Amal-e-Saleh yani neik amal , yani i'badaat ka ehtemaam karna. Quran-e-majeed mein Surah-Fajr mein 10 raato ki qasam khayi hai - woh kaunsi 10 ratey hai? Mufassireen key mukhtalif khaul hai , eik khaul ye bhi hai key woh 10 raatey Zul-Hajjah key 10 raatey hai. Toh goya ye 10 raatey aur 10 din fazeelat waley hai. Isi wajeh sey inn dino mein rozo ki bhi badi fazeelat hai , Zul-Hajjah key inn 9 din rozey rakhney ka sawaab bhi zyaada hai. Phir ismein jo 9 tareekh hai - Arafat ka din , uski bhi khaas fazeelat hai . Hadith shareef mein hai key aap(saws) ney farmaya - "Arafat ka roza mujhey Allah sey ummeed hai key gurishta aur ayinda saal key gunaho ko maaf kardeta hai". Aur gunaho sey muraad sagheera gunah hai , kabeera gunah baghair tauba key maaf nai hotey. Jis khader hosakey nafil rozo ka ehtemaam karley , 9 tareekh bhi aur ussey pehley bhi jitna hosakey roza nafil rehsakta hai.
Hadith shareef mein hai - " Jo shaks qurbaani deney ka iraada rakhta ho aur Zul-Hajjah ka chaand dekhley toh woh apney baal aur nakhuun na tarashwaye ", ye hukum mustahab key darjey ka hai. Yani iss per amal karna ba-isey ajr aur sawaab hai , lekin ager kisi sey khilaafwarzi hogayi ho nawaqifiyat ki wajeh sey ya kisi wajeh sey toh uss per koi gunah nahi hai lekin amal ka ehtemaam karna chahiye.
Eik hukum aur bhi key 9 tareekh ki fajar sey 13 tareekh ki asar tak Takbeer-e-tashreeq padi jaye har namaaz key baad. Eik martaba namaaz key baad buland awaaz padey - "Allahu akbar Allahu akbar , Lailaha illallahu wallahuakbar , Allahu akbar walillahilhamd ". Zor sey padney ka hukum hai , tallafuz bhi sahi seekhlena chahiye. Aurton key liye bhi Takbeer-e-tashreeq hai , isliye aurton ko bhi baat pahunchana chahiye.
Toh gharz ye Zul-Hajjah key chand khaas amal aur ehkaam hai , aur inn dino ki fazeelat hai. Aur inn dino mein Amal-e-Saleh ki, e'badat ki badi fazeelat haditho mein bayaan ki gayi hai. Lehaza nawaafil ka , tilawat ka , zikr ka , neik amal ka zyada sey zyada ehtemaam karna chahiye. Jaisey aur raato mein jaagker e'badat karney ka ehtemaam hota hai , inn raato mein bhi e'baadat ka ehtemaam , iski targheeb haditho mein aayi hai.
Phir dusri baat hadith sey maloom hoti hai, woh duusri baat ye hai key jab Allah key Rasul(saws) ney farmaya - " Inn 10 dino mein , ye jo Zul-Hajjah key 10 din hai , Allah key nazdeek Amal-e-Saleh sabsey zyaada mehboob hai " . Sahaba-ikram (rz) ney dariyaaft kiya - " Aye Allah key Rasul kya jihaad fee sabeelillah sey bhi zyaada Amal-e-Saleh inn dino mein mehboob hai ?". Toh huzur ney farmaya -" haan jihad fee sabeelillah sey bhi mehboob hai ". Toh sawaal ye hai key - kya jihaad fee sabeelillah amal-e-saleh nahi hai ? . Jihaad fee sabeelillah bhi toh Amal-e-Saleh hai , neik amal hai , badey unchey a'maal mein sey hai , Allah key Rasul ney farmaya key - "Meri ye khaahish aur tamanna hai key main Allah key raastey mein qatl kiya jau , phir zinda kiya jau , phir qatl kiya jau , phir zinda kiya jau " . Toh jihaad toh aisa uncha amal hai. Phir sahaba ka sawaal bhi ajeeb hai , aur huzur ka jawaab bhi ajeeb hai.
