahi aata ho , aaplog sahi istemaal kartey ho toh bolney lagey - arey nai bhai , baat toh ye hai key jab isko istemaal karo toh jabtak aang dho itmenaan hi nai hota , ye hai hi waisi cheez , ye toh museebat hai . Hum toh jab bhi namaaz padna hota , jab isko istemaal kartey hai toh neechey ka hissa badan ka dhotey hai tabhi itmenaan hota warna itmenaan hota nahi. Toh mujhey maloom huwa key ye humlogon key liye , ye toh sab ka hi masla hai . Mazur aadmi hai , ghutno mein dard hai , theek hai waisa aadmi istemaal karey , koi gunah nai hai , koi najaayaz nahi hai . Acchey bharey log fashion banaye huwe hai key bas wahi banao , usiko istemaal karo . Musalmaan ko tahaarat ka ahkaam diye gaye hai , cheeto sey bachney ka hukum diya gaya hai .
Allah key Rasul(saws) ney safayi sutrayi key aisi cheezein jo sikhlayi hai , uss per jab kuch logo ney taan kiya toh Sahaba ney kaha tha -
"hamarey nabi hamrey liye misl baap key hai , woh humko choti choti baatein bhi sikhatey hai , yahan takkey baitulkhala sey faarigh honney key liye baithney ka tareeqa bhi sikhaatey hai , hamein toh issper faqr hai ."-Qiyamat key din Allah ko jawaab dena hai -
Maal kaha sey kamaya aur maal kaha kharch kiya. Toh gharz ye key musalmaan ko iss tarah zindagi guzarna chahiye key woh aakhirat ka musafir bankey zindagi guzarey aur Allah ki dee huwi nemato ko Allah ki ita'at aur farmabardaari key ander istemaal karey aur duniya key ander dusrey logo ki tarah ki zindagi na guzarey key jinkey ander bas peth hai , khahishat hai , shaano shaukat hai , namo namuud hai , uss tarah ki zindagi musalmaan ko nahi guzarna chahiye. Musalmaan aur dusro key beech mein bada faraq toh yahi hai key Musalmaan ka yaqeen akhirat pey hai aur dusro ka yaqeen aakhirat per nahi hai . Musalmaan samajta hai asal zindagi marney key baad ki hai , aur woh samajtey hai saari zindgai yahi ki hai , iskey baad kuch nahi.