Phir aapkey iss irshaad ka kya matlab hai , merey dosto iska ye matlab hai - key jo Amal-e-Saleh hai woh do khismo key hai:
- Eik woh e'badat hai jismein makhlooq sey koi sabeqa , koi rabta insaan ka nai hota balkey insaan makhlooq sey katker , eiksu hoker Allah taala key taraf mutawajjeh hota hai , kuch amaal woh hai.
- Kuch amal woh hai jinkey ander insaan Allah ki e'badat karta hai , neik amal karta hai , Allah ku raazi aur khush karney ka kaam karta hai , mager woh kaam aisa hota key uss kaam mein makhlooq sey sabeqa hota hai , makhlooq sey rabta hota hai , masalan eik aadmi deen ka i'lm padhaney mein mashghool hai, deen ka i'lm padhana bhi eik fazeelat hai lekin deen ka i'lm padhara hai toh ustaad shaagird key taraf mutawajjeh hai , shaagirf ustaad key taraf mutawajjeh hai , eik aadmi logo ko Allah key taraf bulaata hai , daawat ka , islaah ka kaam anjaam deta hai , woh bhi apney madu'ueen key taraf mutawajjeh hai , madu'ueen uski taraf mutawajjeh hai , isi tareeqey jihad karta hai aadmi toh jihaad mein sepahi apney saamney waley dushman key taraf mutawajjeh hai , kuch amal toh aisey hai.
Toh yaha pey muraad Amal-e-Saleh sey woh amal hai jismein makhlooq sey waasta aur sabeqa nai padta . Aur wahi darasal maqsood hai. Isiliye Allah key Rasul(saws) ko bhi hukum tha key - " aap jab din bher ki daawat ki mehnat sey faarigh hojaye toh khadey hojayye aur apney rabb ki taraf mutawajjeh hojayye ". Ager ab wohi deen ki mehnat hi maqsood hoti toh ussey faraghat ka koi sawaal hi nai tha kyunki maqsad sey aadmi kabhi faarigh nai hosakta aur Allah taala ye farmarahey hai - jab aap ussey faarigh hojaye toh khadey hojayye aur apney rabb ki taraf tawajjeh ikhtiyaar farmalijiye " . Toh maloom huwa key din bher ki mehnat sey asal maqsood toh wohi hai jo raat mein hai . Yani Allah key taraf rujhu hona.
Ab jihaad , jihaad ka maqsad bhi yahi hai , jihaad ka maqsad bando ko Allah sey jodna. Bando ko bando ki ghulami mein sey nikaalkey Allah ki bandagi key taraf ley aaye. Jihaad ka ye maqsad hai. Jihaad ka maqsad hukmuraani nai hai , apni badayi haasil karna nai hai, logon key gardano per apna pair rakhna nai hai , logon per zulm karna nai hai , balki jihaad ka maqsad ye hai key duniya mein insaaf qayem ho , aman-amaan qayam ho , aur taqatwala kamzor per zulm na karey , koi kisi ko ghulaam na banaye aur makhlooq makhlooq ko apna banda na banaye . Jihaad isiliye hai aur ye jihaad Allah ka hukum hai , iss jihaad sey hum qiyamat tak kabhi dastbardaar nai hogey. Jihaad qiyamat key khayem honey tak baakhi raheyga. Toh ye bhi eik zariya hai , maqsad nai huwa. Maqsad kya hai - makhlooq makhlooq key shikanjey sey nikalgayi , makhlooq makhlooq key bandagi sey nikalgayi , taaluq khaaliq sey hogaya , ab woh apney khaaliq sey judjaye , ussey apna raabta jodey , ussey apna taluq sahi karey , ye maqsad hai.
Lehaza ye jihaad jo eik zariye key darjey mein hai , ye jihaad jo eik waseeley key zariye mein hai , ye woh amal hai jo maqasid mein sey nahi hai , wasa'il aur zarail mein sey hai , isliye jab aadmi ussey fursat miley toh phir uss kaam mein mashghool hojaye jiskey zariye sey woh Allah ka raast raabta aur taluq qayam karey. Deen ki ye haqiqat bahut sey logo ki nazro sey aujhal hai jiski wajeh sey deen ka sahi tasawwur hamari zindagiyo key ander nahi hai.
Aadmi halaal kamata hai , woh bhi eik darjey mein e'badat hai lekin halaal kamana zariya hai , maqsad nai hai. Eik aadmi ko azaan ki awaaz aati hai , apni dukaan sey nai uthta , Khuda ki bargah mein apna sar nai jhukata , aur paanch waqt ki namaaz nahi ada karta aur koi ussey kahey toh shaitaan ney uskey dil mein daaldiya hai , ab aadmi ye kehta hai - kya halaal kamana e'badat nahi hai , kya biwi baccho ka haq ada karna e'badat nai ? Beshaq halaal kamana bhi e'badat , biwi baccho ka haq ada karna bhi e'badat aur waqt per tijarat karna bhi e'badat lekin jab Allah ka hukum aajaye namaz pado toh uss waqt tijarat karna e'badat nahi , tijarat zariya hai maqsad nai hai , kamana isliye hai key aadmi i'baadat karey , khana isliye hai key aadmi e'badat karey , baakhi kamana khana koi maqsad thodi hai. Woh zariya hai.
Ye jo jihaad hai hamara aur ye jo mehnatey hai jismein hum makhlooq sey judtey hai , makhlooq mein mehnatey kartey hai , ye darsal zariya hai aur asal maqsad hamara Allah ki i'baadat aur bandagi hai , uskey saamney apney sar ku jhukana hai , aur uski mohabbat key ander gum hojana hai .
Lehaza inn dino key ander jo Zul-Hajjah key ayyaam hai , inn dino mein woh amal key jinkey ander aadmi raast Allah sey judjaata hai , woh amaal zyaada fazeelat rakhtey hai unn amaal key muqabiley mein jo neik amal toh hai mager unmein makhlooq sey bhi sabeqa hota hai. Albaata aap ney istasna farmaya key baaz waqt halaat aisey hotey hai key uss kaam ko choda nai jaasakta , kaam anjaami hota hai , kaam waqti hota hai , toh aapney farmaya - mager jabkey taqaza aisa shadeed ho key eik shaks shadeed takhazey ki wajeh sey apna waqt Allah key raastey mein jihaad mein lagadey aur jaan bhi jaye uski aur maal bhi jaye uska , kuch bhi lekar na lautey toh beshak uska amal uncha hojayega aur woh Allah key nazdeek uncha darjey paaney walo mein sey hojayega aur ager halaat utney shadeed na ho toh phir waisi suurat mein woh Amal-e-Saleha key jinkey zariye sey Allah ka raast raabta aur taluq qayam karey , unn Amal-e-Saleha ka ehtemaam kiya jana chahiye.
Behrehaal inn dino key ander neik amal ka ehtemaam , nafil rozo ka ehtemaam , aur raato mein i'baadat ka ehtemaam , ye bahut sawaab aur ajar ki cheez hai , iss Zul-Hajjah key dino mein inn amaal ka ehtemaam karna chahiye.
Qurbani:
Phir qurbaani ka amal hai , hadith shareef mein hai , aap ney farmaya - "Koi shaks qurbani key din khuun bahaney sey zyada mehboob amal Allah key nazdeek nai karta". Yani sabsey mehboob amal Qurbani key din Allah key nazdeek jo hai woh Allah ka raastey mein kisi jaanwar jiska Allah ney hukum diya hai khuun bahana hai , ussey uncha koi amal nai hai. Aur khuun zameen per girney sey pehley Allah key nazdeek qubool hojata hai , bas khushdili key saath qurbaani kiya karo.
Jin logo per zakaat wajib hai , un per qurbani bhi wajib hai. Isi tarah apney marhumeen key isail-e-sawaab key liye qurbaani dee jasakti hai , aur Janab-e-Rasulullah(saws) key liye bhi qurbani kee jasakti hai . Aapka toh ehsaan itna hai key uska toh koi haq ada kar hi nai sakta. Waisey toh hamarey har amal ka sawaab huzur ko pahunchneywala hai lekin apni muhabbat aur taluq ka izhaar hai key aap(saws) ki taraf sey qurbani ka ehtemaam sahib-e-gunjayish log karey. Qurbani khushdili key saath karna chahiye , jo masail hai woh maloom karley.
Inn amaal mein jo hikmatey hai , jo munafey hai woh Allah ko khuub maloom hai , behrehaal uska tabadila apni taraf sey tajweez karney ki zorrat nai hai. Qurbani key mauqey per qurbani hi ka amal karo.
Bahut sey cheezein hamari zindagi mein rasmi hojaati hai, haqiqatey zindagiyo sey nikal jaati hai. Bhai qurbani ka gosh - eik hissa apney liye rakhley aadmi , eik hissa apney rishtedaro key liye , eik hissa ghareebo key liye. Lekin ye mustahab key darjey ka hai , koi aadmi puura bhi khaley koi gunah ki baat nai hai , pura taqseem kardey toh bhi ajar aur sawaab ki baat hai .
Koshish ye honi chahiye key hamari iss Eid mein , aur iss khushi mein aur hamarey iss khaney peeney mein zyaada sey zyaada log shareek ho , lehaza taqseem key liye behtar tareekhey ikhtiyaar kiye jaye.
Jo halaat saamney aaye , kyunkey saamney aaye , zaroori hai unka bataana , na batayajaye toh maloom kaisa hoga , ghalati kaisey maloom hogi , islaah kaisey hogi , key bhai eik jageh aisa huwa key eik makaandar they , uper kirayedaar .
Makaandaar key paas 7 bakrey katey , aur kirayedaar key paas hissa kahin duur sey pahuncha , dopaher key kuch 1 ya 2 bajey key khareeb hissa pahuncha , toh un saheb ney laneywala sey ye kaha key ye pehla hissa jo aapka hamein pahunchraha hai , phir baadmein ye maloom huwa key unhi key makaandaar key paas 7 bakrey katey aur taqseem bhi huwe , aatey bhi gaye , jatey bhi gaye , fridge bhi bhartey gaye , lekin khuda key bando ko iss taraf tawajjoh nai huwi key apney kirayedaar key paas hissa pahunchaye. Bas rasm hai , dhaanp ker idher sey udher bhejdo , udher sey idher aajayega. Idher sey raan samdhavey mein jayegi , samdhavey mein raan yaha aajayegi.
Merey dosto haqiqat apney zindagi key ander paida karo , apney padosiyo mein khaastor pey , apney rishtedaaro mein khaastor pey , ye dekho key kinkey paas qurbaani nai hoti hai , zyaada meqdaar mein bhejdo. Ager khushhaal rishtedaar hai , zaroori nai har eik key paas bheja jaye , warna naraazgi ho nagawari ho , puuri shehar key chakkar lagayajaye , haan ager duur bhi hai koi rishtedaar aur unkey paas pahunchana zaroori samajtey hai , bahut acchi baat hai , lekin woh bhi lakpati aur hum bhi lakpati hai aur uskey paas bhi 10 katrahey hai aur hamarey paas bhi 10 katrahey hai , ab yaha sey 20 km ka safar karkey usey choti si packet pahunchayi jarahi hai aur ghar key pados mein eik woh hai jiskey paas dopaher tak bhi hissa nai pahunchta aur pahuncha bhi toh chota mota hissa pahunchta hai. Arey usey mat pahunchao aur iskey paas zyaada pahunchao.
Lehaza apney aziz-wa-akharib mein aur apney padosiyo mein aisey logo ko maloom karkey jald-as-jald aur zyaadey meqdaar mein pahunchaney ki koshish keejaye , koshish kee jaye aur iskey haqqo tak pahunchaney ki koshish kee jaye. Bazey koshish horahi hai mashallah , har acchi koshish khabil-e-himmat afzayi hai key bhai musalmano key ghareeb bastiyo mein bhi pahunchaye jaye , dehato mein bhi zaroorat hai , baaz dehato mein eik bakrey kahi zubha karadey toh saarey dehaat waley khush hojatey hai. Aaj eesayi tanzeemey kaam karrahi hai , qadhiyani kaam karrahey hai , gau mein khilatey pilatey hai logo ko aur unkey imaan per daka daaltey hai , toh hum bhi fikar karey kuch gau ki hum zimmedari leley key bhai fala gau mein apney jaanwar hum zubha karadingey , waha eik do jaanwar zubha hojaye gauwaley khush hojayingey , unkey deen aur imaan ki hifazat ka bhi zariya banjayega. Isii tarah behrehaal isko zyaada sey zyaada nafa dusro tak pahunchaney ki fikr aur koshish keejaye, iska bhi ehtemaam kee jaye.
Chamdey qurbani key mutaliq:
Akhir mein eik baat chamdey qurbani key mutaliq arz kiya karta hu key bhai - key dekho mahol bangaya , log madaris ( behrehaal madarsey jo usool key mutabiq chalrahey hai woh iss ummat ka bahut kheemti sarmaya aur unsey hamein mohabbat honi chahiye aur hamein maloom karna chahiye kounsa usool key mutabiq chalraha hai , uskey liye apna maal hi nai , hamein toh apni jaano ko bhi nichawar karna chahiye ager zorrat padey toh . Ye madaris sey ham dastbardaar nai hongey , inhey darayajaaraha hai , kabhi laalach diya jaaraha hai , lekin hum inshallah koshish karingey aur Allah ki taufeeq shamil-e-haal rahey , Allah karey toh inshallah hum inn madaris ki tashawwus aur iski shinaaqt baakhi rakhingey , isko badal nai dengey hum ), behrehaal ye madaris bada sarmaya hai , kaam karney waley acchey bhi hai , burey bhi hai , usool key mutabiq bhi chalney waley hai , bey-usooli aur badgumaniya karney waley bhi hai , woh masla aur woh behas duusri hai lekin merey dosto behrehaal madaris waley koshish kartey hai .
Ab ghar ghar pey ye bacchey chakkar lagarahey hai , ye mehman-e-Rasool hai , ye chamdey key liye hamarey ghar key chakkar lagaye , kai kai din pehley sey phirey , aur kabhi kabhi kashmakash hojaye key hum lingey , hum lingey aur kabhi kabhi toh jhoot aur dhokey tak ki naubat pahunchjaati hai , aur badgumaniya bhi hojatey hai.
Merey dosto hum ager chamda deney waley hai , hum ye samjhey hum deney waley nai , leney waley hai , aaj koi idaara aur koi fard hamarey chandey ya chamdey ka ya sadqey ka jitna mohtaaj hai hum ussey kahi zyaada nekiyo key mohtaaj hai , hamein lena hai dena nai , hum deney waley nai , sawaab leney waley hai . Har kaam key liye chakkar lagatey ho , merey dosto iskey liye bhi kehdo - key inshallah jiss idaarey per hamein ete'maad hai hum inshallah uskey paas laker khud pahunchayingey, yaha zehmat karney ki zorrat nai hai lehaza khud jao aur khud pahunchao aur yaad rakho key koi kitna hi bada sadqa ho , kitna hi bada maal kharch karo Allah key paas uski koi kheemat nai jabtak dil ki kaifiyat durust na ho , ager dil mein ikhlaas na ho , ehteraam na ho, dil key ander ye kaifiyat na ho , bas aisehi phenkrahey ho kisi key moo pey toh yaad rakho woh bhi phekdiya jayega tumharey moo per . Allah key nazdeek uski koi kheemat nai hai , Allah deney sey zyaada deney ki kaifiyat ko dekhtey hai lehaza jaha aetmaad na ho unkey liye koi appeal nai koi guzarish nai aur jaha aetmaad ho waha apni zaroorat samajker pahunchaye illa ye key ghar mein koi mard na ho , majbuur ho , aisi suurat mein karkuno ko it'tala karo . Baakhi har idarey key liye hai ye baat key ehtemaam iska kiya jaye aur inn chotey chotey baccho ko phiraney ka mahol ager khatam hojaye toh ye bahut hi acchi baat hogi . Allah mujhey aapko sabko taufeeq-e-amal naseeb farmaye.
No comments:
Post a Comment